You are on page 1of 2

Ateet ki kitab ke Panno ko sametkar Jab padhna chaha Maine payi wo rahe Jinpar kabhi chala nahi Maine

paye wo dwaar Paar jinkee dekha nhi Chunkii Badhye tha main rudhiyon se Kabhi khud jiya nahi Wakhif tha main haar ke gam se Isi bhaye se kabhi jeeta nahi Naa diye pankh, Apni kalpana ko Har shan yehi dar satata raha Kat na jayen ye pankh kahin

Un rahon se door bohot door Khada hoon aaj.. Liye apne jeevan ka saar. Boojhta is paheli ko Gar lii hoti wo raah Kya yahi nishkarsh hota aaj? Tab hii Dekh chadhte surye ko Mehsoos hota kuch naya sa Jaise dabi aakankshaon ko Mil gaya ho naya saveraa

Dikhayii padti hai ek nayi lau ummed ki Sunayi deta hai naya Geet jeevan tarang ka pukarti hai aaj mujhe wo anjaani dagar koi anjaani manzil

paane jise chal pada hoon phir ek baar Naa jaane kaunse dwar Kar rahe hain mera intezaar Jinhe khol paa loon main apni zindagi

apni shakshiyat jeevan ke aaine mein muskurati hui

zindagi ke jhrokhe mein jeevan ke aaine mein ek chera hasta hua

dhoodhne nikala hoon aaj main ek jawaab

You might also like