You are on page 1of 10

Brief information about Prophets.

HAZRAT SYYEDINA ADAM ALAIHISSALAM : also known as ABUL BASHAR (father of humans) the adam is of siryani language, according to salabi in hebrew language adam means dust according to ibne khaisma,Hazrat Adam alehissalams life was about 960 years, imam nowi writes in his book TAHZEEB, it is mentioned in some history books that hazrat adam (alehissalam) has lived 1000 years but according to hadees e nabawi, hazrat adam alehissalam has given 40 years from his age to hazrat daood alehissalam thus hazrat adam alehissalam has lived 960 years.. allah knows best ` HAZRAT SYYEDINA ADAM ALAIHISSALAM : Abul basher hain, ye ism ADAM siryani hai, salabi kehte hain ke ibrani zabaan me mitti ko adam kaha jata hai is waste se mitti ki munasibat se hazrat adam alaihissalam ka naam ye rakha gaya. Ibn e khaisma ne kaha hai kea dam alaihissalam ki hayat 960 saal thi, imam nowi apni kitab tehzeeb me bayan karte hain ke history ki kitabo me hazrat adam Alaihis Salaam ka 1000 saal zinda rehna mash hoor hai. Magar hadees e nabawi ki roshni me aap ka hazrat DAOOD alaihissalam ko apni umr se 40 saal dena sabit hai is lehaz se aap ki umr 960 saal sahih maloom hoti hai.. HAZRAT SYYEDINA NOOH ALAIHISSALAM : as reported by Hakim mustadrak, his name is ABDUL GHAFFAR and because he oftenly cry on himself a lot thats why he has given this name NOOHaccording to some sources his name is NOOH Alaihis Salaam Bin LAMK ibne MATOOSHALAKH ibne AKHNOOKH According to TIbrani hazrat abi zar ( (Radiallahu Taala Anhu)) said. I asked with beloved prophet mohammad Peace and Blessings Be Upon Him oh beloved rasool allah (SAWS) who was the first NABI? Rasoolallah SAWS said ADAM Alaihis Salaam , then I asked then who?prophet Peace and Blessings Be Upon Him said NOOH Alaihis Salaam ,and between Hazrat ADAM and NOOH there are 20 centuries it means two thousand years difference.. according to mustadrak ibn e abbas raziallahu anhu said, between ADAM & NOOH there are 10 centuries Allah knows Best (Nooh Alehissalam is also known as ADAM E SAANI which means SECOND ADAM, And Nooh Alehissalam was the First Rasool HAZRAT SYYEDINA NOOH ALAIHISSALAM : Hakim mustadrak bayan karte hain ke, inka naam ABDUL GHAFFAR hai aur chunke ye apni zaat ke liye bakasrat roya karte the isi liye inka naam NOOH pad gaya. Aur Hakim ye bhi kehte hain ki aksar sahaba (rizwanullah alaihim ajmayeen) NOOH alaihissalam ke IDREES alaihissalam se pehle hone ko mante hain. NOOH Alaihis Salaam Bin LAMK ibne MATOOSHALAKH ibne AKHNOOKH.. Aur mash hoor qaul ke mutabiq AKHNOOKH hi IDREES alaihissalam hain . Aur Tibrani hazrat abi zar ( Rahmatullahi Allaih) se riwayat karte hain ke unho ne kaha. mai ne rasool allah sallallahu alaihi wasallam se arz ki key a rasool allah (SAWS) sab se pehle nabi kon hain? Rasoolallah SAWS ne irshad farmaya ADAM Alaihis Salaam , mai ne kaha phir kaun? Irshad kiya hazrat NOOH Alaihis Salaam ,aur Hazrat ADAM aur NOOH ke darmayan 20 sadiyan (20 centuries) hain yani 2 hazar saal ka arsa. aur mustadrak me ibn e abbas raziallahu anhu se marwi hai, unho ne kaha ADAM aur NOOH ke darmayan 10 sadiyo (10 centuries) ka fasla tha.

Mustadrak hi me ibn e abbas Rahmatullahi Allaih se marfooan marwi hai ke khuda taala ne NOOH Alaihis Salaam ko 40 saal ki umr me risalat ke saath maboos farmaya, pas wo 950 saal zinda rehker apni qaum ko khuda ki taraf bulate raheaur toofaan ke baad 60 saal zinda rahe, yahan tak ke inke samne hi admiyo ki kasrat hogai aur wo dunya me khoob phail gaye.Quraan me bhi aap ki umr 950 saal batai gai hai. (nooh Alaihis Salaam ko adam e saani bhi kaha jata hai, aur nooh alaihissalam sabse pehle rasool the HAZRAT IDREES ALAIHISSALAM : AKHNOOKH bin YARAD bin MEHLAEEL bin ANOOSH bin QAINAAN ibne SHUAEB bin ADAM Alaihis Salaam . a weak narration is mentioned in Mustadrak The prophet of Allah IDREES Alaihis Salaam was White, Tall with Big stomach, and with wide chest , he had very few hairs on his body but h have head full of hairshis one eye was bigger than his other eye, he had a white patch on his chest which is MOHR E NUBUWAT , when the people of earth went into dark path and were not listening and not ready to come on right path then allah subhanahu wa taala have called IDREES Alaihis Salaam to 6th heaven (sky) , and it is mentioned in quraan warafanahu makanan aliyya According to ibn e Qatba when allah subhanahu wa taala taken IDREES Alaihis Salaam to the 6th sky he was 350 years old. according to ibn e hibban IDREES Alaihis Salaam was both NABI and RASOOL and he was the first person to invent PEN. (the first inventor of writing with qalam). HAZRAT IDREES ALAIHISSALAM : kaha gaya hai ke wo NOOH Alaihis Salaam se pehle guzre hain. Aur unka nasab is tarah hai AKHNOOKH bin YARAD bin MEHLAEEL bin ANOOSH bin QAINAAN ibne SHUAEB bin ADAM Alaihis Salaam . ek qaul ke mutabiq ye ism arbi ke lafz DRASTA se mushtaq hai jiski waja ye thi ke IDREES alaihissalam SOHF E ASMANI ka bakasrat dars diya karte the. Mustadrak me ek kamzoor si sanad ke saath Hassan se bawasta samrah marwi hai ke unho ne kaha Allah ke Nabi IDREES Alaihis Salaam safeed rang ke, unche lambe, bade pet wale, aur chaude sine wale the, unke jism par baal bohot kam the aur sar pe bakasrat baal the, unki ek ankh dusri ankh se badi thi, aur unke sine me ek safeed dagh tha marz e bars ka dagh na tha balki wo ek MOHR E NUBUWAT tha, phir jab ke Allah pak ne ahle zameen ke zulm aur ahkam me tadi karne ki nihayat buri halat dekhi to IDREES Alaihis Salaam ko chhatwe (6th ) asman pe utha liya, aur isi ke bare me quran fermata hai warafanahu makanan aliyya Aur ibn e Qatba ne zikr kiya hai ke jiswaqt jiswaqt IDREES Alaihis Salaam Asman par uthae gaye us waqt unki umr 350 saal thi. Aur ibn e hibban ki sahih me aaya hai ke IDREES Alaihis Salaam NABI aur RASOOL the aur wo pehle shaks the jinho ne QALAM SE LIKHNA EJAAD kya. (the first inventor of writing with qalam).

HAZRAT IBRAHEEM ALAIHISSALAM : is baat ki hikayat kirmani ne apni kitab AL AJAEB me ki hai ke Hazrat IBRAHEEM Alaihis Salaam AZAR ke bte hain, aur azar ka naam TAREH tha,aur wo NAHOOR SHAROOKH ke bte hain. IBRAHEEM ibne AZAR ibne NAHOOR SHAROOKH ibne RAQGOO ibne FALAKH ibne AABIR ibne SHALIKH ibne AZAFSHAKHAD bin SAAM bin NOOH Alaihis Salaam . Ek qaul ke mutabiq hazrat IBRAHEEM Alaihis Salaam takhleeq e ADAM Alaihis Salaam ke 2 hazar saal ke intehai sire per paida hue. Aur mustadrak me anb ul musayab ke tareeq par hazrat abi huraira raziallahu anhu se marwi hai ke unho ne kaha IBRAHEEM Alaihis Salaam ne 120 saal ke bad khatna (circumcision) karaya tha, aur wo 200 saal ki umr paker faut hue aur imam nowi ne ek qaul ki hikayat ki hai jis se maloom hota hai ke Hazrat IBRAHEEM Alaihis Salaam ne 175 saal ki umr paai HAZRAT ISMAEEL ALAIHISSALAM : Jwalegi ka qaul hai ke ye naam akhar me NOON ke saath bhi kaha jata hai ISMAEEN. Imam NOWI wagerah ne likha hai ke ye hazrat IBRAHEEM Alaihis Salaam ke bade bte hain. Huzoor Muhammad Mustafa sallallahu alaihi wasallam in hi ki nasal me se hain. HAZRAT ISHAAQ ALAIHISSALAM : ye hazrat ISMAEEL Alaihis Salaam ki wiladat ke 14 saal baad paida hue aur 180 saal ki hayat paai, aur bu ali mashkooba ne kitab nadeem ul fareed me zikr kiya hai ke IBRANI zaban me ISHAAQ ke meaning ZAHHAK yani bohot hansne wala hote hain. HAZRAT YAQOOB ALAIHISSALAM : inho ne 147 saal ki hayat paai HAZRAT YOOSUF ALAIHISSALAM : Mustadrak me hassan se marwi hai ke yoosuf alaihissalam 12 saal ke the jab unko andhe kuwein me dala gaya tha, uske baad wo 80 saal ke baad apne walid hazrat yaqoob alaihissalam se mile. Unho ne 120 saal ki hayaat paai. Ek sahih hadees me marwi hai ke hazrat yoosuf alaihissalam ko husn ka nisf {adha} hissa ataa hua tha. Baaz ulama ne hazrat yoosuf alaihissalam ko RASOOL bataya hai jiski daleel quraan ki ayat hai, HAZRAT LOOT ALAEHISSALAM : ibne ishaaq kehte hain wo loot ibne haraan bin azar hain aur mustadrak me ibne abbas raziallahu anhu se marwi hai ke unho ne kaha loot alehissalam hazrat ibraheem alehissalam ke bhatije the HAZRAT HOOD ALEHISSALAM : hazrat kaab raziallahu anhu ne kaha ke hood alehisalam hazrat adam alehisalam se nihayat mushabh (same in looks) the, aur hazrat ibn e masood raziallhu anhu kehte hain ke wo bade mustaqil mizaaj aur bohot hi saabir (sabar karne wale) the. ye dono riwayate mustadrak me hain. aur ibn e hisham ra ne kaha hai ke hood alehisalam ka naam aabir bin arfahshad bin saam bin nooh hai aur kisi doosre shakhs ka kehna hai ke hood alehisalam ke nasab ke bare me ye qaul zada motebar hai ke wo hood bin abdallah bin rayah bin hawaz bin aad bin awaz bin iram bin saam bin nooh hain HAZRAT SALEH ALEHISSALAM : wahab ne kaha hai wo ubaid ke bete hain aur ubaid bin hayar bin samood bin hayar bin saam bin nooh alehisalam hain wo surkh o safeed rangat (red and white color, as todays americans are) the aur narm aur khushnuma (beautiful) balo (hairs)

wale the. wo apni qaum me 40 saal tak rahe, aur nauf al shami bayan karte hain ke saleh alehisalam mulk e arab ke paighambar the jiswaqt khuda wand e kareem ne qaum e aad ko halaak kardiya to iske baad qaum e samood ki abadi badhi aur unho ne qaum e samood ko jabke wo san raseeda (old aged) hochuke the us waqt apni qaum ko khuda ki taraf bulaya, aur nooh alehissalam aur ibraheem alehissalam ke darmayan me siwae hazrat hood aur hazarat saleh alehimusslam ke aur koi nabi nahi aye in dono riwayato ko hakim mustadrak ne likha hai..unka nasab nama ye hai ubaid bin asneef bin mashej bin ubaid bin hazar bin samood bin aad bin awaz bin iram bin saam bin nooh unho ne shaher e makkah me wafaat paai, aur unki umer 58 years thi. HAZRAT SHUAIB ALAIHISSALAM : ibn e ishaaq ne kaha hai wo mekail yashjeen bin laadi bin yaqoob alaihissalam hain aur imaam nowi ki kitaab AL TAHZEEB me likha hai ke wo shuaib bin mekail bin yushjeen bin madyan bin ibraheem Aleh Salam hain aur wo do qumo ki taraf rasool banakar bheje gaye the, 1. ahle madyan. 2. ashaabul aikahhazrat shuaib alehissalam bade namazi the aur akhiri umar me unki beenai (sight/vision) jaati rahi thi. usaddi aur akramah wagerah ne kaha hai ke siwa e hazrat shuaib alehissalam ke allah taala ne kisi aur ko do martaba nubuwwat dekar nahi bheja. aur ibne kaseer ka kehna hai ke baaz logo ne kaha hai ke shuaib alehissalam 3 qaumo ke taraf nabi banakar bheje gaye the wo teesri qaum 3. ashaab ul rrass. hai (it means hazrat shuaib Aleh Salam is the only messenger who have been given apostleship for 2 or 3 times..1. towards ahle madyan, 2. towards ashabul aikah,, 3. towards ashaburrass)pehli baar hazrat shuaib alehissalam ko ahle madyan ki taraf bheja to us qaum ki nafarmaani ki wajah se allah paak ne us qaum par darawni awaaz ya cheekh wala azaab nazil farmaya.dusri baar hazrat shuaib alehissalam ASHABUL AIKAH ki taraf nabi banakar bheje gaye, aur un logo ne bhi nafarmani ki aur allah ne un par saya ka din ka azaab nazil kiya jisme ek pahaad unke uper saibaan (roof) ki tarah jhuka hua tha aur akhar me wo pahad un par gir gaya jiske niche sab ke sab dab kar margaye. tisri qaum ashaburrass ke bare me koi qaul nazar se nahi guzra. HAZRAT MOOSA ALEHISSALAM : ye IMRAN BIN YASHAR BIN FAHISHT BIN LAAWI BIN YAQOOB alehissalam the, inke nasab me koi ikhtelaaf nahi hai aur MOOSA siryani zabaan ka naam hai, abu al shaikh ne akrama (Rahmatullahi Allaih) ke tareeq par ibn e abbas raziallahu anhu se riwayat ki hai ke moosa Alaihis Salaam ka naam MOOSA is liye rakha gaya kyunke wo darakht (tree) aur paani ke darmayan daale gaye the, therefore kyunke QIBTI language me paani ko MOO aur darakht ko SAA keht hain. aur sahih hadees me unki sifat yun aai hai. wo gandum rangat (wheatish color), draaz qamat (tallest) aur ghungriyale (ringed hairs) wale the aur wo qabeela e shunwah ke the. aur salabi ke qaul ke mutabiq unki umr 120 saal thi. HAZRAT HAROON ALEHISSALAM (biblical AARON) : haroonalehissalam was own brother of hazrat moosa alehissalam, there is one saying that haroonalehissalam was moosaalehissalams step brother from his mother. These two saying are proclaimed by kirmani in his book AJAEB..

haroonalehissalam was taller than hazrat moosaalehissalam, and very good conversationalist. He was born one year before moosaalehissalam. It is mentioned in some ahaadith of ascending (meraj night) that rasool allah Peace and Blessings Be Upon Him has said when I reach on the fifth sky there I saw haroonas, his beard was half black and half white, and it was so long that its reaching very near to his navel. I asked o jibraelalehissalam who is he? Jibraelalehissalam answered : he is very loved and famous personality in his people haroon bin imran. ibne mashkoya has stated that in ibraani language haroon means loved and har dil azeez jisko sab chahte ho. (I dont know the exact translation of this word) HAZRAT DAOOD ALAIHISSALAM (biblical DAVID) : his genealogy is IESHA BIN AWBAD BIN BA^AR BIN SALMOON BIN SALMOON BIN YAKHSHOON BIN AMI BIN YARB BIN RAAM BIN HAZROON BIN FARAS BIN YAHUDAA BIN YAQOOB It is stated in tirmizi shareef that hazrat daoodalehissalam was very righteous (ibadath guzaar)human being. Ka^ab stated that daoodalehissalams face was reddish, his beard was long and curvy and his voice was very melodious. Allah subhanahu wata^aala granted him both nubuwwat and worldly kingship together, imam nowi reported historians say that daoodalehissalam lived (in this world) till 100 years, out of this 100 years the reign of his kingship was 40 years.hazrat suleman alehissalam was one of his 12 sons. HAZRAT SULEMAN ALEHISSALAM (biblical SOLOMON) : the blessed son of hazrat daood alehissalam, his blessed father daood alehissalam always take advices from suleman alehissalam while hazrat suleman alehissam was still below teenage, because suleman alehissalam was very wise and clever. ibne jubair has copied from hazrat ibne abbas raziallahu anhu that he said two momins have got kingship of the whole world that is hazrat SULEMAN alehissalam and hazrat ZUL QARNAIN, and two kafirs (disblievers) have ruled over the whole world, that is NAMROOD and BAKHT NASR. historians stated that hazrat suleman alehissalam taken the charge of kingship while he was only 13 years oldand after 4 years of taking the charge of kingship he started building baitul maqdas (masjid e aqsa)and departed from this world at the age of 53. HAZRAT AYYOOB ALEHISSALAM (biblical JOB) : according to ibne ishaaq hazrat ayyub alehissalam was from bani israel and there is nothing prooved authentically about his ancestors accept his father name that was ABYAZ.according to ibne asaakar : the daughter of hazrat LOOT alehissalam is the mother of hazrat ayyub alehissalam and the father of ayyub alehissalam is on of those who bring imaan on hazrat ibraheem alehissalam. when allah subhanahu wa taala was taking examination of hazrat ayyub alehissalam with diseases he was 70 years old and there was 3 different reporting about the period of his disease testing 1.it was 7 years period

2.it was 13 years 3.it was 3 years according to tibrani : hazrat ayyub alehissalam had lived in this world till 93 years. HAZRAT ZUL KIFL ALEHISSALAM : it is reported that he was son of hazrat ayyub alehissalam. it reported in mustadrak by vahab that, Allah subhanahu wataaala have given nubuwwat after hazrat ayyub alehissalam to his son bashar bin ayyub Alaihis Salaam and named him ZUL KIFL, and ordered him to preach humans about oneness of allah subhanahu wataala.he spent all his life in SHAM (country located near Egypt), he lived in this world till 75 years.[meaning of zul kifl is zimmedari wala, not sure about english exact translation but may be..the person who holds responsibility] There is nothing authentically proved regarding his name and nubuwwat, and historians and ulama have different sayings about him, below i am mentioning some various sayings from historians and ulama in short. 1. he was a prophet (nabi) whose name is zul kifl 2. he was zakariya alehissalam 3. he was AL YASAA alehissalam 4. his name was yooshaa bin noon 5. he was a pious man (or we can say WALI) he had taken some responsibilities and fulfilled it (thats why he got this name) 6.according to ibne asaakar he was a prophet (nabi) and Allah subhanahu wataala have taken the responsibility for him that, allah will give him the double rewards for his deeds comparing to other prophets. 7. he had taken the responsibility that he will pray 100 rakats every day Allah Knows Best HAZRAT YOONUS ALEHISSALAM : the only thing i know about his genealogy is his fathers name, that is MATA, there are different sayings about the incident of fish and yoonus alehissalamibne abi hatim has copied from malik yoonus alehissalam was trapped in the stomach of fish for forty days.qataada raziallahu anhu reported he was trapped in for three days only imaam jaafar sadiq rahmatullah alehi reported he was trapped in the stomach of fish for seven days and shaabi reported that the fish swallowed him at the time of chasht (around 9 AM) and regurgitated same day in the evening. ALLAH KNOWS BEST the name can be pronounced by three ways i:e U A and i after N. 1. Yoonus Alehissalam 2. Yoonas Alehissalam 3. Yoonis Alehissalam the first one used most commonly YOONUS ALEHISSALAM To Be Continued.. HAZRAT ILYAAS ALEHISSALAM (biblical ELIAS or ELIJAH) :

his genealogy is ILYAS BIN YASEEN BIN FAKHAAS BIN ALAEZAAR BIN HAROON (brother of musa Peace and Blessings Be Upon Him ) BIN IMRAN as reported by ibne ishaq in al mubtada. Ibne asaakar has reported that ILYAS alehissalam was descendant of hazrat YOSHA alehissalam. according VAHAB (Rahmatullahi Allaih) ilyas alehissalam have also blessed with endless life same as hazrat KHIZAR alehissalam he will remain in this world until the day of judgment comes closer. somewhere it is narrated by hazrat Ibne Masood raziallahu anhu Ilyas alehissalam is Idrees alehissalam which means they both are same. allah knows best. Hazrat Al-Yasaa Alehissalam : I dont have any information about him except he is the son of akhtoob bin al-ajooz HAZRAT ZAKARIYA ALEHISSALAM : he was the descendant of suleman bin daood alehissalam, he was also murdered after his son yahya alehissalams assassination. at the age of 92 he got blessed information about allah subhanahu wa taala granting him son at this age.. HAZRAT YAHYA ALEHISSALAM : he is the son of hazrat zakariya alehissalam and it is proved from quran that he was the first human being who got this name YAHYA . he was born just 6 months before hazrat Isa alehissalam, have given the prophet-hood in his childhood.he was assasinated by cruel peoples of his ummah. allah almighty had impose the army of bakht nasar (a disbeliever king who ruled the whole world) on the murderes of yahya alehissalamHazrat yahya alehissalam : ye hazrat zakariya alehissalam ke farzand aur sabse pehle shaks hain jinka naam yahya rakha gaya, ye baat quran ke nas se sabit hui hai, ye hazrat eesa alehissalam se 6 mahine pehle paida hue, aur bachpan hi me martaba e nubuwwat pe fayz hue. ye zulm se qatal hue aur inke qatilo par khuda wande paak ne bakht nasr aur uski fauj ko musallat kiya (bakht nasr ek kafir badshah tha jisne tamam dunya par hukumat ki thi) HAZRAT EESA ALEHISSALAM : Ibne maryam binte imran, Allah almighty have created him without biological father. there are 4 different saying regarding the period of pregnancy, Esa alehissalam was fetus for 1. 1 hour 2. 3 hours 3. 6 months 4. 9 months [allah knows best] and there are 2 different saying regarding the age of hazrat maryam alehissalam at the birth of hazrat esa alehissalam. 1. she was 10 years old 2. she was 15 years old [allah knows best]hazrat esa alehissalam was raised unto the heaven at the age of 33. it is proved from ahadith that he will come back again, and he will

kill the DAJJAL, and he will get married, and he will have children, and he will perform HUJJ and he will live in this world for 7 years, and he will be buried just beside hazrat muhammad mustafa sallallahu alehi wasallam according hadith his features are : he is of medium hight, white with the mixture of red color, if you see him he will look like he has just taken a shower and coming from bathroom.P.S : Ibne abi hatim (Rahmatullahi Allaih) narrated on the authority of hazrat ibne abbas raziallahu anhu that he said among all the prophets there is no one who have got TWO names except hazrat Eisa alehissala and hazrat muhammad sallallahu alehi wasallam Hazrat Eesa Alehissalam : ye Eisa ibne maryam binte imran hain, khuda wand e paak ne inko baghair baap ke paida kia, inke hamal me rehne ki muddat ke mutalliq 4 qaul hain. 1. 1 ek saat 2. 3 saat 3. 6 maah 4. 9 maah {allah aur uska rasool behter jante hain}unki walda hazrat maryam alehissalam ki umr eisa alehissalam ki wiladat ke waqt kitni thi is bare me bhi do mukhtalif qaul hain. 1. wo 10 saal ki thein 2. wo 15 saal ki thein {allah aur uska rasool beher jante hain}Eisa alehissalam jab aasman par uthae gaye the us waqt unki umar 33 saal thi, aur ye baat hadeeso se sabit hai ke wo phir is dunya me ayenge dajjal ko marenge, unki shadi hogi, unke bacche honge, wo HUJ ada karenge, wo is dunya me 7 saal tehrenge aur phir wisaal farmaenge aur phir huzoor sallallahu alehi wasallam ke barabar me madfoon honge. unki shabahat ke mutalliq hadees me aya hai ke wo ausat qad ke surkh o safeed rangat wale hain, unki shabahat se aisa maloom hota hai ke wo abhi abhi hamaam se baramad hue hain. Fyda: ibne abi hatim rahmatullah alehi ne hazrat ibne abbas raziallahu anhu se riwayat ki hai ke unho ne kaha nabiyo me se siwae hazrat eisa alehissalam aur hazrat muhammad mustafa sallallahu alehi wasallam ke koi nabi aise nahi hain jinke 2 naam rahe ho HAZRAT SYEDINA MUHAMMAD SALLALLAHU ALEHI WASALLAM:there are lot of attributes mentioned in quran kareem for our beloved prophet Peace and Blessings Be Upon Him but over all there are two names MUHAMMAD and AHMAD. there are 4 places in quran where the name MUHAMMAD is mentioned and there are 1 places where the name AHMAD is mentioned.. taahaa, yaseen are also attributes of prophet muhammad Peace and Blessings Be Upon Him only allah almighty knows the correct meaning of these attributes.some lines from my dada peers poetry :kis tarah pukaare tumhe kya kaha kare? dekha ho jis ne aap ko maula wo kya kare naamo se hai huzoor ke quraan bhara hua kis naam se huzoor ye ghulam ilteja kare sab naam hai huzoor ke HUQ ke kahe hue kaise khitab e huq ko ye banda adaa kare beloved prophet muhammad Peace and Blessings Be Upon Him in the view of quraan : that ye may assist and honour Him, But honour belongs to Allah and His Messenger, and to the Believers; but the Hypocrites know not. He who obeys the Messenger, obeys Allah.

Say: If ye do love Allah, Follow me: So take what the Messenger assigns to you, and deny yourselves that which he withholds from you. kar nazar ik idhar bhi o madine wale teri rahmat ke siwa hum nahi jeene wale (taybat e ghousi) 1. before mauleed of beloved prophet muhammad Peace and Blessings Be Upon Him , jews and christian take intercession on the name of our beloved prophet. 2. almighty allah have attributed our beloved prophet as RAOOF and RAHEEM 3. because of our beloved prophet muhammad Peace and Blessings Be Upon Him this world is safe from all kinds of calamity by divine permission. 4. it is mentioned in surah e ahzaab ayat number 56 that,, Innallaha wamalaikatahu yusalloona alannabiyy, ya ayyuhallatheena amanoo salloo alayhi wasallimoo tasleema Allah and His angels send blessings on the Prophet: O ye that believe! Send ye blessings on him, and salute him with all respect. [33:56] 5. the ascension of our beloved prophet muhammad Peace and Blessings Be Upon Him was bodily ascension, and prophet Peace and Blessings Be Upon Him has seen allah subhanahu wa taala by his own eyes. and allah almighty have said this in sura najm ayat 17 Ma zagha albasaru wama tagha 53:17 (His) sight never swerved, nor did it go wrong! wasallallah alaa noorin kazu shud noor haa paeda zamee az hub oo sakin falak dar ishq oshedaa. our beloved prophet muhammad Peace and Blessings Be Upon Him is the last and final messenger no one will come after him till the day of judgment. and prophet esa Peace and Blessings Be Upon Him also will come as and ummati of our beloved prophet muhammad Peace and Blessings Be Upon Him . it is true that if all the oceans become ink and all the trees becom pen then also it will not provide enough ink and pen to write some thing about our beloved prophet muhammad Peace and Blessings Be Upon Him . HAZRAT SYEDINA MUHAMMAD SALLALLAHU ALEHI WASALLAM : quraan me aapke bakasrat naam liye gaye hain az jumla do naam MUHAMMAD aur AHMAD hain, quraan me 4 jagah isme MUHAMMAD aya hai aur 1 jagah isme AHMAD aya hai, wese taaha, yaseen aur haameem ye sab huzoor hi ke alqabi naam hain jinke maana allah hi ko maloom hai. mere dada peer hazrat ghousi shah farmate hain kis tarah pukaare tumhe kya kaha kare? dekha ho jis ne aap ko maula wo kya kare naamo se hai huzoor ke quraan bhara hua kis naam se huzoor ye ghulam ilteja kare sab naam hai huzoor ke HUQ ke kahe hue kaise khitab e huq ko ye banda adaa kare azmat e risalat maab sallallahu alehi wasallam quraan ke aaene me.

huzoor ki izzat karo aur tauqeer karo beshak izzat allah ki hai aur uske rasool ki izzat hai aur momino ki bhi izzat hai lekin munafiq nahi jante. isne rasool ki itaaat ki usne allah ki itaaat ki aap keh dijiye ke agar tum allah se mohabbat rakhte ho to meri itteba karo jo kuch tumhe rasool de wo lelo aur jis se mana kare ruk jao. kar nazar idhar bhi o madeene wale teri rahmat ke siwa hum nahi jeene wale 1. rasoolallah ki besaat se qable yahood o nasaara bhi aap sallallahu alehi wasallam ke waseele se dua mangte the. 2. allah subhanahu wa taala ne aap ko RAOOF o RAHEEM bhi kaha hai. 3. huzoor sallalahu alehi wasallam ki wajah se ye dunya bade azaabo se bachi hui hai. 4. sura e ahzaab ki 56wi ayat me hai ke beshak allah aur uske farishte nabi sallallahu alehi wasallam par durood bhejte chale jarahe hain, ae imaan walo tum bhi in (hazrat muhammad sallallahu alehi wasallam) par durood o salam bheja karo. allahumma salli alaa syyedina muhammad wa alaa alihi wa ashabihi wa barik wasallim. 5. huzoor sallallahu alehi wasallam ko jismani meraaj hui hai aur aap sallalahu alehi wasallam ne allah ko arsh e aala se bhi agey jakar apni ankho se dekha hai. aur allah ne aap ke dekhne par sure najm ki 17wi ayat me apki ankho ki tareef bhi ki hai aapki ankhe na chundhyai aur na jhapki huzoor sallallahu alehi wasallam allah ke aakhri nabi aur rasool hain, aapke baad koi nabi qayamat tak nahi aayega.. hazar esa alehissalam bhi muhammad sallallahu alehi wasallam ke ummati bankar hi ayenge. wasallallah alaa noorin kazu shud noor haa paeda zamee az hub oo sakin falak dar ishq oshedaa. jo nabi se muhabbat rakhe wo musalman hai aur jo nabi se bughz rakhe wo munafiq hai. aap sallallahu alehi wasallam ki shaan me jitna bhi likho kam hi hai.. allahumma salli alaa syedina muhammad wa alaa alihi wa ashaabihi wabarik wasallim

You might also like