You are on page 1of 6

GHULU

1
Sawaal: Masumeen AS k baaray men "Ghuloo" (hud se barhaana) kya hai?>>Jawab: Wahaabi
Imam Muhammad Bin Abdul Wahaab ne apni kitabon [Al Toheed , Majmoo al Moalifaat, Fazalul
Islam, Fazaailul Quran, Risaailul Shaksiaa, Majmoo al Risaail, Sharootal Salaat, Risaailatul Aolaa,
Mukhtasir Zaadul Meyaad, Alrud Alal Rafizaa aur Mukhtasirul Seerat] men pehlay Logon men
"Ghuloo" ka khof bitha kr Hzoor SAWW k Fazaail se Roka phr Un ko Apnay Jaisa Bashar Bana
dya
2
"Ghuloo" k Issi Ghalat Tassawur ka aaj Shiyat Shikaar hai. Wahaabi Aqaaid waalay Shia
Molviyon ne bhi Ghuloo ka khof bitha kr Masumeen AS k Fazaail Majlison se khatam karwaaey
aur Fuqaha ko Masumeen AS k Baraabar Lay aaey. Ab har Fazeelat "Ghuloo" hai aur Fazaail
Bayaan krnay walay "Jaahil aur Ghaali". Loge Fazaail Batana to Door sun'nay se bhi darnay
Lagay hen. Aaj Shiyat Zaahiri Ibaadaat tak reh gaee hai aur "Maarifat" ka Naam o Nishaan Nahi
Raha.
3
Hazoor SAWW ne Zamana e Ghaibat e Imam Qaim AS k Baaray men frmya: Meri Ummat pr Aik
Aisa Zamaana bhi aaega Jab Masjiden Aabaad Nazar aaen gi Magar Hidayat se khaali hon gi: Ref
Biharul Anwar Urdu, Hisa 12, sfha 76>>Khud hi dekhain Wohi Shia Jo Ahlebait AS ki Azmat ki
khaatir Apni Gardanain katwaatay thay Aaj Un ki shaan men honay waali Gustaakhiyon ko sun kr
Tehreeri ya Qoali Jawaab bhi Nahi daitay. Masumeen AS ki Nazar men Ghuloo kya hai dekhtay
hen:
4
Imam Sadiq AS ne Farmaya: Hamaray liay Rab Qaraar do k Jis ki taraf Hum Rujoo krtay hen. Is k
Baad Hamari Fazeelat men Jo chaaho kaho Mumkin hi Nahi k tum Hamara Huq Adaa karo.
Hamaray Aloom o Maarifat men se Tum tak "Alif" bhi Mukammal Nahi puhancha: Ref Alqatrato
Min Bihaar-e-Manaqib-e-Alnabi Wal Itratey Ayatullah Syed Ahmad Mustanbat Qudas Sira
Tarjuma Manaqib e Ahlebait Hisa 1 sfha 69, Bihaarul Anwaar Mutafaqo Alaih Ba Mutabiq
Masaail u Shariya.
5
Hzrt Ali AS ne Frmaya: Hmaaray Mutaaliq Ghuloo Na krna kyun k Hum Khuda k Banday hen. Is
k ilaawa Hmaari Fazeelat men Jo Chaaho kaho: Ref Khisaal Shekh Suduq, Alqatra Ayatullah
Ahmad Mustnbat Trjuma Manaqibe Ahlebait Hisa 1 Sfha 68>>Hazoor SAWW ne Frmaya: Hmen
Khuda ki Makhlooq kehnay k Baad Hmari Jo Fazilat Bayaan krna Chaaho Bayaan karo Tum
Hmaari Azmat tk Nahi puhanch sktay: Ref Alqatra Ayatullah Ahmad Mustnbaat trjuma Mnaqibe
Ahlebait Hisa 1 Sfha 68
6
Masumeen AS k Aqwaal k Mutabiq Un ko Seedha Seedha Khuda kehna "Ghuloo" ya "Hud se
Barhaana" haiJaisay Mazallah "Ali Allah" kehna. Uss k ilaawa Qoal e Masum k Mutabiq Hum
Chaahain bhi to Unn ki Fazeelat Bayaan Nahi kr saktay, Ghuloo krna to Door ki Baat hai. Aik
shaks Apni Aqal k Mutabiq Jitna Tassawur e Toheed o Imaamat Rakhta hai wo uski Aqal ki Hud
hai na k Sifaat e khuda o Maasum ki. Shekh Suduq ki 4 kitabon se Imam AS ka qoal paish hai :
7

Imam Raza AS ne Frmaya: Imamat Muqaam o Martabey k Aetebaar se Is se Buland tar hai k
Logon ki Aqlain Is ko paa saken aur Apney Iradey aur Nazriat k sath is tak puhanch saken: Ref
[Alal sharaaey, Ayunul Akhbar, Kamaluddeen, Imaali] Shekh Suduq, Alqatraa Ayatullah Ahmad
Mustanbat tarjuma Manaqib e Ahlebait Hisa 1 Safha 69>>In Aqwaal k Paish e Nazar Agr koi
Molvi ye Baat karay k Masum AS ki koi Fazilat Bayaan kr k Hum ne Masum ko Khuda se mila
diya . .
8
. . to Na sirf wo Muqassir (Yaani Masum AS k Fazaail ko Jaan Boojh k kam krnay ya Unn k
Fazaail se Inkar krnay waala) hai Balkay Mushrik bhi hai kyun k Masum AS ne Bataaya k
Muqaam e Imamat ko Aqal Samajh Nahi Sakti aur Wo Molvi Na sirf Ye Muqaam Samajh Gya
Balkay Uss ki Hud se bhi Waaqif hai. Phr wo Allah ki Hadood bhi Jaanta hai aur Toheed o Imamat
ka Mawaazna kr k Bata sakta hai k kis Fazeelat se Muqaam e Imamat, Muqaam e Toheed se Mil
Jaata hai.
9
Imam Ali Raza AS: Imaamat k Muta'liq Aqlain Sar Gardaa'n, Fehm o Sha'oor Hairat men, Fikren
Pareshaan aur Aankhen Kmzor hen, Barey Barey Jhootey Nzar Aatey hen, Hukmaa Pareshan,
Khutba Goongey Nzar aatey hen. Sahibaane-ILM Jahaalat men Chaalaak, Hoshiyar Aajiz hojatey
hen. Kisi ki Taqat Nhi k Muqam-e-Imamt ki Shaan Bayan kr skay [Kamaluddin,Ayunul
Akhbar,Imaali] Sheikh Suduq , Alqatrata Ayatullah Ahmad Mustnbaat Trjuma Manaqibe-Ahlebait
Hisa 1 Sfha 70
10
Issi SMS silsilay men Hum Waazay Qurani Ayaat o Musatanad Ahaadees k Zariyay Unn Tamaam
Fazaail pe Tafseel se Baat Karen gay Jinhen Muqassir to "Ghuloo" kehta hai Lekin Unn k Na
Maan'nay se Hum Muqassir ho Jaatay hen>>Imam Baqir AS ne Farmaya: Ahlebait k Fazaail ka
Inkaar krna Kufr hai: Ref ALQATRAA Ayatullah Ahmad Mustanbaat Tarjuma Manaqib-eAhlebait Sfha 56>>
1
Ahlebait AS k kin Fazaail ko Ghuloo Ya Hud se Barhaana Bataaya Jaata hai?>>Jawaab:
-Murdon ko zinda krna
-Rozi Daina
-Aik Wqt men 1 se Zyada Muqaamaat pr hona>>Murdon ko zinda krnay pe baat krtay
hen>>Hazoor SAWW ne Frmaya: Khuda ne Apney Rasulon ko Farishton pr aur Mujhey sab
Nabion aur Rasulon pr Fazilat di. Mairay Baad Ye Fazeelat Ali aur Us k Baad waley Imamon k
liay hai: Ref Alqatra Ayatullah Ahmad Mustanbaat Trjuma Manaqibe-Ahlebait Hisa 1 Sfha 75
2
Masumeen AS, Anbiya aur Farishton se Afzal hen to In k paas Allah k diay huay Ikhtiyaaraat o
Kamaalaat bhi In se ziada hongay. Ye buhat aasaan tha k Hum Ayatullah Hussain Raza ki kitab
"Nehjul Israar" se Hazrat Ali AS ka "Khutba tul Bayaan" Likh detay Jo Sunni Kitabon "Mu'alimul
Itrat" aur "Manaqib e Murtazwi" men bhi hai Magar Buhat se Logon ko wo Fazaail Hazam Nahi
hotay is liay Quran se Anbiya k kamaalaat paish hen. Yaqeenan Masumeen AS k . .
3
. . Kamaalaat o Iktiyaraat Anbiyaa se Buhat Buland hen>>ALQURAN:
"Aur Wo (Issa), Bani Isareel Ki Taraf Rasool Hoga aur In se kahay ga k Mein Tumharay Paas
Tumharay Rab Ki Nishaani Laaya Hun. Mein Tumharay Liye Mitti se Parindaa Banaaoon ga Phir

Uss Mein Phoonk Maaroon ga To Woh Allah K Hukum Say Parinda Bann Jaaega Aur Allah K
Hukm Say Mein Paidaaishi Andhay Ko Aur Korhi Ko Acha kar doon ga Aur Murdon Ko Zinda
Karoon ga: Ref Sura Aal e Imran Ayat 49
4
Hazrat Issa AS Allah k Hukm se Na sirf Murday Zinda kr Rahay hen Balkay Mitti ki Parinday
Bana kr Unn men Rooh Phoonk kr Paida bhi kar Rahay hen. Kya Masumeeen AS k paas Hzrt Issa
AS se kam Ikhtiyaaraat hen? Yaad Rahay k ye Wohi Hzrt Issa AS hen Jo Imam e Qaaim AS ki
Imaamat men Ummatti ki Haisiyat se Namaaz Parhain gay. Jab Ummati Paida kr Raha hai aur
Murdon ko Zinda kr Raha hai to Imaam k Paas kya kya Ikhtiyaaraat hon gay Ye Aqal Nahi Samajh
sakti.
5
Quran ki 2 Ayaat Aik Doosray se Ikhtilaaf Nahi Rakhteen>>ALQURAN: Ibrahim ney kaha Maira
Rab to wo hai Jo Zinda krta aur Maarta hai:Ref Sura Baqra Ayat 258>>Lekin Sura Aal e Imran
Ayat 49 men Zinda to Hazrat Issa AS kr Rahay hen to Pataa Ye Chala k Hazrat Issa AS ka Allah k
Hukm se Murdon ko Zinda krna Asal men Allah ka Zinda krna hi hai Warna to inn 2 Ayaat men
Ikhtilaaf hoga Jo k ho Nahi Sakta. Na sirf Murdon ko Zinda karna Balkay Kaainaat k har . .
6
. . Chotay Baray kaam k peechay Khuda e Buzurg o Bartar kaar Farma hai Lekin Har kaam k
Zariyay Mukhtalif hen. Ab Agar Hum kahain k Masumeen AS, Allah k Hukm se Zinda ya Paida kr
sktay hen to Unn ka ye Amal Allah ka Amal hi samjha jaega. Ye Nahi Samjhain gay to Hum Unn
ko Hzrat Issa AS se kam Samjhain gay. Murdon ko Zinda krna Insaani Aqal k Mutaabiq Aik Bara
kaam hai. Allah k Liay to Itna Maamooli hai k Wo Ye ikhtiyaar Apnay Bandon ko bhi De Skta hai.
7
Khuda ne Ye Kaam to Bani Israaeel k Aam Insaanon se Karwaaya>>ALQURAN: "Jab Tum ney
Aik Shaks ko Qatal kr Daala Phr Aik Doosrey Pe Uss ka Ilzaam Daalney Lagey aur Allah ko
Zaahir krna tha Jo Tum Chupaatey thay. Hum ne kaha is Gaaey ka Aik Tuk'ra Maqtool k Jism ko
Laga do. Allah yun hi Murdon ko Zinda kr k Tumhen Tumhari Aqal Mandi k Liye Apni
Nishaaniyan Dikhata hai": Ref Sura Baqra Ayaat 72, 73>>Allah k Hukm pe Gaaey k Tuk'ray men
Ya Bani Israael k . .
8
. . Gunaahgaaron men to ye Kamaal aa Jaata hai k wo Allah k Hukm pe Murda Zinda kr Len Lekin
Masumeen AS Aisa Nahi kr sktay. Hum Masumeen AS ko Gaaey k Aik Tuk'ray Ya Unn Logon se
bhi kam Smajhtay hen kya? Hzrt Issa AS k Baad k Zamanay k Logon men bhi Tassawur e Toheed
Buhat Chota tha aur Wo bhi Yehi Samjhtay thay k koi Allah ki Chuni hui Hasti Na Paida kr Skti
hai Na Murda Zinda kr Skti hai Balkay Jo ye kaam karay ga Wo Ya to Allah hai ya Uss ki Aulaad
9
Yaad Rahay k Parinday Paida krnay aur Murdon ko Zinda krnay waalay Wohi Hzrt Issa AS hen
Jin ki Waalida ko Unn ki Wilaadat k Liay Allah k Ghar se Door Bhej Diya Gaya tha to Kya Nahi
Kar Sakta Hoga Woh Khuda ka Shaahkaar Jis k Zahoor k Liay hi Allah ne Apnay Ghar ko Chuna.
Mazhar ul Ajaaib ki Ye Fazeelat Bataana Ghuloo Kaisay Ho Gaya>>
10
Imam Muhammad Baqir AS ki khidmat men Aap k Aik Shia, Maalik e Jahni Haazir huay aur
Imam AS se kaha: "Khudaawand e Aalam ne Aap ko kaisi Azmat O Buzargi Ataa Frmaaee hai k

Aap ko Apni Makhlooq pr Apni Hujjat Qaraar Dya hai". Ye Sun Kar Imam AS Muskuraaey aur
Farmaya:"Aey Maalik e Jahni Maamla to Iss se bhi Buhat Zyaada Buland hai Jo Tum Samajh
Rahay ho": Ref Biharul Anwaar Urdu Hisa 4 Safha 54>>Allah Asr e Hazir men Hmain Wila e Ali
AS pr Qaaim Rkhay!

1
Kya Masumeen AS ko Rozi dainay ka Ahl Samajhna Ghuloo hai Hisa 2>>Shekh Suduq ki kitab
Ayun e Akhbar e Raza (Urdu) se Masumeen AS ka Bataya hua Tassawur e Toheed daikhtay hen.
Aaj Zyada Hawalay Issi Kitab se hen is liay sirf Safha no dya Jaaega. Masumeen AS k mutabiq
Tassawur e Toheed ki Samajh hi ye hai k Allah ko kisi bhi Soorat Samjha Nahi Ja sakta. Imam
Raza AS ne farmaya:"Allah Iss se Baala tar hai k Aqal Uss ko Samajh sakay": Ref sfha 229
2
Hzrt Ali AS ne Frmaya:"Ashyaa e Kaainaat k paas Allah k idraak ka koi tareeka Nahi":Ref sfha
207>>Allah pr Kaifiyat aur Jismaani had bandi Nahi. Imam Raza AS ne frmaya:"Allah kisi
kaifiyat ka paband Nahi":Ref sfha 203>>Kitab k Sfha 203 se 206 pe Imam k Aqwaal hen k Quran
men Jo Allah ki kaifiyaat aur Jismaani Hisay Bayaan huay, Wo Ya to kisi ki taraf Ishara hai Ya
Logon ko Samjhanay k liay hai Jaisay "Allah In se Mazaaq krta hai":Ref Sura Baqra Ayat 15
3
Jis tarah Allah Ka Chehra WAJ'HILLAH: Ref Sura Baqra Ayat 272>Allah ka haath BAY
YAD'ILLAH: Ref Sura Hadeed Ayat 29>>YAD'ULLAH HAY: Ref Sura Fatah Ayat 10 Waghaira.
Aema k Mutabiq, Allah pr Asmaa, Sifaat aur Alfaaz ka itlaaq Nahi hota. Hzrt Ali AS:"Allah
Ashyaa ki Maanind Nahi k Uss pe Sifaat Waaqay hon. Koi Wasf Uss ka Ahaata Nahi kr sakta":Ref
Sfha 207>>Imam Ali Raza AS:"Jis ne Allah k sifaat maanay uss ne Zaat e Khudawandi men Shak
kia": Ref sfha 262
4
Imam Raza AS ne Frmaya:"Jin Sifaati Alqaab ka Allah pr Itlaaq hota hai Wo to Tabdeel Honay
Waali Sifaat hen aur Samjhaanay k Liay in Alfaaz ka Sahaara Lya Jaata hai": Ref Sfha
297">>Imam Ali Raza AS ne farmaya: "Alfaaz men itni Wus'at Nahi k Allah ki Haqeeqat ko
bayaan karay aur Na hi Uss k Mutaliq Sawaal ka Jawaab denay k Liay Munasib Alfaaz hen: Ref
sfha 265>>Masumeen AS ne ye bataya k Jinhen Hum Allah k Asmaa e Aazam samjhtay hen wo
sirf . .
5
. . hamain samjhaanay k Liay hen warna Wo sifaat ka paband Nahi aur Uss ko bayaan karnay k
Liay Alfaaz hi paida Nahi huay. Imam Ali Raza AS ne Frmaya:"Allah ne Apnay Naam is Liay
Nahi rakhay k Wo Apnay Aap ko Inn se Pukaaray Balkay Allah ne Ye Naam Makhlooq ki Aasaani
k liay Rakhay hen:Ref Sfha 221>>Imam Ali Raza AS ne farmaya: Hum ne Allah ko Uss k Ghair
(Jo Allah Nahi hai) se Pahchaana. Uss ka Ism, Uss ki sift, Uss ka Amr Makhlooq hen: sfha 294
6
Imam Ali Raza AS ne farmaya: Khuda ne Baaz Logon ko Apnay Asmaae Husna se Mosoom kar k
Unhen Mohtaram Banaya: Ref Sfha 255>>Imam Raza AS k Mutabiq Ye Naam aur Sifaat Uss ki
Makhlooq k Naam aur Sifaat hen. Iss kitab men sfha 254 se 259 pr Imam Raza AS ne Tafseel se
Samjhaya hai k Ye Naam Makhlooq k kis tarah hen.Aesa is Liay hai k Allah ka idraak Nahi kya Ja
skta aur Uss ko Naamon aur Sifaat ka paband Nahi kia Ja sakta aur Insaan ko Uss ki Maarifat k . .

7
. . Liay kuch Naam aur Sifaat Batana Zaroori tha, is Liay Uss ki Makhlooq k Naam, Uss k Naam
Bataaey gaey. Makhlooq k Naam khaliq ko kyun diay gaey? Imam Raza AS ne frmaya:"Makhlooq
se Khaliq ki daleel Li Jaaegi. Agr Uss k Asmaa Uss ki daleel Na hotay to ibadat Allah ki Na hoti
Uss k Asmaa ki hoti: Ref sfha 299>>Issi Liay Allah ki Wo Makhlooq Jin k Ye Asmaa hen Khaliq
ki daleel ban kar rehtay hen aur Aam Makhlooq Inn k Zariyay se Khaliq ko Pahchanti hai
8
Masumeen AS ka Ye Qoal aksar aap ne parha hoga k Imam Allah ki Makhlooq par Uss ski daleel
o hujjat hai>>Hazrat Ali AS ne farmaya: Ahlebait sir'r e Khuda (Raaz e Khuda) k Ameen hen: Ref
Khutba No 2 Nehjul Balagha>>Masumeen AS ne Ye bhi bataya k Allah Faa'il (yani kaam karnay
wala) Nahi, Allah kisi kaam ka sirf Irada Rakhta hai aur Uss ki Ye Shaan Nahi k wo Faa'il (kaam
krnay waala) ho jaisa k Asma e Husna men Ziada tar Alqaab Uss k kaam karnay . .
9
. . k mutaliq hen maslan Qahaar: Qahar Naazil krnay Waala. Is ki Wazaahat Imam ne ye batai hai k
Allah k Liay har cheez ko Azal se Abad tak maan'na zaroori hai aur Faa'il k liay Maf'ool zaroori
hai to Agar Allah Faa'il hota phr Maf'ool ko bhi Azal se Abad tak maan'na parta Jis se Allah k
Ilaawa kisi aur ko bhi Azal se Abad tak maan'na parta aur Shirk hojata. Maslan Faa'il Qahaar hai
Yaani Qahar Naazil karnay waala to Agar Qahaar Azal se hai to jis . .
10
. . par Qahar Naazil kya Ja Raha hai wo bhi Azali hona chahiyay. Imam Ali Raza AS ne farmaya:
Allah k Naam aur Kaam sirf samajhanay k liay hen: Ref sfha 261>>Allah Faa'il Nahi balkay Faa'il
paida krta hai. Ab agar Allah faa'il Nahi to Makhlooq ki Haajaat kon puri karaiga (haajat poori
karna bhi to fale yani kaam hai). Imam Raza AS ne frmaya: "Allah ne Makhlooq ki Haajaat ko Aik
doosray se Waabasta kr diya aur baaz ko baaz pr fazilat di": Ref sfha 291
11
Yaani Allah Haajaat poori karnay ka Iraada Rakhay ga aur (kyun k wo Faa'il nahi ) iss liay fazeelat
rakhnay waali makhlooq Allah ka iraada samajh kar (Faa'il k tor par) doosri makhlooq ki haajaat
poori karay gi (kyun k Allah ne makhlooq ki haajaat ko fazeelat rakhnay waali makhlooq se
waabasta kar dia). Allah in Faa'il tak apna Amar kaisay puhnchata hai?
12
Imam Raza AS: Jb Allah Apnay Bandon k Amoor k Liay kisi ka intikhaab krta hai to iss k seenay
ko kushaada krta hai, is k dil men hikmat k chashmay jaari karta hai aur is ko har tarah ka ILM
ILhaam krta hai: Ref Sfha 390>>Ab ye Fazilat wali Mkhlooq kon hai jo Allah ka Irada samajh kr
doosron ki haajaat poori kr rahi hai. Imam Raza AS: Allah ne Muhammad o Aal e Muhammad ko
Wo Fazilat Ataa ki hai jis ki haqeeqat tak Aqal Parwaaz Nahi kr skti: Ref Sfha 418
13
Ab hamain Imam k Qoal ka matlab samajh aaya. Hazrat ALI AS ne farmaya: Hum Wo hen Jo
baraah e raast Allah se Neamatain Lay kar parwaan charhtay hen aur doosray Hamaaray ahsaan
parwarda hen: Ref Nehjulbalagha maktoob 28>>Hazrat Ali AS ne farmaya: is ummat men se kisi
ko Aal e Muhammad S.A.W.W par Qayaas Nahi kya ja sakta. Jin logon par Un k Ahsaanaat
hamesha Jaari rahay hon Wo Inn k barabar Nahi ho saktay: Ref Khutba No 2 Nehjul Balagha.
14
Imam Ali Raza AS ne ye bhi bataya k Allah inhi Faa'il k Amal ko Apna Amal kehta hai

ALQURAN (Aey Rasool) Jis ne tumharay haath pay bayat ki Uss ne Allah k haath pe Bayat ki:
Ref Sura Fatah Ayat 10>>Aur Jab Quran men farmaan hota hai k Allah Hukm daita hai to Wo
khud hukm logon tak Nahi punhchata hai. ye kaam us k faa'il kartay hen (Yani Rasul ya
Masumeen AS) Leken bataya ye Jaata hai k Allah ne hukm diya kyun k Faa'il ban'na Uss k
Shaayaan e shaan Nhi
15
Kyun k Haajaat sb se pehlay Allah k Irada karnay se poori hoti hen is Liay Aik Amr ka maan'na
zaroori hai. Imam Raza AS ne frmaya: Jis Cheez ka Allah ne Inhain Maalik banaya is cheez ka
Haqeeqi Maalik Wo Khud hai aur Jis cheez pr Inhain Qudrat di is pr haqeeqi Qaadir wo khud hai:
Sfha 252>>yani Masumeen AS ko Allah ki Ataa k baghair Raziq maan'na sahi Nahi. issay taqweez
kehtay hen aur Imam k mutabiq ye Shirk hai. Shekh Suduq ki ye kitab zaroor parhain
1
In batoon se hamain ye pata chala k agr hum Masumeen AS ka bataya hua Aqeeda e Toheed
rkhain to "Ghulu" Na mumkin ho jata hai. Maslan agar koi shaks Minbar par Masumeen AS ki
sifaat bata raha ho to Hum sochain gay k ye shaks Ghulu nahi kr skta kyun k Allah to Sifaat ka
paband hi nahi. Phr koi Masumeen AS ki fazilat bayaan kar raha ho, to bhi Ghulu Na Mumkin hai
kyun k Khuda Alfaaz men Bayaan hi Nahi ho sakta.

You might also like