You are on page 1of 7

Hindi typing kaise kare 3 Easy Ways in Hindi

blogkaisebanaye.com /hindi-typing-kaise-kare/
by Sahil kumar
New Hindi blogger ke man me ek sawal ye hota hai ke wo Hindi typing kaise karega ja kaise sheekhega.
Hindi bloggers ki isi problem ko dekhate hue blogkaisebanaye.com ki is post me hum aap ko Hindi typing karne ke
3 aase tareeke batayenge jinse aap aasani se hindi typing kar sakte hai ja sheekh sakte hai.
In 3 tareeko me 2 behad aasan hai jabki teesre me aap ko starting me thodi mehant karni hogi.

Hindi Typing karne ke 3 ways Hindi Me


1. Google Input Tool
2. Ms word offline tool
3. Direct Hindi typing sheekhen

1.

Hindi Typing kaise kare

Google Input Tool se Hindi Typing kaise kare


Google input Tool ek Online typing tool hai jiski help se hum aasani se Hindi typing kar sakte hain.
1. Goolge Input Tools Page par jayein.

1/7

2. Jo page Khulega us me English likha hoga waha par click kare. Kai aaari languages dikhengi un me se Hindi
ko select karein.

Google Input Tool se Hindi Type kare.

3. Ab box me jo bhi aap Roman me likhenge wo Hindi me Badal jayega.


Example: Mera naam sahil kumar hai , me badal jayega.

2. MS
Word ki
help se
Hindi
typing
karein.
Is way me
aap ko sirf
start me
Internet ki
jaroort
padegi
iske baad
yadi aapke
PC me MS
Word hai to
aap aasani
se offline
Hindi typing kar sakte hai.

Hindi Typing with Google Input tool

1. Google ke Windows Input Tool Page par jaye.

2/7

2. Jo page khulega uske right side me ek box hoga.

Google Windows Input tool se MS Word ke offline Hindi file Download

Is box me Hindi to select karke I agree to the


Google Terms of Service and Privacy Policy
ko select karein.
3. Download par click karei. Ek file aap ke PC me
download ho jayegi. Us file ka name
InputToolsSetup hoga.
4. Downloads ko khole aur us File pe click karke use
Run karein. (File ko run karte samaye aap ka net
connection on ho)
5. Jab Run successfull ho jayega to aap MS word
open kare. Toole bar me niche diya part dikhega.
Usme par click kareke aap Hindi typing kar
sakte hai.
6. Typing karne ka tareeka Google Input ke tareeke
ki tarah hi hai.

3. Direct Hindi typing Sheekhein.


Direct Hindi typing sheekhane ka matlab hai ke aap
Keyboard dwara Hindi typing sheekh ke typing karein.
Iske liye pahle aap apne PC ki settings me jakar
Keyboard Input Methods me Hindi ko Add kar len.
Windows 7 me Keyboard Inputs me Hindi add karne
ke steps ye rahe. Baki ki windows me bhi steps
lagbhag isi tarah se hai.
1. Control Panel par Jayein.

kijiye

2. Change keyboard or Other Input methods par


click karein.

Offline Hindi Typing in MS Word

3/7

(Yadi aap ke control panel me kai saare icon dikh rahe hai to pahle use Category pe Set kar len. Change
keyboard or Other Input methods wala option aasani se mil jayega.)
3. Change keyboards par click karein.

4. Add par click karein.

4/7

5. Waha par kari saari languges hogi unme se Hindi ko select karein. Keyboard par click karne ke baad Hindi
Traditional par click karein.

5/7

6. Ok par click karein.


Iske baad aap apne Desktop ki screen ke Right side me neeche dekhenge to waha par English or Hindi Languge
input ka option hoga.
Aap jo bhi Languge select karenge keyboard uske accordingly kaam karega.
(Languge input change karne ke shortcut keyes windows 7 me -> Atl aur shift (Atl + shift) ko sath me press karen ,
Windows 8 me Windows key ke sath spacebar dabayen (Windows key + spacebar).

Direct Hindi typing kaise sheekhen ?


Iske liye aap Hindi typing tutor ki help le sakte hai. English typing tutor ki tarah hi hindi typing tutor bhi available hai.
Is Hindi typing tutor ko 8 se 10 ghante use karne ke baad aap post type karne lyke Hindi Typing sheekh jayenge.

Hindi Typing Tutor ko kaise Download karein?


Ye typing tutor lagbhag 43 MB ka ha jise aap neeche diye links dwara download kar sakte hai.
Pahle link par jane se aap us page par pahuc jange jis se Hindi typing tutor Download kiya ja sakta hai. Dusre link
par click karte hi download start ho jayega.
1. Aasaan Hindi Typing Tutor
2. Aasaan Hindi Typing Tutor Direct Download
______________________
Next Step : Blogger Par Agle 2 Minute Me Free Blog Kaise Banaye
Hindi Typing new Hindi Blogger ke liye ek badi Problem hoti hai kyuki Hindi ko English ki tarah aasani se type nahi
kiya ja sakta. par uper Hindi typing ke jo 3 ways hum ne aap ko diye hai wo aap ke liye 100% helpfull rahenge. Yadi
aap ko uper diye kisi bhi tareeke me problem aa rahi hai to comment ke jariye jaroor puchhen.
Sahil kumar
Sahil kumar is a Professional Blogger since May 2013. You can Learn Blogging Step by Step on
Blogkaisebanaye.com.

Related Posts
Blogger Par Agle 2 Minute Me Free Blog Kaise Banaye
11 Blogging tips new Hindi Blogger ke liye
Blog banane ki Step by Step Guide Hindi Me.
Gmail par new Account kaise banaye ki jankari Hindi Me.

6/7

7/7

You might also like