You are on page 1of 1

Kabhi socha hai tumne ki garibi kaisi duradasha hoti hai Jahan sir par pakki chat ke sapne

sanjona mushkil hai Jahan do joon roti roz milegi uska bhi thikana nahi Gumraah nadaan bachon ko Mil jaye sahara kahin Bachon ki padhai likhai ko lekar bebas hain maa baapu Sarkari schoolon me samay gawane ko majbur ye bache Kehte hain bache hote hain gagar kache Sapne dekhne ka haq bhi ek or se chin jata hai

Mera sawal: in bachon ka kya kusur tha Kyun nahi haq inhe ek uddipt bhavishya banana ka Kyun ye hat jayen piche jab jasba hai duniya banana ka

You might also like