You are on page 1of 1

Ek dafa hazrath moosa (AS) ne ALLAH se kaha ki

kiya accha hota ki agar chaar chizen hoti aur chaar na hoti
1-Zindagi hoti aur maut na hoti.
2-jannath hoti dozakh na hoti.
3-ameeri hoti gareebi na hoti.
4-tandrusti hoti bemari na hoti.

Gaib se awaaz aayi

"Moosa!
Agar Zindagi hoti aur maut na hoti tho mera deedar kaise hota.
Agar jannath hoti dozakh na hoti tho mere azaab se kaun darta.
Agar duniya mein ameeri hoti gareebi na hoti tho mera shukr kaun ada karta.
Agar tandrusti hoti bemaari na hoti tho mujhe yaad kaun karta.

Jab yeh baat hazrath moosa ne suni tho kaha:


"Aye Allah beshak terey har kaam mein koi na koi hikmath zaroor hoti hai.

You might also like