You are on page 1of 1

Kahan aa kay ruknay thay rastay, kahan mor tha usay bhool ja

wo jo mil gaya usay yaad rakh, jo nahin mila usay bhool ja


Wo tere naseeb ki barshain kisi aur chat pe baras gayain
Dil-e be khaber mari baat sun usay bhol ja, usay bhul ja
Main to gum tha tere dheyan main teri aas, tere guman main
Saba keh gai mere kaan main, mere saath aa usay bhool ja
Tujhay chand ban ke mila tha jo tere sahilon pe khila tha jo
Wo tha aik darya visal ka, so utar gaya usay bhol ja
Kaheen Chak-e-Jaan Ka rafoo Nahe, Kisse Asteen Pe Lahu Nahe
Keh Shaheed-e-Rah-e-Mallal Ka Nahe Khun Baha, Ussay Bhool Ja
Kyun Atta Howa Hai Ghubar Main, Gham-e-Zindagi Kay Fishaar Main
Woh Joo Darj Tha Tere Bakhat Main Soo woh Ho Giya, Ussay Bhool Ja
Na Woh Ankh Teri Ankh Thi, Na Woh Khawab He Tera Khawaab Tha
Dil-e-Muntazir Tou Ye Kis Liy Tera Jaagna, Ussay Bhool Ja
Yeh Jo Raat Din Hai Khel Sa, Issay Dekh, Iss Par Yaqeen Na Kar
Nahe Aks Koi Bhe Mustaqil Sar-e-Aaina, Ussay Bhool Ja
Jo Bisat-e-Jaan Hee Ulat Giya, Woh Jo Rastay Se Palat Giya
Ussay Rooknay Say Hasool Kiya, Ussay Mat Bula, Ussay Bhool Ja

You might also like