You are on page 1of 16

RAMADAN

BISMILLAH-HIRRAHMAN-NIRRAHIM

Hadith: Roza Dojakh se aisee dhal hain jaisey ladaii mein tumharey pass dhal hoti hai
***********************
Urdu Translation:

Hazrat Uthman bin Abu Aas Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne
farmaya Roza Dojakh se aisee dhal hain jaisey ladaii mein tumharey pass dhal hoti hai

{Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1639}

***************************

English Translation:

Narrated Uthman bin Abu Aas may ALLAH be pleased with him that Prophet Peace be upon him said
'Fasting is a shield against the Fire just like the shield of anyone of you against fighting."'

{(Sahih) Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1639}


Bismillah irrahman nirrahim

Al Quran: Jo Ramadan ke mahiney mein mojud ho usey chahiye ki purey rozey rakhey
***********************
Urdu Translation :

Ramadhan ka wo mahina hai jismein Quran nazeel hua jo logon ka rahnuma hai (jismein) hidayat ki khuli
nishaniya hain aur jo (Haq aur batil) ko alag alag karney wala hai to jo koi tum mein se is mahiney mein
mojud ho usey chahiye ki purey mahiney ke rozey rakhey aur jo beemar ho ya safar mein ho to dusrey
dino mein iska shumar kar le , Allah tumhery haq mein aasani chahta hai aur sakhti nahi chahta , aur taki
tum shumar pura kar lo aur is Ehsan ke badley ki Allah taala ne tumhey hidayat bakhshi tum uski badaii
bayan karo uska shukar karo.

{Al Quran : Surah bakra (2) , Verse 185 }



Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith : Jo kisi Rozeydar ka roza iftar karaye to usko bhi uskey barabar sawab milega
*************************
Urdu Translation:

Hazrat Zaid bin Khalid radi-allahu-anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu-Alaihi-Wasallam
nefarmaya Jo kisi Rozeydar ka roza iftar karaye
to usko bhi uskey barabar sawab milega aur rozeydar ke sawab mein kami bhi nahi hogi

{Sunan Ibn Majah,Vol 1,#1746}

****************************

English Translation:

Narrated by Zaid bin Khalid may ALLAH be pleased with him said: The prophet peace be upon him said
Whoever gives food to a fasting person
with which to break his fast, will have a reward equal to his, without it detracting in the slightest from
the reward of the fasting person.

{Sunan Ibn Majah, Vol 2,#1746}




Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith: Sari umar ke rozey bhi Ramadhan k ek rozey ki kami ko pura nahi kar saktey
*************************
Urdu Translation:

Abu Hurairah Radi allaho anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne
farmaya agar kisi ne Allah ki di huyee rukhsat ke alawa ramadhan ka roza na rakha ( ya tod diya)
to sari umar ke rozey bhi iski kami ko pura na kar sakegey.

{Sunan Abu Dawud, Vol2, No. 624}

***********************************
English Translation:

Narrated AbuHurayrah Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: If
anyone breaks ( or leaves) his fast one day in Ramadan without a concession granted to him by
Allah, a perpetual fast will not atone for it.

{Sunan Abu Dawud, Book 13, Number 2390}



Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jisne imaan ke saath sawab ki niyat se Ramadhan ke sarey rozey rakhey uskey pichley sarey
gunah bakhsh diye jayengey
**********************
Urdu Translation:

Abu hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jisne
imaan ke saath sawab ki niyat se Ramadhan ke rozey rakhey uskey pichley sarey gunah bakhsh diye
jayengey

{Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #1641-Sahih}

**************************

English Translation:

It was narrated from Abu Hurairah radi allahu anhu that the Messenger of Allah peace be upon him said
whoever fasts Ramadan out of faith and the hope of reward will be forgiven his previous sins.

{Sunan Ibn Majah, Vol 1, Book 7, #1641-Sahih}



Mafhum-e-Hadith: Allah subhanahu ko jhoot bolney wale logon ke rozey ki koi jarurat nahi
**********************
Urdu Translation:

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne
farmaya agar koi shaksh (roza rakhkar bhi) jhoot bolna aur dagabazi karna na chorey to Allah
subhanahu ko uski koi jarurat nahi ki wo apna khana peena chor de

{Sahih Bukhari, Vol 3, 1903}

******************************

English Translation:

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu alaihi wasallam said,
"Whoever does not give up forged speech and evil actions, Allah is not in need of his leaving his
food and drink (i.e. Allah will not accept his fasting.)"

{Sahih Bukhari, Book 31, Number 127}




Mafhum-e-Hadith: Ramadhan ka Roza todney par kaffara
**********************
Urdu Translation:

Abu hurairah Radi allahu anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne hukm
kiya ek shaksh ko jisney ramadhan mein roza tod diya tha ki ek ghulam ko aazad karey ya 2
mahiney ke rozey rakhey ya 60 miskin ko khana khilaye.

{Sahih Muslim, 2599 }

-----------------------------------------------
Like us: https://www.facebook.com/JoinOnlyQuranHadith
----------------------------------------------

English Translation:

Humaid b. Abd al-Rahman reported that Abu Huraira had narrated to him that the Apostle of
Allah (may peace be upon him) commanded the person (who) broke the fast in Ramadan to free
a slave or observe fasts for two (consecutive) months or feed sixty poor persons.

{Sahih Muslim, Book 006, Number 2461}



Bismillahirrahmanirrahim

Naye chand ko dekhkar padney ki dua - Pls share maximum taki har koi ye dua pad sakey*
*************************
Urdu Translation:




Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam jab chand dekhtey to ye dua padtey

Allahumma ahillahu alaina bil-amni wal-iman, was-salamati wal-Islam,
Rabbi wa Rabbuk-Allah, Hilalu rushdin wa khairin

Eh Allah hum par is chand ko khair , imaan , salamati aur islam ke saath tulu farma (Eh chand) mera aur
tra RAB Allah hi hai

{ Jamia Tirmidhi, Vol 2, 1376-Hasan}




Hadith: iftar ke waqt rozedar ki dua radd nahi hoti
------------------------------
Urdu Translation:

Abdullah bin Amr bin As Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne
farmaya iftar ke waqt rozedar ki dua radd nahi hoti

{Sunan ibn Majah, vol 1, 1753-Hasan}

-------------------------------------
Like us: https://www.facebook.com/JoinOnlyQuranHadith
-------------------------------------
English Translation:

It was narrated from Abdullah bin Amr bin As that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said
When the fasting person breaks his fast, his supplication is not turned back.

{Sunan ibn Majah, Vol 1, Book 7, 1753-hasan}



ROZA IFTAR KARNE KI DUA (Dua upon breaking the fast)
-----------------------------------

Dhahab-a-amau, wabtallat-il-urooqu, wa thabat-al-ajru in shaa allaah




{Abu Dawud No# 2357 }



Hadith: jab tum mein se koi roza iftar karney lagey to khajur se iftar karey aur agar khajur na miley to
paani se karey
***********************
Urdu Translation:

Salman bin Amr radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jab
tum mein se koi roza iftar karney lagey to khajur se iftar karey aur agar khajur na miley to paani se karey
kyunki paani paak karney wala hai

{Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1699-Sahih}

------------------------------------------
Like us: https://www.facebook.com/JoinOnlyQuranHadith
----------------------------------------------

English Translation:

Salman bin Amr radi allahu anhu narrated that the Messenger of Allah peace be upon him said: When
any one of you breaks his fast, let him break it with dates.
If he cannot find dates, then let him break it with water, for it is a means of purification.

{Sunan Ibn Majah, Vol 1 , Book 7, 1699-Sahih}



Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : agar koi shaksh us sey ladey ya usey gaali de to uska jawab sirf ye kahna chaahiye ki main
Rozedar hun do baar (kahey)
***********************
Urdu Translation:

Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Roza Dojakh se bachney ke liye ek dhaal hai isliye ( jo
rozedar ho) wo na to biwi se humbistari karey aur na fahash (buri) aur jahalat ki batein kare aur agar koi
shaksh us sey ladey ya usey gaali de to uska jawab sirf ye kahna chaahiye ki main Rozedar hun do baar
(kahey)

{Sahih Bukhari, Vol 3, 1894}

------------------------------------------
Like us: https://www.facebook.com/JoinOnlyQuranHadith
----------------------------------------------

English Translation:

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu :Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Fasting is a
shield (or a screen or a shelter). So, the person observing fasting should avoid sexual relation with his
wife and should not behave foolishly and impudently, and if somebody fights with him or abuses him, he
should tell him twice, I am fasting.

{Sahih Bukhari, Book 31, No. 118}



Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: Meri Ummat ke Logon mein us waqt tak khair baqi rahegi jab tak wo iftaar mein jaldi kartey
rahenge
**************************
Urdu Translation:

Saad radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Meri Ummat ke
Logon mein us waqt tak khair baqi rahegi jab tak wo iftaar mein jaldi kartey rahengey

{Sahih Bukhari, Volume 3, 1957}

----------------------------------
Like us: https://www.facebook.com/JoinOnlyQuranHadith
------------------------------------
English Translation:

Narrated Sahl bin Sad Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "The people will
remain on the right path as long as they hasten the breaking of the fast."

{Sahih Bukhari Book 31, Number 178}



Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Ramadhan ki (raato mein )Namaz padney ki fazilat
******************
Urdu Translation:

Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jisney
Ramadan ki raato mein Imaan aur sawab ki niyat ke saath namaz padi uskey pichley tamam gunaah maaf
ho jayengey

{Sahih Bukhari, Vol 3, 2009}
-------------------------------------
Like us: https://www.facebook.com/JoinOnlyQuranHadith
------------------------------------
English Translation:

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu :I heard prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said Whoever prayed
(at night ) in the month of Ramadan out of sincere Faith and hoping for a reward from Allah, then all his
previous sins will be forgiven

{Sahih Bukhari, Vol. 3, Book 32, Hadith 227}




Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Usko Allah ne khilaya aur pilaya
******************
Urdu Translation:

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne
farmaya agar koi bhul gaya aur kuch kha pee liya to usey chahiye ki apna roza pura karey kyonki
usey Allah ne khilaya aur pilaya.

{Sahih Bukhari, Vol3, 1933}

-------------------------------------
Like us: https://www.facebook.com/JoinOnlyQuranHadith
------------------------------------
English Translation:

Narrated Abu Huraira Radi allahu Anhu : The Prophet Sallallahu alaihi wasallam said, "If
somebody eats or drinks forgetfully then he should complete his fast, for what he has eaten or
drunk, has been given to him by Allah."

{Sahih Bukhari, Vol 3, Book 31, No. 154}




Bismillah irrahman nirrahim

Hadith: Rozedar ke liye Naseehat
---------------------------
Urdu Translation :

Abu hurairah Radiallah anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallaho Alaihey wasallam ne
farmaya roza dojakh se bachney ke liye ek dhal hai isliye (rozedar) na fahash baatein karey na
jahalat ki baatein karey aur agar koi shaksh us sey ladey ya usko gaali de to uska jawab sirf ye
hona chahye ki main Rozedar hun (ye alfaz) do baar (kah de) us zaat ki kasam jiskey haath mein
meri jaan hai Rozedar ke munh ki bu Allah ke nazdeek mushk ki khushbu se bhi ziyada
pasandeeda aur pakeeza hai (Allah taala fermata hai) banda apna khana peena aur shahwat mere
liye chorta hai roza mere liye hai aur main hi iska badla dunga aur (dusri) nekiyon ka sawab bhi
asal neki se 10 guna hota hai.

{Sahih bukhari, Rozey ke masayeel, 1894}

--------------------------------------------------
Like us: https://www.facebook.com/JoinOnlyQuranHadith
------------------------------------------------

English Translation :

Narrated Abu Huraira radi allaho anho: Allah's Apostle Sallallaho Alaihey wasallam said,
"Fasting is a shield (or a screen or a shelter). So, the person observing fasting should avoid
sexual relation with his wife and should not behave foolishly and impudently, and if somebody
fights with him or abuses him, he should tell him twice, 'I am fasting." The Prophet added, "By
Him in Whose Hands my soul is, the smell coming out from the mouth of a fasting person is
better in the sight of Allah than the smell of musk. (Allah says about the fasting person), 'He has
left his food, drink and desires for My sake. The fast is for Me. So I will reward (the fasting
person) for it and the reward of good deeds is multiplied ten times."

{ Sahih Bukhari,Volume 3, Book 31, Number 118}




Bismillahirrahmanirrahim

Jo iftar ki dawat de usko iftar ke baad ye dua deni chahiye
----------------------------------
Urdu Translation:

Abdullah bin Zubair Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne Muadh
Radi-Allahu-Anhu ke wahan roza iftar kiya to (unko ye) dua di ki



Aftara indakumus-saimun, wa akala taamakumul-abrar, wa sallat alaikumul- malaikah

( tarjumh : Rozedar tumharey yahan iftar karey,
Neik log tumhara khana khaye
aur farishtey tumharey liye dua karey)

{Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1747-Sahih}




Bismillahirrahmanirrahim

Shab-e-Qadr Hazar mahino (more than 83 year) se behtar hai aur isey ramadhan ki
21,23,25,27,29 ki raaton mein talash karo
------------------------------
Urdu Translation:

Beshaq humne is (Quran) ko Shab--e-Qadr mein nazil kiya hai
Aur Aapko kya Malum ki Shab-e-Qadr Kya hai
Shab-e-Qadr Hazar mahino se behtar hai
ismein farishtey aur rooh nazeel hote hain Aapney Rab ke hukm se har kaam par
wo subah Roshan honey tak salamti ki raat hai

{Al Quraan: Surah Al-Qadr (97)}


Umm Aayesha radi allaho anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallaho alaihey wasallam ne
farmaya
Shab-e-Qadr ko Ramadhan ki Aakhri Ashrey ki Taaq (21, 23, 25, 27, 29) raaton mein talaash
karo

{Sahih Bukhari, 2017}

------------------------------------------------
Like us: https://www.facebook.com/JoinOnlyQuranHadith
------------------------------------------------

English Translation:

We have indeed revealed this (Quraan) in the Night of Power:
And what will explain to thee what the night of power is?
The Night of Power is better than a thousand months.
Therein come down the angels and the Spirit by Allah.s permission, on every errand:
Peace!...This until the rise of morn!

{Al Quraan: Surah Al-Qadr (97)}



Narrated 'Aisha Radi Allahu Anha: Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said,
"Search for the Night of Qadr in the odd nights (21, 23, 25, 27, 29) of the last ten days of
Ramadan."

{Sahih Bukhari, Volume 3, Book 32, Number 234 }



Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: Ramadhan ke Aakhri Ashrey mein Itikaf kiya karo
-----------------------------
Urdu Translation:

Abdullah bin Umar radi allaho anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam
Ramadhan ke Aakhri Ashrey mein Eitkaaf kartey they

{Sahih Bukhari , 2025}


------------------------------------------------
Like us: https://www.facebook.com/JoinOnlyQuranHadith
------------------------------------------------

English Translation:

Narrated Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma: Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam used to
practise Itikaf in the last ten days of the month of Ramadan.

{Sahih Bukhari, Volume 3, Book 33, Number 242}


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith: Shab-e-Qadr ki Dua
---------------------------------------
Urdu Translation:

Ummul Momineen Ayesha Radi Allahu Anha ne arz kiya ki Eh Allah ke Rasool Sallallahu
Alaihi Wasallam agar mujhe shab e Qadr naseeb ho jaye to kya Dua karu Aap Sallallahu Alaihi
Wasallam ne farmaya ye kahna



Allahumma innaka 'afuwwun tuhibbul 'afwa fa'fu 'anni

(Eh Allah tu maaf karne wala aur maaf karne ko pasand karta hai so mere gunaah maaf farma
de.)

{Sunan Ibn majah, Vol 3, 731}

------------------------------------------------
Like us: https://www.facebook.com/JoinOnlyQuranHadith
------------------------------------------------


English Translation:

Narrated by Aisha Radi Allahu Anhu that she said Oh messenger of Allah what should I say in
My supplication If I get tha layalatul Qadr ( The night of destiny) The Prophet Sallallahu Alaihi
Wasallam said say :



Allahumma innaka 'afuwwun tuhibbul 'afwa fa'fu 'anni

( O Allah! You are the One who pardons, You love to pardon, so pardon me)

{Sunan Ibn Majah , Vol5, 3850}



Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: ...Uskey tamam pichley (previous) Gunaah baksh diye jayengey
----------------------------
Urdu Translation:

Abu Hurairah Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne
farmaya Jo koi Shab e Qadr mein Imaan ke saath aur sawab ki niyat se Ibadat ke liye khada ho to
uskey tamam pichley gunaah baksh diye jayengey

{Sahih Bukhari, Vol3, 1901}


Hazrat-Abu-Huraira {Radi Allahu 'Anhu} se rivayat hai Rasoollallah {sallallaahu Alaihe
Wasallam} ne farmaya jo shakhs Ramzan ke roze emaan aur Ahtesaab ( azar-osawaab ki niyat)
ke sath rakhe, uske pichley tamaam gunah maaf kar diye jate hain, aur jo Lailatul-Qadr me
Emaan-wa-Ahtesaab (azar-osawaab ki niyat) ke sath namaaz me khada rahe, iske bhi agle
tamaam gunah maaf kar diye jate hain.

{Sahih-Bukhari, Vol-no: 03, Book: 32 (Kitaab-ul-Lailatul-Qadr), Hadees-no: 2014}

-----------------------------------------------
Like us: https://www.facebook.com/JoinOnlyQuranHadith
------------------------------------------------

English Translation:

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said,
Whoever established prayers on the night of Qadr out of sincere faith and hoping for a reward
from Allah, then all his previous sins will be forgiven;

{Sahih Bukhari, Book 31, No. 125}


Narrated Abu Huraira {May Allah be Pleased with him}: The Prophet {Peace be upon him} said,
"Whoever fasted the month of Ramadan out of sincere Faith (i.e. belief) and hoping for a reward
from Allah, then all his past sins will be forgiven, and whoever stood for the prayers in the night
of Qadr out of sincere Faith and hoping for a reward from Allah, then all his previous sins will be
forgiven ."

{Sahih-Bukhari, Vol: 03, Book: 32, Number: 231}



Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : Taraweeh ki namaz ki shuruaat kaisey huyee
-----------------------------------
Urdu Translation:

Urwa bin Zubair Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ayesha radi allahu Anha ne farmaya ek baar
(Ramadan ki ) aadhi raat mein Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam masjid mein tashreef le gaye aur
wahan taraweeh ki namaz padi, sahaba Radi Allahu Anhuma bhi aapkey saath namaz mein shamil ho
gaye, subah huyee to unhoney uska charcha kiya phir dusri raat mein log pahley se bhi zyada shamil ho
gaye, aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath namaz padi.
Dusri subah ko aur zyada charcha hua to teesri raat us sey bhi zyada log jama ho gaye , Aap Sallallahu
Alaihi Wasallam ne (us raat bh) namaz padi aur logo ne aapki pairwi ki,
Chothi raat ko ye aalam tha ki masjid mein namaz padney aaney walo ke liye jagah bhi baqi nahi rahi (
magar us raat Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Namaz ke liye bahar hi nahi aaye)
bulki subah namaz ke liye tashreef laye aur jab namz pad li to logo ki taraf mutwajja hojar shahadat ke
baad farmaya Amma baad tumharey yahan jama honey ka mujhe ilm tha lekin mujhe iska khauff hua ki
ye namaz tum par farz na ho jaye aur phir tum usey ada na kar sako Aur jab Aap Sallallahu Alaihi
Wasallam is duniya se rukhsat ho gaye to uskey baad bhi yahi kaifiyat rahi ( log alag alag taraweeh
padtey rahey )

{Sahih Bukhari, Vol 3, 2012}



Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

Mafhum-e-Hadith: Ramadhan ke aakhri ashrey mein sari Raat Ibaadat karna sunnat hai
-------------------------------------------
Urdu Translation:

Umm Aayesha radi allahu anha se rivayat hai ki jab (Ramadhan ka) Aakhri ashra ( last ten days) aata to
Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam apna tehband mazboot baandh letey (yani apni kamar kas letey) aur
un raaton mein Aap Sallallahu Alaihi Wasallam khud bhi jagtey (ibadat ke liye) aur apney ghar walon ko
bhi jagaya kartey they

{Sahih Bukhari , Vol 3, 2024}

-----------------------------------------------
Like us: https://www.facebook.com/JoinOnlyQuranHadith
------------------------------------------------
English Translation:

Narrated Aisha Radi Allahu Anha With the start of the last ten days of Ramadan, the Prophet Sallallahu
Alaihi Wasallam used to tighten his waist belt (i.e. work hard) and used to pray all the night, and used to
keep his family awake for the prayers

{Sahih Bukhari, Vol 3, Book 32, #241}


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Jisne Ramdhan Ke Rozey Rakhe Iske Baad Shawwal Ke 6 (Nafli) Rozey Rakhe To Isko Pure
Saal Ke Rozon Ka Sawab Milega
--------------------------------------------
Urdu Translation:

Rasollallah {Sallallahu Alaihi Wasallam} ke azad karda gulaam Hazrat-Sobaan {Radi Allahu
'Anhu} se rivayat hai ke Rasollallah {Sallallahu Alaihi Wasallam} ne farmaya jo Eid-ul-Fitr ke
baad 6 din ka roza rakhe isko pure saal ke rozon ka sawab milega, jo ek neki laye isko iska 10
guna ajar milega.

{Sunan-Ibn-majah, Vol-no: 01, Book:(Kitaab-ul-Sauoom), Hadees-no: 1715}


Abu-Ayyub-Ansari {Radi Allahu 'Anhu} se rivayat hai ke Rasollallah {Sallallahu Alaihi
Wasallam} ne farmaya jo rozey rakhe ramdhan ke aur iske sath lagaye 6 roze shawwal ke to isko
hamesha ke rozon ka sawab milega.

{Sahih-Muslim, Vol-no: 03, Book:06 (Kitaab-ul-Sauoom), Hadees-no: 2758}

{Sunan-Ibn-majah, Vol-no: 01, Book:(Kitaab-ul-Sauoom), Hadees-no: 1716}

------------------------------------------------
Like us: https://www.facebook.com/JoinOnlyQuranHadith
------------------------------------------------

English Translation:

It was narrated from Shobaan {May Allah be Pleased with him} the freed slave of the Messenger
of Allah {may peace be upon him} said: whoever fasts six days after the Eid-ul-Fitr will have
completed the year, for whoever does a good deed will have the reward of ten like it.

{Sunan-Ibn-majah, Vol-no: 02, Book:(The book Of Fasting), Hadees-no: 1715}


Abu Ayyub al-Ansari (Allah be pleased with him) reported Allah's Messenger (may peace be
upon him) as saying: He who observed the fast of Ramadan and then followed it with six (fasts)
of Shawwal. it would be as if he fasted perpetually.

{Sahih-Muslim, Book:06 (The book Of Fasting), Hadees-no: 2614}

{Sunan-Ibn-majah, Vol-no: 02, Book:(The book Of Fasting), Hadees-no: 1716}

You might also like