You are on page 1of 2

Aap logon k liya to new nahi

hay but phir b aap logon say


share kar raha hon. Doston Agar aap logon nay
Mobile ki Care karnay us ko
long time k liya use karnay or
Uski Battery timing theek
rakhnay ka soch liya hay to
main aap ko kuch tips daita hon. aap ka Mobile Better
condition main rahay ga. 1: Mobile ki Casing ki Hifazat k
liya
: A... Sab say behtar kaam to
yahi hai k aap Mobile ki
Original Casing ko utar kar
rakh dain is say aap ko Faida
yeh hoga k aap jab Mobile ko
Sale karnay jatay hain to aap ko Payment achi mil jati hay.
agar nahi to phir Aap 1 Acha or
Nafees sa Mobile Cover leh
Lijiya. Mobile bina Cover k
Pocket main para rahay to Is ki
screen per or Casing per Kharashain aa jati hain. B... Daily nahi to kam say kam
Week main 1 baar zaroor apni
casing ko saaf karain. Maine
Aksar logon ko dekha hay daily
hi Mobile Casing ko Saaf kartay
hain. 2: Mobile Ki Screen ki hifazat k
liya: Mobile per Acha Wala Screen
saver laga lain. Is say aap ki
Mobile LCD Screen Kharasho
say Bach jaye ga. Main to har 2
week k baad Screen Saver
change kar laita hon. 3: Apnay Mobile Board ki
Hifazat k liya.. A: Haath Geelay hon to pehlay
Haath ko khushk kar liya jaye. B: Summer season shuru ho
gaya hay. Paseena aata hay so
be careful. C: Raat ko Mobile Apnay Paas
rakh kar na soya jaye. Becoz
neend main aksar pata nahi
chalta jis ki wajah say Mobile
hamaray Jism k neechay dab
jata hay. is say b Mobile main problem paida ho sakti hay.
Waisay b yeh 1 Electronic
Cheez hay so is ka bharosa b
nahi hota k kab Sath chor jaye.
Mostly mobile main problems
Raat ko Mobile Hamaray Jism k neechay dab janay ki wajah
say paida ho jati hain. Yeh
maine woh wajah batai hain
Jin per hum dhiyan nahi
daitay. D: Jab B Mobile main sim
change karni ho ya phir
Battery nikalni ho ya phir
Memory card Nikalna ho to
Pehlay apnay Mobile ko Off kar
lain phir aap Battery nikalain apnay Mobile say. warna aap k
Board main problem ho sakti
hay. Jab Nahanay k liya jayein to
Mobile ko sath leh kar mat
jayein. Geeli jagah per na
rakhain. Yeh Choti choti si baatain hain

Jis ki wajah say Mobile ka


kabhi speaker kabhi ringer
kabhi keypad buttons kabhi
mic or kabhi or koi b masla ban
jata hay. cheez koi b ho us k use karnay ka tareeqa hota
hay. Care nahi karaingay to
woh cheez jaldi farig ho jati
hay. Yeh Hain to Choti Choti
Batain lakin aksar nuqsan b
bohat daiti hain. 4: Apni Battery Timing ki
Hifazat k liya.. Agar Apnay Mobile ki battery
timing theek rakhna chahtay
hain to aap Hamaisha Jab
Battery Low ka option aaye us
time Battery ko charging per
lagayein. Or jab Full ka indicator day to aap Charger
Unpluge kar dain. Aksar logon
ko dekha hay k sari sari raat
Battery Charging per lagi rehti
hay. Ya phir yeh kartay hain k
2 cell kam hotay hain saath hi mobile charging per laga
daitay hain. Jis ki wajah say
battery phool jati hay or
Timing kharab ho jati hay.
Isi liya Jab tak Low ka
Indicator na day Mobile ko charging per na lagaiya. or Jab
Full ka Indicator day to Charger
Unpluge kar dain. Is say aap ki
Battery Timing theek rahay gi. Battery Charging Full karnay k
liya Always Original Charger
use karain lakin yeh khayal
rakhain k woh aap k Mobile ki
Battery ko 1:30 say 2 hour
main full karnay wala ho. Aisay charger b hotay hain jo
40 say 45 minute main
charging full kar daitay hain.
Lakin is say aap k mobile ki
battery timing kharab ho jati
hay. Yeh choti choti si batain hain
jin per hum dhiyan nahi daitay.
Dosto Umeed karta hon aap
sab ko yeh Thread Bohat
Pasand aaye gi. Or koi dost b
koi tips daina chahtay hay to Izafa kar dain. Isi main hum
sab ka faida hay. Mujhay apni
Duaon main yaad Rakhiya ga

You might also like