You are on page 1of 2

26-SAR TA BA QADAM HAI TAN-E-SULTAAN-E-ZAMAN PHOOL

Sar ta ba qadam hai tan-e-sultaan-e-zaman phool,


Lab phool dahan phool zaqan phool badan phool.

Sadqe mein tere baagh to kya laaye hain ban phool,
Iss ghuncha-e-dil ko bhi to emaa ho ke ban phool.

Tinka bhi hamaare to hilaaye nahi hilta,
Tum chaho to ho jaaye abhi koh-e-mihan phool.

Wallah jo mil jaaye mere gul ka paseena,
aange na kabhi itr na phir chahe dulhan phool.

!il basta-o-khoon gushta na khushboo na lata"at,
#yon ghuncha kahoon hai mere aaqa ka dahan phool.

Shab yaad thi kin daanton ki shabnam ke dam-e-subah,
Shokhaan-e-bahaari ke jurao hain kiran phool.

!andaan-o-lab-o-zul"-o-rukh-e-sheh ke $daayi,
%ain dur-e-adan la&al-e-yaman mushk-e-khutan phool.

boo ho ke nihaan hogaye taab-e-rukh-e-sheh mein,
Lau ban gaye hain ab to haseenon ka dahan phool.

%on baar-e-gunaah se na khajal dosh-e-azeezaan,
Lillah meri na&ash kar aye jaan-e-chaman phool.


!il apna bhi shaidayi hai us naakhun-e-paa ka,
Itna bhi mahe nau pe na aay charkh-e-kohan phool,

!il khol ke khoon role gham-e-aariz-e-sheh mein,
'ikle to kahin hasrat-e-khoon na ba shudan phool.

#ya ghazah mila garde madinah ka jo hai aaj,
'ikhre hue jo ban mein qiyamat ki phaban phool.

(armi yeh qiyamat hai ke kaante hain zubaan par,
)ulbul ko bhi aye saaqi-e-sehba-o-laban phool.

%ai kaun ke girya kare ya "atiha ko aaye,
)ekas ke uthaye teri rehmat ke bharan phool.

!il gham tujhe ghere hain khuda tujh ko *o chamkaye,
sooraj tere khirman ko bane teri kiran phool.

#ya baat RAZA is chamanistaan-e-karam ki,
+ahra hai kali jis mein %ussain or hasan phool.

You might also like