You are on page 1of 3

Dil se hum sab kar paayein, samman bujurgon ka.

hai kismat waalon ko milata, vardaan bujurgon ka.


Jis maans ke lothade ko dekar khoon paalte rahe.
jisaki har kushi ke liye apani khushiyaan taalte rahe.
unake hi haathon katl hua, armaan bujurgon ka.
hai kismat waalon ko milata, vardaan bujurgon ka.
Paise ki chamak ne, insaani rishton ko khaya hai.
har mushkil aayi hai jab bhi budhapa aaya hai.
bhulati ja rahi nayi peedi, ehsaan bujurgon ka.
hai kismat waalon ko milta vardaan bujurgon ka.
Badrang lahoo dekhein apana, chham chham aankhein barsein.
kayi "Old Home" mein bachchon ki kilkaari ko tarsein.
jo ghar mein ho , wo baahar ho sthaan bujurgon ka.
hai kismat waalon ko milata, vardaan bujurgon ka.
Ye budhe gaay ya bail nahi, jinhe sadko pe chhod diya.
mitti ke purane bartan nahi, jab marji tod diya.
jo humein mila hai samjho wo, samaan bujurgon ka.
hai kismat waalon ko milta, vardan bujurgon ka.
Jab baap ka joota, bete ke pairon mein aa jaaye.
tab baap ko chahiye, bete ka wo dost ban jaaye.
fir jeene ho jayega, aasaan bujurgon ka.
hai kismat waalon ko milata, vardaan bujurgon ka.
Jis ghar ke bujurg dukhi hain, wahaan pe barkat nahin rahati.
oos ghar mein satguru ki "Bhashi" koi rehamat nahi rahati.
sapne mein bhi na ho gar, apmaan bujurgon ka,
fir kismat waalon ko milta, vardan bujurgon ka


jisse dekh ve bahut khush huye the,
khule aakash mein kuch talashti tarasti ye nighahein,
ussi ko dhoond rahe hain,
jo unhein vradhashram chod gaye,

unke kahani, dard hain,
itna jiska koi aant nahi
jivan ke anubhav baatna chahate hain,
par koi sunne wala nahi,
jivan ke is mode par sahara lena aur dena chahate hain,
par koi raha hi nahi


jivan inka kisi upnyas se kam nahi,
inhe dan ki nahi, man ki jarrurat hai
bad mein shrad ki nahi, abhi shradha ki jarrurat hai,
lathi ki nahi, apno ke sahare ki jarrurat hai
vradhashram ki nahi,apnon ki zarurat ho.

You might also like