You are on page 1of 21

HALDI RAM JAROOR

MAREGA !!!

SUMMARY
This is a hypothetical play based on the backgrounds of a
small village named Chamrouli in Unnao district of Uttar
Pradesh. The story revolves around the central character
of a farmer who is surrounded by a critical economic
condition due to famine in the village. To encounter the
problem, he decides to avail loan from the bank.
On the contrary to his expectations, the corruption and
mis-management prevailing in the bank, led him to
commit suicide. The play also highlights the political
leaders gaining advantage of every possible situation
they can.
Why have we chosen this plot?

As India is an agrarian economy with 64% population


being dependent on farming, therefore, the farmer (the
feeder of entire nation) is the main source of inspiration
for this theme. Through this play, we try to bring a notice
towards the plight of farmers. We want to enlighten the
audience about such mishaps on the following aspects-
1. The pitiable condition of our farmers.
2. The drawbacks of government organizations as they
are indulged in corruption, bribery etc.
3. The poor and ill mannered govt. working system in
which the common man is suffering considerably.
4. The real faces of our corrupt political leaders chosen
by us, who try to gain benefits out of every possible
situation this even at the cost of ones life.
LIST OF CHARACTERS AND THEIR NAME

NAME CHARACTER NAME

SATYAM SHUKLA FARMER - HALDI RAM

DESCRIPTION: Haldiram is the main character of play. A very poor


village farmer suffering with acute poverty and wants to avail loan
from a govt. bank,(KISSAN BANK) to improve his standard of living.

NAME CHARACTER NAME

PRABHAT KUMAR SINGH BANK CLERK -


MR. SHARMA

DESC: A Corrupt and greedy employee.


3

NAME CHARACTER NAME

MANOJ YADAV BANK PO - MR. MISHRA

DESC: A Corrupt and greedy employee.

NAME CHARACTER NAME

REGIONAL POLITICIAN-
AJAY SHANKAR PANDEY MAYA YADAV

PARTY SYMBOL

DESC: A Corrupt Regional politician who always try to maintain


his vote bank at any cost.
Other characters

NAME CHARACTER NAME

SHIVESH TRIPATHI NARRATOR

NITIN KUMAR BANK LOAN OFFICER -


MR. SRIVASTAVA

ABHISHEK SAXENA BANK MANAGER - MR. SAXENA

PRADEEP YADAV CONTRACTOR - SHAKIL BHAI

ALOK PANDEY BANK PEON - BHOLA NATH

NEERAJ AGARWAL VILLAGE PRADHAAN -


LAL KRISHN BAHUGUNE

ABHISHEK KUMAR FARMER’s WIFE -


DHANIYA

ABHIJHAT PANDEY VILLAGE LADY - BAHINI


SCENE WISE DIALOGUES

Scene 1
(Haldiram and Dhaniya at their home)

Haldiram: Dhaniya bahut jor bhuk laagi hai, kuch kahye


waye ke hai. Do din se kucho nhi khaye….

Dhaniya : kahan kucho nai hai , dui din se larika baccha


bhi bhookhe hain….
Haldiram : ab ka hoi dhaniya???????
Dhaniya : Musai ki bahuriya kah rahi thi ki bankawa se
karaj waraj mil jaat hai…
Haldiram : haan suna to hamhu hai…
Chalo aaj bankwa chal k dekhit hai….sayad
kucho kaam ban jaye.

Scene 2 (Bank premises)


(Haldiram, Dhaniya, bank employees- Sharma ji, Mishra ji
& peon)
Bhola Ram : kahan baaba kahan jaat ho.
Haldiram : are baccha suna hai bankawa ma karaj waraj
milat hai. Wahai le aayen hai.
Bhola ram : baaba atana aasan nai hai, chalo dekh
lo….sharma ji se milo, jao wahin baithe hai.

Scene 3 (Bank premises)


(Haldiram enters intothe bank; before Sharma ji)

Haldiram: pranaam sahib…..


Sharma ji: duur duur baitho…… aur kaam batao.
Haldiram: sahib gaon me sukhan pad gawa, fasal wasal
barbad ho gaye. Kahawe k lale padan hai.
Thoda Karaj mil jawat to hamahu ji leeit.
Sharma ji : aisan nahi karj milat hai. Kuch kagaj wagaj
laye ho.
Haldiram : matalab………..
Sharma ji : matalab….. zamin k likha padhi wale kagaj
pattar..
Ab jao kal aayeo kagaz pattar leke.
Haldiram: accha sahib kal kagaz pattar laike aaibe..
pranaam sahib..
Dhaniya sahib ke haath jod le.
Dhaniya: pranaam sahib.

( he kept on coming in the bank for one month


but the situation didn’t changed either.)
After one month….

Scene 4 (haldiram with dhaniya; coming to the


bank)
Haldiram: aao chali dhania dekhi aaje kauno kaam ban
jaaye… saar mahinan se daurra rahe hai.
Dhaniya: pareshan na ho puttan ke baapu upar waala
chaahi to sab thik ho jaayi.
Bholaram: kaha baba roje daur rahe ho ……..hum kahe
rhahan ki kauno kaam na hoeii.
Haldiram: ha baccha laagat hai tum sahi bolat ho.
Bholaram: jao baba.
Haldiram: sahib mai baap ek mahina se daura rhe
ho……..ab to kagaj pattar bhi pure hain … ab
to karj dai do.
Sharma ji : accha jao mishra ji se mil lo….wahi kuch
batayenge…
Haldiram: chalo dhaniya misra ji k pas chali,dekith hain
unhin se kuch kaam ban jaye.
Haldiram: sahib mai baap pain chuie, karja warja dei duo
sahib,e garib aadmi ka uddhaar karo.
Mishraji: lao kagaz wagaz dikhao……,

(Entry of Shakil Bhai who is a contractor.)

BholaRam: Namaskar Saheb,

Sharma ji : (stand up & hand shake) aur shakil bhai


sab khairiyat.
Shakil : haan sarmaji sab badhiya hai.

Mishraji : (stands up & hand shake) shakil bhai yahan


kaise.

(Mishra says to haldiram “idhar baitho aur chup raho…


shakil bhai ka kaam ho jane do”)

Shakil : bas aise he thoda kaam tha…. Loan lena tha.

Mishraji : aree aapne aane ka kashth kyun kia,kisi ko


bhej dia hota saari formalities hum karwa dete.
Shakil : Mujhe loan 1-2 din me hi chahiye.

Mishraji: aree aapka to direct contact hai manager


se,jaayie milie aaj hi pass karwa liziye.

( shakil meets mr. saxena, bank manager)

Saxena ji: Salaam vaaleikum…….. kaise hain aap?

Shakil: Vaaleikum- a-salaam…. sab khuda ki rahemat


hai.

Saxena ji: aur bataiye kaise aana hua?


kya lenge aap- chai ya thanda.
Ring……ring…..ring…..(for peon)

Shakil : Thoda sa apko kashth dena tha. Car loan


chahiye tha.

Bhola comes………..
Saxena ji : jao kuch chai nasta le aao shakil bhai ke
liye.

Saxena ji: kast ki kya baat hai, hum log aap jaise logo
ki sewa k liye hi hai.
Bataiye kitna loan cahiye.

Shakil: are kuch nahi 15 lakh cahiye tha.

Saxena ji : kaun si car lene ja rahe hai.

Shakil : soch raha hun pazero le lun.

Saxena ji: acchi baat hai….

Ring …..ring……ring….. (for peon)

Bholaram comes…..
Saxena ji : ye documents lo aur srivastava jise saari
formalities poori karwa do.

(Saxena to shakil)

Saxena ji : shakil ji aap ki sari formality main puri


karwa de raha hun….2-3 din me loan mil
jayega.
Par party zaroo deni padegi…
Shakil : Ok saxena ji , bahut bahut sukriya….party
zaroor hogi.

(Shakil walks out of the saxena cabin.)

Mishra ji : Shakil bhai kaam ho gaya.

Shakil : Haan mishra ji loan pass ho gaya..


Mishraji : Badhai ho.

(shakil gives Rs 50 to bholaram)

Bholaram : Sukriya sahib.


(Haldiram and mishraji)

Haldiram : Sahib hamaro kaam karwa do.

Mishraji : Kagaj pattar to thik hain , par uu batao


kuch rupiya upiya lave ho.

Haldiram : Rupiya to hum khud hi tumhin se le aayen


hai..Aur tum humhi se rupiya mang rahe ho.

Mishra ji : Baaba ek baat jaan lo jab tak rupiya na


deho tab tak kauno kaam na hoei…chahe
mahina na saal bhar dauro.
Chalo jao yahan se…
Jab paisa kaudi hoye tab aayon.

Haldiram: Sahib aisa na kaho….

Mishraji : Bholaram isko bahar nikalo.

Bholaram : Chalo baba…. Bahar nikalo.


Scene 4 (village premises)
(Haldiram, Dhaniya and Gram Pradhan lal Krishna
bahugune)
L.k. bahugune: Oye haldiram dhaniya ke saath kaha se
aa rhe ho.
Haldiram: Maai baap, bahut dukhi han.
L.k. bahuune: Ka baat hai?
Haldiram: ka batai maalik aaj ek mahina hui rha, roz
bank jaiet han karza lai, magar kauno suntahe
nahi.
L.k. bahugune: kaahe ka bol rahe hain.
Haldiram: kahat kaam karave khatin pahile paisa do….
Btao hum gaarib aadmi kaha se paisa laayi.
L.k. bahugune: ek kaam karo, bank jao huan unke bade
afsar yaani manager se milo. Unka aapan
samasya btao, uie tumhar madad kar sakat
hain.
Haldiram: kaihika btayo.. munizer!!!
L.k. bahugune: han han………manager.

Scene 5 ( bank premises)


Haldiram comes to the bank…
Mishraji: Tum phir aa gaye dimaag chaatne.
Haldiram: Naahi sahib, humka munizer se milek hai.
Mishraji: Tum unse nhi mil sakte. Wo bahut vyast hai.
Haldiram: Nahi sahib hum aaj mili kai jab. Chaahe kucho
hui jaaye.
Mishraji: Aisa karo tum srivastava ji se mil lo, whi ab
tumko.samjhayenge.

(Haldiram to srivastava ji)


Haldiram: raam raam sahib.
Srivastava ji: kaun ho baba? Kya kaam hai…
Idhar baitho.
Haldiram: humka karaz chahi, mulo eui panchay sunat
naahi hai. Yahei liye hum aap ke paas aayein han.
Srivastava ji: Mishraji ne tumko kuch bataya hai.
Haldiram: eui log paisa maangat han, hum sahib paisa
kaha dei paab.
Srivastava ji: Aisa hai tum manager ki khopdi khao.
waise baba ek baat bataye yaha binaa len
den ke kuch nhi hone waala.
(haldiram goes to the manager…)
Haldiram(rote hue): Sarkaar ab tum hi hamar ek sahara
ho.
Saxena ji: Pehle udhar baitho. Kya pareshaani hai?
Haldiram: Humka sahib karaz chahi. Mahinan se daud
rahin hai magar kauno sunwai nhi hai. Wahi din
ek bada aadmi aawa rahe wahika fauran karaz
milga rahi.
Saxena ji: Ye sab to tjhik hai. Ek mahine se to tum daud
rhe ho lekin tumse jo laane ko kaha gya thaw o
laaye ho ya nahi.
Haldiram: Ha kaagaz laaye han.
Saxena ji: Kaagaz nhi paisa kaudi.
Haldiram: Hum to tum hi ka ek bhale maanus saamaj
kea aye rahen.
Saxena ji: Binaa paise rupaiye key aha kuch nahi hota.
Humein bhi paisa idhar udhar dena hota hai.
Haldiram: sahib hum log bade garib han. Agr karaz na
mila to ka hoi. Hum punche bhuke mar jaieb.
Saxena ji: jao phir tumhara kuch nahi ho sakta. Jab
tumhare paas paisa ho to aa jana.
Haldiram: aisa na karo sahib. Hum punche bhuke mar
jaieb. Kato k na raheb.
Ring..ring..ring
(Bholaram comes)
Saxena ji: Bholaram isse bahar nikalo.
Haldiram: Aisa na karo sahib-2
(chilaate hue)
Jao iss garib ki baddua laagi.. tumhar laika
baccha bhukan mar jaye. Naaspite naas hui
jaaye tumhar.

(Bholaram takes haldiram out of the manager’s


cabin.)

Scene 6 ( Haldiram’s home)


Haldiram commits suicide due to frustration and
humiliation.

Scene 7 (village premises)


( L.k. bahugune goes to maya yadav)
L.k. bahugune: Netaji, kuch pata chala aapko?
Maya yadav: Sarkar, aapke chunav chetra chamrouli
gaon ke ek kissan haldiram ne aatmahatya
kar li.
Maya yadav: Arre iss tarah to kissan marte rahte hai.
Hum kya kare?
L.k. bahugune: Arre sarkar yahi to accha mauka hai
apna ullu sidha karne ka.
Maya yadav: Baat to sahi hai. Chalo chal kar dekhte hai.

( dhaniya and bahini sitting besides haldiram’s


dead body and crying.)

Maya yadav arrives with supporters shouting


slogans………
Maya yadav: bhai log , shaant ho jao ye waqt naare
lagane ka nahi hai, balki inke dukh me saamil
hone ka hai.
Behan ji hum aap ke saath hai aur mai ye
waada karta hu ki doshiyo ko sazaa jarur
dilwaunga.
Dhaniya: Humaar puttan ke bapu marr gayin. Abnk
walon inka kha daren. Ab sazaa dilwa kar ka
kariho.
Maya yadav: Mai haldi ke parivaar waalo ko 1 lakh
rupaiye dene ki ghosna karta hu. Iss bhari
sankat ke samay mai aur meri party aapke
saath hai.
Accha behan ji , mai ab chalta hu.
During midway………
L.k. bahugune: Neta ji, jo aaj aapne gaon me bola hai
usko puraa karenge ya ye vote lene ka
hatkanda hai.
Maya yadav: Arre ye to sab maine gaon me aise hi keh
diya tha. Kaun dekhne jaata hai ki wade poore
hue ki nahi. Hum neta to bane hi hai sirf
waada karne ke liye.
(Then supporters started shouting slogans for
netaji…)

Narrator speaks:
Toh dekha bhaiyon aapne, kis tarah humhare
bharat me kissano ka shoshan ho raha hai.
Anndaata hote hue bhi wo daane daane ke liye
mohtaaj hai. Aur kis tarah humara sarkari tantra
niskriya bana hua hai. Pata nahi kitne haldiram
jaise kissan vidarbh aur bundelkhand me mar rahe
hai, lekin humhari sarkar ke kaano me joo nahi
reng rahi hai. Humhare poorva pradhan mantri
swargiya Lal Bahadur Shastriji ka naara tha “Jai
jawaan, Jai kissan” lekin yaha par to “Pareshan
jaawan, Pareshan kissan” ka bol balla hai.
Toh mere dosto hum aapse ek prashna puchna
chahte hai ki… Kya humare desh ki yahi parampara
rahegi ki ……
” Anndaata hi anna ko tarse”
Aur
Kya har haldiram ka aant aaisa hi hoga?

Agar nahi to jaago, aage badho aur ekjhut hokar


iss samasya ka aant karo.
Issliye, hey! management ke jagruk vidyarthiyon
aur doston, aap logon se appeal hai ki iss jatil
samasya pe chintan karen aur corruption ke khilaaf
ek-jut hon, tabhi humara desh 2020 tak ek vikshit
desh ban payega..tabhi hamara Kissan hoga amar
aur mahan.!!!
To boliye humhare saath…….
“Corruption chodo ya kurshi chodo.”
“Jai hind, jai Bharat.”
∗ Some background music sequences have been
included at some critical junctures.

1. During scene 2, when haldiram and Dhaniya are


going to the bank then the song “Ek tu hi
bharosa ek tu hi sahara…” from movie
Pukaar will be played in background.
2. During scene 3, where shakil is given preference
over haldiram because of the power of
money/status, then the song “ki paisa bolta
hai……….” From movie Kala Bazaar will be
played.
3. During scene 5, when haldiram goes to meet Mr.
Saxena , the bank manager, then the song “
Garibo ki suno wo tumhari sunega” from the
movie DUS LAKH.
4. During scene 6, when haldiram is going to
commit suicide then the song “O paalan
hare…..” from the movie Lagaan.
5. At the end of the scene 7, when narrator is
addressing the audience then the song “ Jaago
re jaago duniya walo…” from the movie
Mother India.

DISCLAIMER: All the characters are fictitious and have no


resemblance to reality. If found. It would be a
mere coincidence.

You might also like