You are on page 1of 14

{ *Allah-Taala Ko Jhoot Bolne Wale Logon Ke Rozey Ki Koi Jarurat Nahi* }

-------------------------------------------------------------------------


Abu-Hurairah {Radi Allahu 'Anhu} se rivayat hai ki Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya
agar koi shaksh (roza rakh kar bhi) jhoot bolna aur dagabazi karna na chorey to Allah-Talaa ko uski koi
jarurat nahi ki wo apna khana peena chor de.

( *Sahih-Bukhari, Vol-no: 03, Book: 30 (Kitaab-ul-Sauoom), Hadees-no: 1903 * )

<>----------------------------------------------<>

Narrated Abu Huraira {Radi Allahu 'Anhu} : The Prophet {sallallaahu Alaihe Wasallam} said, "Whoever
does not give up forged speech and evil actions, Allah is not in need of his leaving his food and drink (
Allah will not accept his fasting.)"

( *Sahih-Bukhari, Book 31, Number 127* )

{ *Agar Rozadaar Bhool Kar Kha Pee Le To Roza Nahi Jata* }
--------------------------------------------------------------------

Hazrat-Abu-Huraira {Radi Allahu 'Anhu} se rivayat hai Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne
farmaya jab koi bhool gaya aur kuch kha pee liya to usey chahiye ke apna roza pura kare, kyon ke usko
Allah ne khilaya aur peelaya hai.

( *Sahih-Bukhari, Vol-no: 03, Book: 30 (Kitaab-ul-Sauoom), Hadees-no: 1933 * )
<>----------------------------------------------------<>
Narrated Abu Huraira {Radi Allahu 'Anhu}: The Prophet {sallallaahu Alaihe Wasallam} said, "If somebody
eats or drinks forgetfully then he should complete his fast, for what he has eaten or drunk, has been
given to him by Allah."

Sahih Bukhari Book 31, Number 115

{ *Khairaat Na Dene Se Rizq Rok Diya Jata Hai* }
-------------------------------------------------------------------------

Asma {Radi Allahu 'Anhu} se rivayat hai ki Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya ki
Khairaat ko mat Roko warna tumhara Rizq bhi Rok diya jayega.

( *Sahih-Bukhari, Vol-no: 02, Book: 24 (Kitaab-ul-Zakaat), Hadees-no: 1433 * )

<>----------------------------------------------<>

Narrated Asma {Radi Allahu 'Anhu} : The Prophet {sallallaahu Alaihe Wasallam} said to me, "Do not with
hold your money, (for if you did so) Allah would with-hold His blessings from you."

( *Sahih-Bukhari, Vol2, Book 24, Number 513* )

{ *Rozedaar Ko Agar Gali De To usey kahna Chahiye Ke Main Roza Se Hu* }
-------------------------------------------------------------------------

Abu-Huraira {Radi Allahu 'Anhu} se rivayat hai Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne
farmaya roza Dozakh se bachne ke liye ek dhaal hai, isliye (rozeydaar) na fahash batein kare aur
na jahalat ki batein aur agar koi shakhs usey lade ya usey gali de to iske jawaab me sirf ye hona
chhiye ke main Rozadaar hu (ye alfaaz) 2 dafa (kah de) is zaat ki qasam! jiske hanth me meri
jaan hai Rozadaar ki munh (mouth) ki boo (smell) Allah ke nazdeek Mushk ki khushboo se bhi
jiyada pasandeda aur pakizah hai, (Allah-Talaa farmata hai) banda apna khana peena aur
khuwashat mere liye chodta hai, lihaza roza mere liye hai aur main hi iska badla donga aur
(dosri) neakiyon ka sawaab asal neaki ke 10 guna hota hai.

( *Sahih-Bukhari, Vol-no: 03, Book: 30 (Kitaab-ul-Sauoom), Hadees-no: 1894 * )

<>--------------------------------------<>

Narrated Abu Huraira {Radi Allahu 'Anhu}: Allah's Apostle {sallallaahu Alaihe Wasallam} said,
"Fasting is a shield (or a screen or a shelter). So, the person observing fasting should avoid
sexual relation with his wife and should not behave foolishly and impudently, and if somebody
fights with him or abuses him, he should tell him twice, 'I am fasting." The Prophet added, "By
Him in Whose Hands my soul is, the smell coming out from the mouth of a fasting person is
better in the sight of Allah than the smell of mushk. (Allah says about the fasting person), 'He
has left his food, drink and desires for My sake. The fast is for Me. So I will reward (the fasting
person) for it and the reward of good deeds is multiplied ten times."

( *Sahih-Bukhari, Vol-no: 03, Book 31, Number 118* )


{ *iftaar Mein Jaldi Karna Afzal hai* }
--------------------------------------------

Sohel-bin-Saad {Radi Allahu 'Anhu} se rivayat hai ki Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne
farmaya Meri Ummat ke Logon mein us waqt tak khair baqi rahegi jab tak wo iftaar mein jaldi karte
rahengey

( *Sahih-Bukhari, Vol-no: 03, Book: 30 (Kitaab-ul-Sauoom), Hadees-no: 1957* )

<>---------------------------<>

Narrated Sohel-bin-Saad {Radi Allahu 'Anhu} : Allah's Apostle {sallallaahu Alaihe Wasallam} said, "The
people will remain on the right path as long as they hasten the breaking of the fast."

( *Sahih-Bukhari, Vol-no: 03, Book 31, Number 178* )


Note:- iftaar me jaldi krna yani gurub Aftaab ke baad bilkul der na kare,


Ramza an wo mahina hai jisme Quraan nazil hua, jo logon ko hidayat karne wala hai aur jisme hidayat ki
aur Haq - wa - Bat il ko aalag aalag karne wala hai, tum mein se jo shakhs is mahiney me maujood ho usey
chahiye ki ki pure mahiney ke roze rakhe aur jo beemar ho ya saIar mein ho to dusre dino mein iska
shumar kar le , Allah tumhare haq mein aasani chahta hai aur sakhti nah i chahta, aur taki tum shumar pura
kar lo aur is Ehsaan ke badle ki Allah - Taala ne tumhe hidayat bakhshi tum uski badai bayaan karo uska
shukar karo .

* ) Al - Quraan, Surah - No - 20 , Surah - Tul - Baqra, Aayat - No --- 581 ( *


Momino! tum par roze farz kiye gaye hain jis tarah tumse pahle logon par farz kiye gaye the take
tum Parhezgaar bano.









O you who believe! Fasting is prescribed for you, as it was prescribed for those before you, that
you may become righteous.


( *Al-Quran, Chapter: 02, Surah-Tul-Baqra, Verse: 183* )


Rozon ki raat mein tumhare liye apni Auraton ke pass jana jayez kar diya gaya hai, wo tumhari
Pushaak hain aur unki Pushaak ho, Allah ko maloom hai ke tum inke pass jane se apne haq me
khayanat karte the so isne tum par mharbani ki aur tumhare harkaat se darguzar farmai, to ab
tumko ikhtiyaar hai ke inse Mubasharat karo, aur Allah ne jo chiz tumhare liye likh rakhi hai
yani Aulaad usey Allah se talab karo aur khao peeo yahan tak ke Subha ki safeed dhari Raat ki
siyaah dhari se alag nazar ane lage phir roza rakh kar raat tak pura karo, aur jab tum Masjidon
me Aitekaaf baithte ho to apni Auraton se Mubasharat na karo, ye Allah ki hadein hain inke pass
na jana, issi tarah Allah apni Aayatein logon ke samjhane ke liye khol khol kar bayaan farmata
hai take wo taqwa ikhtiyaar kare,


(

,
()

( )

()

( ) ,


( )

( ) ,


( ) .


It is made lawful for you to go in unto your wives on the night of the fast. They are a garment for
you, and you are a garment for them. Allah knows that you have been acting unjustly to
yourselves, wherefore He has turned to you with mercy and afforded you relief. So you may now
go in unto them and seek what Allah has ordained for you; and eat and drink until the white
thread becomes distinct to you from the black thread of the dawn. Then complete the fast till
nightfall and do not go in unto them while you remain in the mosques for devotion. These are the
limits fixed by Allah, so approach them not. Thus does Allah make His commandments clear to
men that they may become secure against evil.

( *Al-Quran, Chapter: 02, Surah-Tul-Baqra, Verse: 187* )


{ *Sehri - Subah ka Mubarak khana * }
--------------------------------------------

Arbad-bin-sariya {Radi Allahu 'Anhu} se rivayat hai ki Rasoollallah {Sallallahu Alaihi Wasallam} sehri
khane ke waste logon ko dawat dete to irshaad farmate ki tum log subah ke Mubarak khane ke wastey
aa jao.

( *Sunan-Nasai, Vol-no: 02, Book:(Kitaab-ul-Sauoom), Hadees-no: 74* )

<>-------------------------------------<>

Narrated by Arbad bin Sariyah may ALLAH be pleased with him said: "I heard the Messenger of ALLAh
inviting people to have Suhur in Ramadhan by saying Come to the blessed breakfast.

( *Sunan-Nasai, Vol-no: 03, Book: {Fasting}, Number: 2165* )


{ *Ramzaan Mein Taraweeh Ki Namaaz Padhne Ki Fazilat* }
--------------------------------------------

Hazrat-Abu-Hurairah {Radi Allahu 'Anhu} se rivayat hai ke maine Rasoollallah {sallallaahu Alaihe
Wasallam} suna, aap Ramzaan ke fazayel bayaan farma rahe the ke jo shakhs bhi isme Emaan aur Ajar-o-
Sawaab ke niyat ke sath (raat me) namaaz ke liye khada ho uske agle tamaam gunah maaf kar diye
jayenge.

( *Sahih-Bukhari, Vol-no: 03, Book: 31 (Kitaab-ul-Salat-ul-Taraweeh), Hadees-no: 2008 * )

<>-------------------------------------------<>

Narrated Abu Huraira {Radi Allahu 'Anhu}: I heard Allah's Apostle {sallallaahu Alaihe Wasallam} saying
regarding Ramadan,"Whoever prayed at night in it (the month of Ramadan) out of sincere Faith and
hoping for a reward from Allah, then all his previous sins will be forgiven."

( *Sahih-Bukhari, Vol-no: 03, Book 32, Number 226* )



{ *Ramadhan Ka Roza Todne Par Kaffara* }
---------------------------------------------------

Abu hurairah {Radi Allahu 'Anhu} se rivayat hai ki Rasoollallah {Sallallahu Alaihi wasallam} ne hukum kiya
ek shaksh ko jisne ramadhan mein roza tod diya tha, ki ek ghulam ko aazad kare ya 2 mahine ke roze
rakhe ya 60 miskin ko khana khilaye.

( *Sahih-Muslim, Vol-no: 03, Book: (Kitaab-ul-Sauoom), Hadees-no: 2599 * )

<>---------------------------------------------<>

Humaid b. 'Abd al-Rahman reported that Abu-Huraira {Radi Allahu 'Anhu} had narrated to him that the
Apostle of Allah (may peace be upon him) commanded the person (who) broke the fast in Ramadan to
free a slave or observe fasts for two (consecutive) months or feed sixty poor persons.

( *Sahih-Muslim, Book 06 (The Book Of Fasting), Number 2461* )



{ *Allah Subhanahu Ne Hamila Aurat Aur Doodh Pilane Wali Aurat Ko Roza Maaf Farmaya Hai* }
------------------------------------------------------------------------

Anas-bin-Malik {Radi Allahu 'Anhu} se rivayat hai ki Rasoollallah {Sallallahu Alaihi Wasallam} ne farmaya
Allah subhanahu ne musafir ko roza aur aadhi namaz ko maaf farmaya hai , aur hamila aurat aur doodh
pilane wali aurat ko bhi roza maaf farmaya diya hai.

( *Sunan-Nasai, Vol-no: 02, Book:(Kitaab-ul-Sawoom), Hadees-no: 185* )

----------------------------------------------------------------------

It was narrated from Anas-bin-Malik {Radi Allahu 'Anhu} The Prophet {Peace be upon him} said : Allah
the Mighty has waived fasting and half of the prayer for the traveller and for pregnant and for
breastfeeding women.

( *Sunan-Nasai, Vol: 03 (The Book Of Fasting), Number: 2317* )



{ *Sehri Mein Deri Karna Aur iftaar Mein Jaldi Karna Sunnat Hai* }
------------------------------------------------------------------------

Abu-Atiyah {Radi Allahu 'Anhu} se rivayat hai ki maine Aayesha {Radi Allahu 'Anhu} se farmaya hum mein
do Aadmi aisey hai jismein ek to iftari mein jaldi karta hai aur sehri der tak karta hai aur dusra iftari der
se karta aur sehri jaldi kha leta hai , Aayesha {Radi Allahu 'Anhu} ne farnmaya wo kaun Aadmi hai jo iftar
mein jaldi karta hai aur sehri der se khata hai maine kaha Abdullah-bin-Masood, Aayesha {Radi Allahu
'Anhu} ne farmaya Rasoollallah {Sallallahu Alaihi Wasallam} bhi isi tarah kiya kartey the.

( *Sunan-Nasai, Vol-no: 02, Book:(Kitaab-ul-Sawoom), Hadees-no: 70* )

<>---------------------------------------------------<>

It was narrated that Abu-Atiyah {Radi Allahu 'Anhu} said: "I said to Aayesha {Radi Allahu 'Anhu} Among
us there are two men, one of whom hastens iftar and delays suhur and the other delays iftar and
hastens suhur She said: 'Which of them is the one who hastens iftar and delays Suhur I said: Abdullah-
ibn-Masood. Aayesha {Radi Allahu 'Anhu} said: 'This is what the Messenger of ALLAH {peace be upon
him} used to do.

( *Sunan-Nasai, Vol: 03 (The Book Of Fasting), Number: 2161* )



{ *Shab-e-Qadr Ek Hazaar Mahiney Se Bahtar Hai* }
--------------------------------------------------------------


Humne isse (yani Quraan) ko Shab-e-Qadar me nazil farmaya. Aur tumhe kya maloom ki Shab-e-Qadar
kiya hai?. Shab-e-Qadar 1000 mahino se bahtar hai. isme har kaam ke sar-anjaam dene ko Allah ke
hukum se farishte aur Rooh-ul-Quddus utarte hain. ye raat sarasar salamti ki hai fazar ke tulu hone tak.



( )

) ( ) O O
( ) O () ( )

O ()
O


Surely, We sent it down on the Night of Destiny. And what should make thee know what the Night of
Destiny is?. The Night of Destiny is better than a thousand months. Therein descend angels and the
Spirit by the command of their Lord with every matter. It is all peace till the rising of the dawn.

( *Al-Quran, Chapter: 97, Surah-Al-Qadr, Verse: 1,2,3,4,5* )



------------------------------------------------------------------------
{ *jo Lailatul-Qadr Me Emaan Aur Azar-o-Sawaab Ki Niyat Ke Sath Namaaz Me Khada Rahe, uske pichley
Tamaam (sagira) Gunah Maaf Kar Diye Jate Hain* }
------------------------------------------------------------------------

Hazrat-Abu-Huraira {Radi Allahu 'Anhu} se rivayat hai Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne
farmaya jo shakhs Ramzan ke roze emaan aur Ahtesaab ( azar-osawaab ki niyat) ke sath rakhe, uske agle
tamaam gunah maaf kar diye jate hain, aur jo Lailatul-Qadr me Emaan-wa-Ahtesaab (azar-osawaab ki
niyat) ke sath namaaz me khada rahe, iske bhi pichley tamaam gunah maaf kar diye jate hain.

( *Sahih-Bukhari, Vol-no: 03, Book: 32 (Kitaab-ul-Lailatul-Qadr), Hadees-no: 2014* )

<>------------------------------------------<>

Narrated Abu Huraira {May Allah be Pleased with him}: The Prophet {Peace be upon him} said,
"Whoever fasted the month of Ramadan out of sincere Faith (i.e. belief) and hoping for a reward from
Allah, then all his past sins will be forgiven, and whoever stood for the prayers in the night of Qadr out
of sincere Faith and hoping for a reward from Allah, then all his previous sins will be forgiven ."

( *Sahih-Bukhari, Vol: 03, Book: 32, Number: 231* )



{ *Ramadhan Ka Aakhri Ashra ( Last 10 days) Mein Ziyada Ibadat Karo* }
------------------------------------------------------------------------

Ammi-Aayesha {Radi Allahu 'Anhu} se rivayat hai ki jab (Ramadhan ka) Aakhri ashra ( last ten days) aata
to Nabi {Sallallahu Alaihi Wasallam} apna tehband mazboot baandh lete (yani apni kamar kas lete) aur
un raaton mein Aap {Sallallahu Alaihi Wasallam} khud bhi jagte (ibadat ke liye) aur apne ghar walon ko
bhi jagaya karte the.

( *Sahih-Bukhari, Vol-no: 03, Book: 32 (Kitaab-ul-Lailatul-Qadr), Hadees-no: 2024* )

<>--------------------------------------<>

Narrated Aisha {Radi Allahu 'Anhu}: With the start of the last ten days of Ramadan, the Prophet {Peace
be upon him} used to tighten his waist belt (i.e. work hard) and used to pray all the night, and used to
keep his family awake for the prayers.

( *Sahih-Bukhari, Vol: 03, Book: 32, Number: 241* )



{ *Shab-e-Qadr Ko Ramadhan Ki Aakhri Ashrey Ki Taaq (21, 23, 25, 27, 29) Raaton Mein talaash Karo* }
------------------------------------------------------------------------

Hazrat-Abdullah-Bin-Umar {Radi Allahu 'Anhu} se rivayat hai ke Nabi {Sallallahu Alaihi Wasallam} ke
sahaba mein se chand logon ko Shab-e-Qadar khowaab mein Akhiri Saat raaton mein dikhai gai,
Rasoollallah {Sallallahu Alaihi Wasallam} ne farmaya ke mein dekh raha hu ke tumhare khowaab saat
raaton me mutafiq ho gaye hain, isliye jo shakhs iska talaash karne wala hai isko akhri saat raaton me
talaash kare.

( *Sahih-Bukhari, Vol-no: 03, Book: 32 (Kitaab-ul-Lailatul-Qadr), Hadees-no: 2015* )


Ammi-Aayesha {Radi Allahu 'Anhu} se rivayat hai ki Rasoollallah {Sallallahu Alaihi Wasallam} ne farmaya
Shab-e-Qadr ko Ramadhan ke Aakhri Ashrey ki Taaq (21, 23, 25, 27, 29) raaton mein talaash karo.

( *Sahih-Bukhari, Vol-no: 03, Book: 32 (Kitaab-ul-Lailatul-Qadr), Hadees-no: 2017* )

<>-------------------------------------------------<>

Narrated Abdullah-Bin-Umar {May Allah be Pleased with him} Some men amongst the companions of
the Prophet {Peace be upon him} were shown in their dreams that the night of Qadr was in the last
seven nights of Ramadan. Allah's Apostle {Peace be upon him} said, "It seems that all your dreams agree
that (the Night of Qadr) is in the last seven nights, and whoever wants to search for it (i.e. the Night of
Qadr) should search in the last seven (nights of Ramadan)."

( *Sahih-Bukhari, Vol: 03, Book: 32, Number: 232* )


Narrated Aisha {Radi Allahu 'Anhu}: Allah's Apostle {Peace be upon him} said, "Search for the Night of
Qadr in the odd nights (21, 23, 25, 27, 29) of the last ten days of Ramadan."

( *Sahih-Bukhari, Vol: 03, Book: 32, Number: 234* )


-----------------------------------------------
{ <<<*Shab-e-Qadr ki Dua*>>> }
-----------------------------------------------

Ummul Momineen Ayesha {Radi Allahu 'Anhu} ne arz kiya ki Aye Allah ke Rasool {Sallallahu Alaihi
Wasallam} agar mujhe Shab-e-Qadr naseeb ho jaye to kya Dua karu Aap {Sallallahu Alaihi Wasallam} ne
farmaya ye kahna :


Allahumma innaka 'afuwwun tuhibbul 'afwa fa'fu 'anni

(Eh Allah tu maaf karne wala aur maaf karne ko pasand karta hai so mere gunaah maaf farma de.)


( *Sunan-Ibn-majah, Vol-no: 03, Book:(Kitaab-ul-Dua), Hadees-no: 731* )

( *Jamia-Tirmizi, Vol-no: 02, Book:(Kitaab-ul-Dua), Hadees-no: 1438* )

<>--------------------------------------------------<>

Narrated by Aisha {Radi Allahu 'Anhu} that she said Oh messenger of Allah what should I say in My
supplication If I get tha layalatul Qadr ( The night of destiny) The Prophet {Peace be upon him} said say :


Allahumma innaka 'afuwwun tuhibbul 'afwa fa'fu 'anni

( O Allah! You are the One who pardons, You love to pardon, so pardon me)


( *Sunan-Ibn-Majah, Vol : 05, (Book Of Supplications), Number : 3850* )

( *Jamia-Tirmizi, Book-No: 51(Book Of Supplications) , Number : 3524* )



{ *Jo Kisi Rozeydar Ka Roza iftar Karaye To Usko Bhi Uske Barabar Sawab Milega* }
------------------------------------------------------------------------


Hazrat-Zaid-bin-Khalid {Radi Allahu 'Anhu} se rivayat hai ki Rasoollallah {Sallallahu Alaihi Wasallam} ne
farmaya Jo kisi Rozeydar ka roza iftar karaye to usko bhi uske barabar sawab milega aur rozeydar ke
sawab mein kami bhi nahi hogi.

( *Sunan-Ibn-majah, Vol-no: 01, Book:(Kitaab-ul-Sauoom), Hadees-no: 1746* )

<>-------------------------------------------------<>

Narrated by Zaid-bin-Khalid {May Allah be Pleased with him} said : The prophet {Peace be upon him}
said Whoever gives food to a fasting person with which to break his fast, will have a reward equal to his,
without it detracting in the slightest from the reward of the fasting person.

( *Sunan-Ibn-Majah, Vol : 02, (The Book Of Fasting), Number : 1746* )



{ *Sehri Khaya Karo Ismein Barkat Hai, Ahl-e-Kitaab Aur Hamare Roze Mein Sehri Ke Luqme Ka Farq Hai*
}
------------------------------------------------------------------------

Anas {Radi Allahu 'Anhu} se rivayat hai ki Rasoollallah {Sallallahu Alaihi wasallam} ne farmaya Sehri khao
Sehri mein barkat hai.

( *Sahih-Muslim, Vol-no: 03, Book:(Kitaab-ul-Sauoom), Hadees-no: 2549* )


Amar-bin-al-Aas {Radi Allahu 'Anhu} se rivayat hai ki Rasoollallah {Sallallahu Alaihi wasallam} ne farmaya
hamare aur Ahal-e-Kitab ke Roze mein Sehri ke luqme ka farq hai.

( *Sahih-Muslim, Vol-no: 03, Book:(Kitaab-ul-Sauoom), Hadees-no: 2550* )

<>-------------------------------------------<>

Anas {May Allah be Pleased with him} reported Allah's Messenger {Peace be upon him} as saying: Take
meal a little before dawn, for there is a blessing in taking meal at that time.

( *Sahih-Muslim, Book: 06 (The Book Of Fasting), Number: 2412* )


Umar-bin-al-Aas {May Allah be Pleased with him} reported Allah's Messenger {Peace be upon him} as
saying: The difference between our fasting and that of the people of the Book is eating shortly before
dawn.

( *Sahih-Muslim, Book: 06 (The Book Of Fasting), Number: 2413* )



{ *Sadqa-e-Fitar Ghulam, Aazad, Mard , Aurat Chote Aur Bade Tamam Musalmano Par Farz Hai* }
------------------------------------------------------------------------

Abdullah-bin-umar {Radi Allahu 'Anhu} se rivayat hai ki Rasoollallah {Sallallahu Alaihi Wasallam} ne
Sadqa-e-Fitra ek sa khajur ya ek Sa jou (barley ) (One Sa' = 3 Kilograms approx) farz qarar di hai jo
Ghulam, Aazad, Mard , Aurat chote aur bade tamam musalmano par farz hai aur Aap {Sallallahu Alaihi
Wasallam} ne ye hukum diya hai ki Namaz (Eid) ke liye jane se pahle ye Sadqa Ada kar diya jaye.

( *Sahih-Bukhari, Vol-no: 02, Book: 24 (Kitaab-ul-Zakaat), Hadees-no: 1503* )

<>--------------------------------------<>

Narrated Abdullah-Ibn-Umar {May Allah be Pleased with him}: Allah's Apostle {Peace be upon him}
enjoined the payment of one Sa' of dates or one Sa' of barley as Zakat-ul-Fitr on every Muslim slave or
free, male or female, young or old, and he {Peace be upon him} ordered that it be paid before the
people went out to offer the 'Id prayer. (One Sa' = 3 Kilograms approx.)

( *Sahih-Bukhari, Vol: 02, Book: 25, Number: 579* )




{ *Auraton Ko Eidgah Jane Aur Hayez Wali Auratein (menstruating women) Ko Eidgah Jakar Dua Me
Shamil Hone Ka Hukum* }
------------------------------------------------------------------------

Hazrat-Umme-Atiyya {Radi Allahu 'Anha} se rivayat hai ke Rasoollallah {Sallallahu Alaihi Wasallam} ne
Eid-ul-Fitr aur Eid-ul-Adha ke din hamein aur pardah nasheen Aaurton ko nikalne ka hukum diya, aur
hayezah Auratein ( menstruating women ) namaaz se alhedah rah kar bhalai aur musalmano ki dua me
hazir ho, maine arz kiya ya Rasoollallah {Sallallahu Alaihi Wasallam}! hum me se jiske pass chadar na ho
to? Aapne {Sallallahu Alaihi Wasallam} ne farmaya chahiye ki iski bahan apni chadar isko pahna de,

( *Sahih-Muslim, Vol-no: 02, Book: 04, Hadees-no: 2056* )


Hazrat-Umme-Atiyya {Radi Allahu 'Anha} se rivayat hai ke humein Rasoollallah {Sallallahu Alaihi
Wasallam} ne hukum diya ke kawari, jawaan, aur parde waliyan Eidain ki namaaz ke liye jaye aur
hayezah auraton ( menstruating women ) ko hukum diya ke wo musalmano ki Eidgah se zara door rahe.

( *Sahih-Muslim, Vol-no: 02, Book: 04, Hadees-no: 2054* )


Hazrat-Umme-Atiyya {Radi Allahu 'Anha} ne farmaya ke (Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke zamana)
mein humein Eid ke din Eidgah me jane ka hukum tha, kawari ladkiya (virgin girls) aur hayezah auratein
(menstruating women) bhi parda me bahar aati thi, ye sab mardon ke piche pardah me rahtein, jab
mard takbir kahte to ye bhi kartein aur jab wo dua karte to ye bhi kartein, is din ki barkat aur pakizgi
hansil karne ki umeed rakhtein.

( *Sahih-Bukhari, Vol-no: 02, Book: 13, Hadees-no: 971* )


Hazrat-Umme-Atiyya {Radi Allahu 'Anha} ne farmaya ke humein hukum tha ke hum jawan pardah wali
auraton ko Eidgah ke liye bahar nikale, ( aur Hafsa Radi Allahu 'Anhu ki riwayat me is qadar jiyada hai) ke
jawaan aur pardah waliyan zarur (Eidgah jaye) aur hayezah auratein (menstruating women) namaaz ki
jagha se alag rahe.

( *Sahih-Bukhari, Vol-no: 02, Book: 13, Hadees-no: 974* )

<>-------------------------------------------------<>

Umm 'Atiyya reported{May Allah be Pleased with her}: The Messenger of Allah (may peace be upon
him) commanded us to bring out on 'Eid-ul-Fitr and 'Eid-ul-Adha young women, menstruating women
and purdah-observing ladies, menstruating women kept back from prayer, but participated in goodness
and supplication of the Muslims. I said: Messenger of Allah, one of us does not have an outer garment
(to cover her face and body). He said: Let her sister cover her with her outer garment.

( *Sahih-Muslim, Book: 04, Number: 1934* )


Umm 'Atiyya {May Allah be Pleased with her} said: He (the Apostle of Allah) commanded us that we
should take out unmarried women and purdah-observing ladies for Eid prayers, and he commanded the
menstruating women to remain away from the place of worship of the Muslims.

( *Sahih-Muslim, Book: 04, Number: 1932* )


Narrated Um 'Atiya {May Allah be Pleased with her}: We used to be ordered to come out on the Day of
Eid and even bring out the virgin girls from their houses and menstruating women so that they might
stand behind the men and say Takbir along with them and invoke Allah along with them and hope for
the blessings of that day and for purification from sins.

( *Sahih-Bukhari, Vol : 02, Book: 15, Number: 88* )


Narrated Um-'Atiya {May Allah be Pleased with her}: We were ordered to go out (for Eid) and also to
take along with us the menstruating women, mature girls and virgins staying in seclusion. (Ibn 'Aun said,
"Or mature virgins staying in seclusion)." The menstruating women could present themselves at the
religious gathering and invocation of Muslims but should keep away from their Musalla.

( *Sahih-Bukhari, Vol : 02, Book: 15, Number: 97* )



{ *Eid-ul-Fitr Ki Namaaz Ke Liye Jane Se Pahle Taaq (Odd) Khojur Kha Kar Jana Sunnat Hai* }
------------------------------------------------------------------------

Hazrat-Anas-Bin-Malik {Radi Allahu 'Anhu} se rivayat hai unho ne farmaya ki Rasoollallah {Sallallahu
Alaihi Wasallam} Eid-ul-Fitr ke din jab tak kuch khojurein na kha lete namaaz ke liye na jate aur unhi se
ek rivayat hai ki Aap {Sallallahu Alaihi Wasallam} taaq adad (odd number) khojurein khate the.

( *Sahih-Bukhari, Vol-no: 02, Book: 13, Hadees-no: 953* )

<>-----------------------------------------------<>

Narrated Anas bin Malik {May Allah be Pleased with him}: Allah's Apostle (peace be upon him) never
proceeded (for the prayer) on the Day of Eid-ul-Fitr unless he had eaten some dates. Anas also narrated:
The Prophet (peace be upon him) used to eat odd number of dates.

( *Sahih-Bukhari, Vol : 02, Book: 15, Number: 73* )



{ *Eidgaah Aaane jaane Ki Ek Pyari Sunnat Dont miss on this eid* }
------------------------------------------------------------------------

Abdullah-Ibn-Umar {Radi Allahu 'Anhu} se rivayat hai ki Rasollallah {Sallallahu Alaihi Wasallam} Eidgaah
jaane ke liye Ek raastey ko aur wapas aate waqt dusrey rasstey ko ikhtiyaar karte the.

( *Sunan-Abu-Dawud, Vol-no: 01, Hadees-no: 1144* )

<>----------------------------------------------<>

Narrated Abdullah-Ibn-Umar {May Allah be Pleased with him}: The Apostle of Allah (peace be upon him)
went out by one road on the day of the Eid (Id) and returned by another.

( *Sunan-Abu-Dawud, Vol-no: 03, Hadees-no: 1152* )



{ *Jisne Ramdhan Ke Rozey Rakhe Iske Baad Shawwal Ke 6 (Nafli) Rozey Rakhe To Isko Pure Saal Ke
Rozon Ka Sawab Milega* }
------------------------------------------------------------------------

Rasollallah {Sallallahu Alaihi Wasallam} ke azad karda gulaam Hazrat-Sobaan {Radi Allahu 'Anhu} se
rivayat hai ke Rasollallah {Sallallahu Alaihi Wasallam} ne farmaya jo Eid-ul-Fitr ke baad 6 din ka roza
rakhe isko pure saal ke rozon ka sawab milega, jo ek neki laye isko iska 10 guna ajar milega.

( *Sunan-Ibn-majah, Vol-no: 01, Book:(Kitaab-ul-Sauoom), Hadees-no: 1715* )


Abu-Ayyub-Ansari {Radi Allahu 'Anhu} se rivayat hai ke Rasollallah {Sallallahu Alaihi Wasallam} ne
farmaya jo rozey rakhe ramdhan ke aur iske sath lagaye 6 roze shawwal ke to isko hamesha ke rozon ka
sawab milega.

( *Sahih-Muslim, Vol-no: 03, Book:06 (Kitaab-ul-Sauoom), Hadees-no: 2758* )

( *Sunan-Ibn-majah, Vol-no: 01, Book:(Kitaab-ul-Sauoom), Hadees-no: 1716* )

<>----------------------------------------------<>

It was narrated from Shobaan {May Allah be Pleased with him} the freed slave of the Messenger of Allah
{may peace be upon him} said: whoever fasts six days after the Eid-ul-Fitr will have completed the year,
for whoever does a good deed will have the reward of ten like it.

( *Sunan-Ibn-majah, Vol-no: 02, Book:(The book Of Fasting), Hadees-no: 1715* )


Abu Ayyub al-Ansari (Allah be pleased with him) reported Allah's Messenger (may peace be upon him)
as saying: He who observed the fast of Ramadan and then followed it with six (fasts) of Shawwal. it
would be as if he fasted perpetually.

( *Sahih-Muslim, Book:06 (The book Of Fasting), Hadees-no: 2614* )

( *Sunan-Ibn-majah, Vol-no: 02, Book:(The book Of Fasting), Hadees-no: 1716* )

You might also like