You are on page 1of 1

Aye raat na dhalna ke ujad jayegi Zainab Bhai se dame subho bichar jayegi Zainab Sone de sakina ko ke phir

so na sakegi Rona bhi ja chahegi to phir ro na sakegi Asghar se mulaqat to phir ho na sakegi Aye raat na dhalna ke ujad jayegi Zainab Ghabrae hue laal hai sahmi hui maayain Jee bhar ke main de loo ali akbar ko duae Lena hai abhi auno- mohammad ki balaye Aye raat na dhalna ke ujad jayegi Zainab Har chand se bachon ki abhi pyas hai baqi Kuch ankh me hasrat to kuch aas hai baqi Lekin mera bhai mera abbas hai baqi Aye raat na dhalna ke ujad jayegi Zainab Baqi hai abhi aale mohamad ka safina Beti ko sulane ko hai shabbir ka sina Jhoola ali asghar ka juhlati hai sakena Aye raat na dhalna ke ujad jayegi Zainab Kal kon sunega ye meri aaho buka bhi Hoga tahe khanjar mere bhai ka gala bhi Khaima to kuja sar pe na hongi ye rida bhi Aye raat na dhalna ke ujad jayegi Zainab Aye raat gahri bhar ko to rehane skoon meen Kir jayenge nasir mere aaela ki sofon meen Chand se chehra to naha jayenge khoon meen Aye raat na dhalna ke ujad jayegi Zainab

You might also like