You are on page 1of 63

A Collection

of Most
Famous Naats
In English -
Volume 1
Compiled
By
Zakir Hussain Kapadia, Ph D, CISA, MBCS
Contents
1. INTRODUCTION.............................................................................................................

2. HAMD 1 - TUJHE DHUNDH TA THA..........................................................................

3. HAMD 2 - TERI SHAAN JALLA JALALUHU............................................................

4. HAMD 3 - KAMIL HAI JO AZAL SE...........................................................................

5. NAAT - INTRODUCTORY RECITATION....................................................................


5.1 BALAGHAL ULA............................................................................................................
5.2 UTH THI NAZAR TO ROOWE NABI PAR THAHAR GAYIN.....................................
6. ZAMINO ZAMAN TUMHARE LIYE..........................................................................

7. HAMARA NABI................................................................................................................

8. UNKE JO GHULAM HO GAYE....................................................................................

9. AJ SIK MITRAN DI.........................................................................................................

10. BALAGHAL ULA BE KAMALEHI............................................................................

11. HUM FAQIRON KO MADINEY KI GALI ACHCHHI LAGI.................................

12. AJAB RANG PAR HAI..................................................................................................

13. KUCH NAHIN MANGTA..............................................................................................

14. YEH SARWARI HAI BHALA KYA.............................................................................

15. AAI NASIMEY KUW-E MUHAMMAD (SAW)..........................................................

16. USKO KABHI NA CHU SAKEN..................................................................................

17. MUHAMMAD MUSTAFA SALLEY ALA KI AAJ MEHFIL HAI...........................

18. SARWARE AMBIYA KI HAI MEHFIL SAJI............................................................

i
19. NAMEY MUHAMMAD KITNA MITHA....................................................................

20. HAR ROZ SHABE TANHAI MEIN.............................................................................

21. SULTANE JAHAN MEHBOOBE KHUDA.................................................................

22. SARKARE DO ALAM KE RUKH PAR......................................................................

23. MEHBOOB KI MEHFIL KO.......................................................................................

24. NAMEY MUHAMMAD SALLEY ALA......................................................................

25. MERI ZINDAGI MERI AABROO...............................................................................

26. AGAR AEY NASIMEY SAHR TERA, HO GUZAR DAYAREY HIJAZ MEIN.....

27. HAI LABON PAR DUROODO SALAAM...................................................................

28. HAQIQAT MEIN WOH LUTFE ZINDAGI................................................................

29. MERE KARIM KARAM...............................................................................................

30. NEAMATEIN BAANT TA............................................................................................

31. JIS KI JAAN KO TAMANNA HAI DILKO TALAB..................................................

32. WAH KYA JUDO KARAM...........................................................................................

33. AKSE ROOWE..............................................................................................................

34. UNKI MAHEK NE DIL KE GHUNCHEY KHILA DIYE HAIN.............................

35. NA KAHIN SE DUR HAIN MANZILEIN...................................................................

36. HAR WAQT TASAWWUR MEIN, MADINEY KI GALI HAI.................................

37. SALAAM - MUSTAFA JANE REHMAT - ABRIDGED VERSION 1......................

38. SALAAM - MUSTAFA JANE REHMAT - ABRIDGED VERSION 2......................

39. SALAAM - MUSTAFA JANE REHMAT - ALA HAZRATS ABRIDGED


VERSION 3............................................................................................................................

40. SALAAM -YA NABI SALAAM ALAIKA-VERSION 1.............................................

41. SALAAM -YA NABI SALAAM ALAIKA-VERSION 2.............................................


ii
42. SALAAM- YA NABI SALAAM ALAIKA-VERSION 3.............................................

43. SALAAM US PAR KE JIS NE......................................................................................


43.1 FAZAON KO SALAAM.................................................................................................
44. YA RASOOLALLAHI SALAAMUN ALAIK..............................................................

45. MANQABAT DEDICATED TO HAZRAT BIBI AMINAH (RA).............................

46. MANQABAT DEDICATED TO HAZRAT BIBI HALIMAH (RA)..........................

47. MANQABAT DEDICATED TO HAZRAT BIBI FATIMAH (RA)...........................

48. MANQABAT DEDICATED TO HAZRAT KHULAFAEY RASHEDEEN


(RIDWANALLAHEY TAALA ALYHIM AJMAEEN)....................................................

49. MANQABAT DEDICATED TO HAZRAT IMAM HUSSAIN (RA).........................

50. MANQABAT DEDICATED TO HAZRAT GHAUS AL AZAM (RA).....................

51. MANQABAT DEDICATED TO KHWAJA GHARIB NAWAAZ, HAZRAT


MOINUDDIN CHISHTI - AJMERI (RA)..........................................................................

iii
1. Introduction
The purpose of this small booklet is to give the Naat Lovers and budding Naat Khwaans
a chance to read up and in fact practice Naats in a language they are more accustomed
to.
For example, the present generation of youth may be fully conversant in Urdu, but might
lack the fluency when it comes to reading and writing. Innumerable requests were made
by this young generation, who are also keen to express their love for the Prophet, who
was, is, and will be Rehmatul Lil Alameen, Hazrat Muhammad Mustafa (SAW). It is
intended therefore that this humble book will suffice their needs. At their behest Volume 1
has been rushed to the publishers whilst work on Volume 2 has already begun.

As a rule, the name of the author will appear on the penultimate line (one before the last
line). Naats have been written here, exactly as how you would pronounce them, e.g., it will
instruct you to repeat the chorus lines wherever appropriate.
Notes on Urdu Grammar:
1). All the important grammatical rules have been observed and the letters of the Urdu
alphabet are represented by the appropriate Roman English letters. It is a pre-requisite
and a mandatory requirement that the reader MUST be able to converse fluently in Urdu.
2) When NUN comes after a long vowel, it has a nasal sound , e.g., Nahin, Yahan.
3) The word HUN is a Present Definite Singular Tense, the plural of which is HAIN,
e.g.,

MAYN MADINAH JA RAHA HUN becomes HUM MADINAH JA RAHEY


HAIN

4) The Aorist tense is usually employed by most Naat Authors, when the Present
Indefinite Tense occurs in English after If, When and Until and the Verb of the second
clause is in the Imperative; as will be seen from the following example:

Singular: MAYN MADINEY KO JAUN Plural:HUM MADINEY KO JAEN

Along with the Naats of Ala Hazrat, Imam of Ahley Sunnat, Mujaddidey Millat, Maulana,
Shah Ahmed Raza Khan Barelvi, we have also included other distinguished Naat writers
such as Janaab Bekal, Anjum and Niyazi to mention but a few. Furthermore, many long
Naats such as MUSTAFA JANE REHMAT, contains difficult words in Farsi. So wherever
possible we have included a very brief Meanings column at the end of the Naat.

The sequence observed in this book is as follows:


1. Hamd praising ALLAH SUBHANUHU WA TAALA
2. Naats
3. Salaams to the Prophet Muhammad (SAW)
4. Manqabat (arranged in historic order) dedicated to H. Bibi Aminah (RA); H. Bibi
Halimah (RA); H. Bibi Fatimah (RA); Khulafaey Rashedeen (RA); H. Imam Hussain (RA);
H. Ghaus Al Azam Dastagir, Ghaus As Saqalain, H. Ghaus Paak, Shaikh Muhyiddin Abdul
Qadir Jilani (RA); and finally, Khwaja Gharib Nawaaz, Hazrat Moinuddin Chishti - Ajmeri
(RA).
Please submit your comments, contributions and suggestions, directly to the author at:49,
Castleton Avenue, Wembley, Middlesex, England, UK, HA9 7QE.
2. HAMD 1 - TUJHE DHUNDH TA THA
THE MAIN LINES TO BE REPEATED BY THE NAAT KHWAAN ARE AS FOLLOWS:

TUJHE DHUNDH TA THA MAYN CHAR SU


TERI SHAAN JALLA JALALUHU
TU MILA QARIBEY RAGEY GULU
TERI ZAAT AMMA NAWALUHU................. TUJHE DHUNDH TA....

1. TERI YAAD MEIN HAI KALI, KALI


2. HAI CHAMAN, CHAMAN MEIN HUWAL AALI
3. TU BASA HAI PHOOL MEIN HOO BAHOO
TERI SHAAN JALLA JALALUHU
4. TERA DAALI, DAALI MEIN WASF HAI
5. TERI PATTEY, PATTEY MEIN HAMD HAI
6. TERA GHUNCHEY, GHUNCHEY MEIN RANGO BU
TERI SHAAN JALLA JALALUHU
7. TERA JALWA DONON JAHAN MEIN HAI
8. TERA NOOR KOUNO MAKAAN MEIN HAI
9. YAHAN TU HI TU WAHAN TU HI TU
TERI SHAAN JALLA JALALUHU
10. TERI JUSTAJU MEIN HAI FAKHTA
11. KE KAHAN TU JALWA DIKHAEGA
12. USEY VIRD KUKU HAI KU BAKU
TERI SHAAN JALLA JALALUHU
13. GIREY QATREY ABR SE KHAK PAR
14. TO YEH BOLA SABZ UTHA KE SAR
15. DIYA GHAIB SE MUJHE AABEY JU
TERI SHAAN JALLA JALALUHU
16. TERA RUNG LALO GOHAR MEIN HAI
17. TERA NOOR SHAMSO QAMAR MEIN HAI
18. TERI ZAAT AMMA NAWALUHU
TERI SHAAN JALLA JALALUHU
19. TERE HUKM SE JO HAWA CHALI
20. TO CHITAK KE BOLI KALI KALI
21. HAI KARIM TU HAI RAHIM TU
TERI SHAAN JALLA JALALUHU
22. HAI DUA E AKBARE NATAWAN
23. NA THAMEY QALAM NA RUKE ZUBAN
24. MAYN LIKHUN PARH-HUN YEHI BA WUZU
TERI SHAAN...REPEAT TUJHE DHUNDH TA....

MEANINGS:
MAIN LINE:RAGEY GULU = JUGULAR VEIN OF NECK
LINE 10: JUSTAJU = SEARCH
LINE 10: FAKHTA = DOVE
LINE 12: KU BAKU = KOOCHA, GALI
LINE 13: ABR SE = FROM CLOUDS; KHAK = ZAMIN
LINE 14: SABZ = GREENERY
LINE 15: AABEY = WATER; JU = FOUNTAIN
LINE 16: LALO = RUBY; GOHAR = MOTI, HEEREY
LINE 22: NATAWAN = WEAK / KAMZOR
LINE 23 DHAMEY QALAM= NA RUKNE WALI QALAM

2
3. HAMD 2 - TERI SHAAN JALLA JALALUHU
THE MAIN LINES TO BE REPEATED BY THE NAAT KHWAAN ARE AS FOLLOWS:

TERI ZAAT PAAK HAI AEY KHUDA


TERI SHAAN JALLA JALALUHU
TERI ZAAT PAAK HAI AEY KHUDA
TERI SHAAN JALLA JALALUHU
NAHIN TUJH SA KOI BHI DUSRA
TERI SHAAN JALLA JALALUHU
TERI ZAAT PAAK

TERA ZIKR HI TO NAMAAZ HAI


TERI YAAD HI TO NIYAZ HAI
BARI SEHAL HAI TERI BANDAGI
TERI SHAAN JALLA JALALUHU
TERI ZAAT PAAK

KABHI MAST DEKH KE PHOOL KO


KABHI TERE HUSN QUBOOL KO
YEHI KEH RAHI HAI KALI, KALI
TERI SHAAN JALLA JALALUHU
TERI ZAAT PAAK

JIS SE CHAHEY HOSH MEIN LAE TU


JIS SE CHAHEY MAST PHIRAE TU
TUHI HOSH DEY TUHI BEKHUDI
TERI SHAAN JALLA JALALUHU
TERI ZAAT PAAK

TERE HUKM SE JO HAWA CHALI


TO CHITAK KE BOLI KALI, KALI
HAI KARIM TU HAI RAHIM TU
TERI SHAAN JALLA JALALUHU
TERI ZAAT PAAK

TERA DAALI, DAALI MEIN WASF HAI


TERI PATTEY, PATTEY MEIN HAMD HAI
TERA GHUNCHEY, GHUNCHEY MEIN RANGO BOO
TERI SHAAN JALLA JALALUHU
TERI ZAAT PAAK

TERA JALWA DONON JAHAN MEIN HAI


TERA NOOR KOUNO MAKAAN MEIN HAI
YAHAN TU HI TU WAHAN TU HI TU
TERI SHAAN JALLA JALALUHU
TERI ZAAT PAAK

3
4. HAMD 3 - KAMIL HAI JO AZAL SE
THE MAIN LINES TO BE REPEATED BY THE NAAT KHWAAN ARE AS FOLLOWS:

KAMIL HAI JO AZAL SE, WOH HAI KAMAL TERA


BAQI HAI JO AABAD TAK, WOH HAI JALAL TERA
KAMIL HAI JO AZAL SE, WOH HAI KAMAL TERA

1. HAI AARIFON KO HAIRAT AUR MUNKIRON KO SAKTA


2. HAR DIL PE CHA RAHA HAI, ROBO JALAL TERA
KAMIL HAI JO

3. GO HUKM TERE LAKHON, YAN TAAL TE RAHEY HAIN


4. LEKIN TALANA HARGIZ, DIL SE KHAYAL TERA
KAMIL HAI JO

5. UNKI NAZAR MEIN SHAUKAT, JACHTI NAHIN KISI KI


6. ANKHON MEIN BAS RAHA HAI, JIN KE JAMAL TERA
KAMIL HAI JO

AUTHOR: MAULANA HASAN RAZA KHAN BARELVI

MEANINGS:
LINE 1: SAKTA = TO STAND STILL
LINE 3: GO = AGAR CHE
LINE 5: SHAUKAT = USKI BARAI AUR AALI SHAAN

4
5. NAAT - INTRODUCTORY RECITATION
In certain Mehfiley Naat functions, you may wish to recite the introductory lines outlined
below in Section 5.1 and 5.2, before you recite the main Naat.

5.1 BALAGHAL ULA


Shaikh Musleh-Ud-Din Saadi Shirazi (D. 1292), a persian Naat Khwaan of the rank of
Hafiz Shirazi, Maulana Rumi, and Shaer Al-Mutanaby, composed the following Naat. As
the Naat depicted the attributes of the Holy Prophet Muhammad (SAW), the Shaikh was
therefore endowed with the honour of his vision, who showed his appreciation by
commanding him to continue the recitation of the Naat that was composed for him.

1. BALAGHAL ULA BE KAMALEHI 2. KASHFAD DUJA BE JAMALEHI


3. HASUNAT JAMEU KHESALEHI 4. SALLU ALAIHI WAAALEHI

5.2 UTH THI NAZAR TO ROOWE NABI PAR


THAHAR GAYIN
1. UTH THI NAZAR TO ROOWE NABI PAR THAHAR GAYIN
2. DIL KYA SANVAR GAYA MERI QISMAT SANVAR GAYIN
3. HIJREY NABI MEIN AAH KAHAN BEY ASAR GAYIN
4. TAR PE JO HUM YAHAN TO MADINEY KHABAR GAYIN
5. ARSH SE NOOR CHALA AUR HARAM TAK PAHONCHA
6. SILSILA MERE GUNAHON KA KARAM TAK PAHONCHA
7. TERI MIRAJ KE TU LOH-O-QALAM TAK PAHONCHA
8. AUR MERI MIRAJ KE MAYN TERE QADAM TAK PAHONCHA
9. JO UNKE ZIKR KI MEHFIL SAJAE BAITHE HAIN
10. WOH DILON KO APNE MADINAH BANAE BAITHE HAIN
11. YEH KEH GAYA HAI KOI AAKE MERE KANON MEIN
12. NAZAR SE DEKH KE SARKAR AAEY BAITHE HAIN
13. TARIF JO MAYN KARTA HUN KHAYRUL ANAM KI
14. IZZAT BULAND HOTI HAI MERE QALAM KI
15. MERI LAHAD MEIN LAENGEY TASHRIF MUSTAFA
16. ADAT BANA RAHA HUN DUROODO SALAAM KI
PARHIYE:- SALLEY ALA NABIYENA, SALLEY ALA MUHAMMADIN
SALLEY ALA SHAFIYENA, SALLEY ALA MUHAMMADIN

5
6. ZAMINO ZAMAN TUMHARE LIYE

THE MAIN LINES TO BE REPEATED BY THE NAAT KHWAAN ARE AS


FOLLOWS:

ZAMINO ZAMAAN TUMHARE LIYE


MAKINO MAKAAN TUMHARE LIYE
CHUNINO CHUNANTUMHARE LIYE
BANE DO JAHAN TUMHARE LIYE

1. DEHAN MEIN ZUBAN TUMHARE LIYE


2. BADAN MEIN HAI JAAN TUMHARE LIYE
3. HUM AAEIN YAHAN TUMHARE LIYE
4. UTHEIN BHI WAHAN TUMHARE LIYE
ZAMINO ZAMAAN

5. YEH SHAMSO QAMAR, YEH SHAMON SAHAR


6. YEH BURGO SAJAR, YEH BAGHO SAMAR
7. YEH TEGHO SIPAR, YEH TAAJO QAMAR
8. YEH HUKMEY RAWAN TUMHARE LIYE
ZAMINO ZAMAAN

9. NA RUHEY AMIN, NA ARSHEY BARIN


10. NA LOHEY MUBIN KOI BHI NAHIN
11. KHABAR HI NAHIN JORAMZ KHULEY
12. AZALKE NIHAN TUMHARE LIYE
ZAMINO ZAMAAN

13. SABA WOH CHALEY KE BAAGH PHALEY


14. WOHPHOOL KHILEY KE DIN HON BHALEY
15. LIWA KE TALEY SANA MEIN KHULEY
16. RAZA KI ZUBAN TUMHARE LIYE
ZAMINO ZAMAAN

AUTHOR: MAULANA, SHAH, AHMED RAZA KHAN BARELVI (RA)

6
7. HAMARA NABI
THE MAIN CHORUS LINES ARE AS FOLLOWS:

SAB SE AWLA WA ALA HAMARA NABI


SAB SE BALA WA WALA HAMARA NABI

1. APNE MAULA KA PYARA HAMARA NABI


2. DONON ALAM KA DULHA HAMARA NABI
SAB SE
3. BAZME AAKHIR KA SHAM-AEY FROZAN HUA
4. NOORE AWWAL KA JALWA HAMARA NABI
SAB SE
5. JIS KO SHAYAN HAI ARSHEY KHUDA PAR JULOOS
6. HAI WOH SULTANE WALA HAMARA NABI
SAB SE
7. BUJH GAYIN JIS KE AAGEY SABHI MASALEIN
8. SHAMA WOH LEKAR AYA HAMARA NABI
SAB SE
9. JIN KE TALWON KA DHOWAN HAI AABEY HAYAT
10. HAI WOH JANE MASIHA HAMARA NABI
SAB SE
11. ARSHO KURSI KI THI AAINA BANDIYAN
12. SUE-AEY HAQQ JAB SIDHARA HAMARA NABI
SAB SE
13. KHALQ SE AWLIYA, AWLIYA SE RASOOL
14. AUR RASOOLON SE ALA HAMARA NABI
SAB SE
15. HUSN KHATA HAI JIS KE NAMAK KI QASAM
16. WOH MALIHEY DIL AARA HAMARA NABI
SAB SE
17. ZIKR SAB PHIKE JAB TAK NA MAZKOOR HO
18. NAMKEEN HUSN WALA HAMARA NABI
SAB SE
19. JIS KI DO BUND HAI KAUSARO SAL SABEEL
20. HAI WOH REHMAT KA DARIYA HAMARA NABI
SAB SE
21. JAISEY SAB KA KHUDA EK HAI WAI SE HI
22. INKA UNKA TUMHARA HAMARA NABI
SAB SE
23. QARNON BADLI RASOOLON KI HOTI RAHI
24. CHAND BADLI SE NIKLA HAMARA NABI
SAB SE

7
25. KAUN DAYTA HAI DAINE KO MUNH CHAHI YE
26. DAINE WALA HAI SACH-CHA HAMARA NABI
SAB SE
27. KYA KHABAR KITNE TARE KHILEY CHUP GAYE
28. PER NA DUBEY NA DUBA HAMARA NABI
SAB SE
29. MULKE KONEIN MEIN AMBIYA TAAJDAAR
30. TAAJDARON KA AQA HAMARA NABI
SAB SE
31. LA MAKAAN TAK UJALA JIS KA WOH HAI
32. HAR MAKAAN KA UJALA HAMARA NABI
SAB SE
33. SAREY ACHCHHON MEIN ACHCHHA SAMAJHEN JIS SE
34. HAI US ACHCHHE SE ACHCHHA HAMARA NABI
SAB SE
35. SAREY UNCHON MEIN UNCHA SAMAJHEN JIS SE
36. HAI US UNCHEY SE UNCHA HAMARA NABI
SAB SE
37. JIS NE TUKRE KIYE HAI QAMAR KE WOH HAI
38. NOORE WAHDAT KA TUKRA HAMARA NABI
SAB SE
39. SAB CHAMAK WALE UJLON MEIN CHAMKA KIYE
40. ANDHEY SHISHON MEIN CHAMKA HAMARA NABI
SAB SE
41. JIS NE MURDA DILON KO DI UMR AABAD
42. HAI WOH JANE MASIHA HAMARA NABI
SAB SE
43. GHAMZADON KO RAZA MUZDAH DIJI YE KE HAI
44. BE KASON KA SAHARA HAMARA NABI
SAB SE

AUTHOR: MAULANA, SHAH, AHMED RAZA KHAN BARELVI (RA)

MEANINGS:
LINE 11: SHAB-E-MAIRAJ KI RAAT HAR CHIZ UPAR SAJAYI GAYIN THI
LINE 11: BANDIYA = BORDER
LINE 12: SUE-AEY = TARAF
LINE 12: SIDHARA = GAYE
LINE 43: MUZDAH = KHUSH KHABARI

8
8. UNKE JO GHULAM HO GAYE
THE MAIN LINES TO BE REPEATED BY THE NAAT
KHWAAN ARE AS FOLLOWS:

UNKE JO GHULAM HO GAYE


WAQT KE IMAM HO GAYE

1. FARSH SE WOH JA KE ARSH PAR


2. RAB SE HUM QALAM HO GAYE
UNKE JO GHULAM
3. AMBIYA KHADEY HAIN SAF BA SAF
4. MUSTAFA IMAM HO GAYE
UNKE JO GHULAM
5. JAB BULAYA AQA NE
6. KHUD HI INTEZAAM HO GAYE
UNKE JO GHULAM
7. PAS WALE DEKH TE RAHEY
8. DUR SE SALAAM HO GAYE
UNKE JO GHULAM
9. MUSTAFA KI SHAAN DEKH KAR
10. BADSHAH GHULAM HO GAYE
UNKE JO GHULAM
11. CHASHME-BINA HO, TO DEKH LO
12. UNKE JALWEY AAM HO GAYE
UNKE JO GHULAM
13. NAAM LEVA UNKE JO HUEY
14. UNKE UNCHEY NAAM HO GAYE
UNKE JO GHULAM

9
9. AJ SIK MITRAN DI
1. AJ SIK MITRAN DI WADHERI AEY
2. KYON DILRI UDAS GHANERI AEY
3. LUN LUN VICH SHAUQ CHANGERI AEY
4. AJ NAINAN NE LAIYAN KYON JHARIYAN
5. MUKH CHAN BADAR SHAH SHANI AEY
6. MAATHE CHAMKE LAAT NOORANI AEY
7. KAALI ZULF TEY AKH MASTANI AEY
8. MAKHMOOR AKHIHEN MADHBHARIYAN
9. ES SURAT NU MAYN JAAN AKHAN
10. JAAN AKHAN KE JANE JAHAN AKHAN
11. SACH AKHAN TEY RABDI SHAAN AKHAN
12. JIS SHAAN TO SHAANAN SAB BANIYAN
13. AEY SURAT SHALA PESHE NAZAR
14. RAHEY WAQTEY NIZA TEY ROZE HASHR
15. VICH QABR TEY POOL THI JAD HOSI GUZAR
16. SAB KHOTIYAN THISAN TAD KHARIYAN
17. SUBHANALLAH, MAAJMALKA, MAAHSANKA, MAAKMALKA
18. KITHEY MAHER ALI KITHEY TERI SANAH
19. GUSTAKH ANKHIYA KITHEY JA ARIYA

AUTHOR: PIR MAHER ALI SHAH GOLARVI (RA)


MEANINGS:
LINE 1: SIK = GROUP
LINE 1: MITRAN = DOSTO
LINE 1: WADHERI = GATHERED
LINE 3: SHAUQ = JOSH
LINE 3: CHANGERI = BOHAT ZYADA
LINE 4: JHARIYAN = AANSHU; TEARS
LINE 5: MUKH = FACE
LINE 5: CHAN BADAR = CHOUDVI KA CHAND
LINE 5: SHANI = CHAMAKTA
LINE 6: LAAT = NOOR
LINE 8: MAKHMOOR AKHIHEN = KHUMAR WALI ANKHEN
LINE 8: MADH = HONEY
LINE 9: IS SURAT KO MAYN APNI JAAN KAHUN
LINE 9: AKHAN = KAHUN
LINE 10: KE PUREY JAHAN KA MEHBOOB KAHUN
LINE 11: AGAR MAYN SACH KAHUN YA RAB KI SHAAN KAHUN
LINE 12: YEH SURAT KO MAYN DEKH RAHA HUN; MAYN ISKO ALLAH KI
SHAAN KAHUN; JIS SE SAB SHAAN BANI HAI
LINE 16: THISAN = HONGEY
LINE 17: MAAJMALKA = AAP KA JAMAL
LINE 17: MAAHSANKA = AAP KA HUSN
LINE 17: MAAKMALKA = AAP KA KAMAL
LINE 18: SANAH = TARIF
LINE 19: MERI GUSTAKH ANKHEN KAHAN JAAKE ATAK GAYIN ?

10
10. BALAGHAL ULA BE KAMALEHI
THE MAIN CHORUS LINES ARE AS FOLLOWS:

BALAGHAL ULA BE KAMALEHI


KASHFAD DUJA BE JAMALEHI
HASUNAT JAMEO KHESALEHI
SALLU ALAIHI WAAALEHI

1. TERA NAAM VIRDEY ZUBAN RAHEY


2. MERI AUR KOI DUA NAHIN
3. MUJHE APNE DARD KI BHIK DEY
4. KE TERE KHAZANEMEIN KYA NAHIN
BALAGHAL ULA

5. WOH GHARI BHI AAEY GHARI, GHARI


6. TERE DAR PE HOMERI HAAZRI
7. TERE DAR SE DUR RAHUN AGAR
8. KOI ZINDAGI KA MAZA NAHIN
BALAGHAL ULA

9. HAI HASIN DILKI WOH DHARKANE


10. HUMA WAQT JO TERA NAAM LEIN
11. HAI BUJHEE, BUJHEE SI WOH ZINDAGI
12. TERE NAAM PE JO FIDA NAHIN
BALAGHAL ULA

13. HOKARAM NAWAZIHUZOOR KI


14. MERE GHAM KADE MEIN BHI AA KABHI
15. MERE CHARAGAR AEY MERE NABI
16. MERA KOI TERE SIVA NAHIN
BALAGHAL ULA

17. YEH INAYATON PE INAYATEIN


18. TERIANGINAT HAIN NAWAZISHEIN
19. HAI KARAM GHARIB NAWAZ KE
20. WOH HAI KYA JO MUJH KO MILA NAHIN
BALAGHAL ULA

11
11. HUM FAQIRON KO MADINEY KI GALI
ACHCHHI LAGI
THE MAIN LINE TO BE REPEATED BY THE NAAT KHWAAN IS AS FOLLOWS:

HUM FAQIRON KO MADINEY KI GALI ACHCHHI LAGI

1. KHUSRAVI ACHCHHI LAGI NA SARWARI ACHCHHI LAGI


2. HUM FAQIRON KO MADINEY KI GALI ACHCHHI LAGI
3. DUR THE TO ZINDAGI BEY RANG THI BEQAIF THI
4. UNKE KOOCHEY MEIN GAYE TO ZINDAGI ACHCHHI LAGI
HUM FAQIRON

5. MAYN NA JAUNGA KAHIN BHI DAR NABI KA CHOD KAR


6. MUJH KO KUW-E MUSTAFA KI CHAKRI ACHCHHI LAGI
HUM FAQIRON

7. WALEYHANA HO GAYE JO TERE QADMON PAR NISAR


8. HAQQ TAALA KO ADA UNKI BARI ACHCHHI LAGI
HUM FAQIRON

9. TERI KHATIR SAANP SE DASVA LIYA SIDDIQUE NE


10. ASHIQON KO UNKI TARZE ASHIQI ACHCHHI LAGI
HUM FAQIRON

11. NAAZ KAR TU AEY HALIMAH SARWARE KONEIN PAR


12. GAR LAGI ACHCHHI TO TERI JHONPRI ACHCHHI LAGI
HUM FAQIRON

13. RAKH DIYE SARKAR KE QADMON PE SULTANON NE SAR


14. SARWARE KOUNO MAKAAN KI SAADGI ACHCHHI LAGI
HUM FAQIRON

15. MAHER-O-MAH KI RAUSHNI MANA KE ACHCHHI HAI MAGAR


16. SABZ GUMBAD KI MUJHE TO RAUSHNI ACHCHHI LAGI
HUM FAQIRON

17. AAJ MEHFIL MEIN NIYAZI NAAT JO MAYNE PARHI


18. ASHIQANE MUSTAFA KO WOH BARI ACHCHHI LAGI
HUM FAQIRON

AUTHOR: JANAAB ABDUL SATTAR NIYAZI

12
12. AJAB RANG PAR HAI

1. AJAB RANG PAR HAI BAHARE MADINAH


2. KE SAB JANNATEIN HAIN NISARE MADINAH
3. MUBARAK RAHEY ANDLIB TUMHEY GUL
4. HAMEN GUL SE BEHTAR HAI KHAREY MADINAH
5. MERI KHAK YA RAB NA BARBAAD JAEY
6. PASEY MARG GARDEY GHUBAREY MADINAH
7. JIDHAR DEKHI YE BAAGHE JANNAT KHILA HAI
8. NAZAR MEIN HAI NAQSH-O-NIGAR-E MADINAH
9. DO ALAM MEIN BATTA HAI SADQA YAHAN KA
10. HAMEN IK NAHIN REZA KHAREY MADINAH
11. BANA ASMAN MANZILEIN IBNE MARYAM
12. GAYE LA MAKAAN TAAJDARE MADINAH
13. SHARF JIN SE HAASIL HUA AMBIYA KO
14. WOHI HAI HASAN IFTAKHAREY MADINAH

AUTHOR: MAULANA HASAN RAZA KHAN BARELVI

MEANINGS:
LINE 3: ANDLIB = BULBUL
LINE 10: REZA = CHOTA
LINE 13: SHARF = BARAI

13
13. KUCH NAHIN MANGTA

1. KUCH NAHIN MANGTA SHAHON SE YEH SHAIDA TERA


2. ISKI DAULAT HAI FAQAT, NAQSHE KAFEY PA TERA
KUCH NAHIN

3. PUREY QAD SE MAYN KHARA HUN, TO YEH TERA HAI KARAM


4. MUJH KO JHUK NE NAHIN DAYTA YEH SAHARA TERA
KUCH NAHIN

5. LOG KEHTE HAIN KE SAYA TERE PEKAR KA NA THA


6. MAYN TO KEHTA HUN, JAHAN BHAR PE HAI SAYA TERA
KUCH NAHIN

7. DASTAGIRI MERI TANHAI KI TUNE HI TO KI


8. MAYN TO MAR JATA AGAR SAATH NA HOTA TERA
KUCH NAHIN

9. TU BASHAR BHI HAI MAGAR FAKHREY BASHAR BHI TO HAI


10. MUJH KO TO YAAD HAI BAS ITNA SARAPA TERA
KUCH NAHIN

11. MERI ANKHON SE JO DHUNDHE TUJHE HAR SU DEKHEIN


12. SIRF KHILWAT MEIN JO KAR TE HAIN NAZARA TERA
KUCH NAHIN

13. EK BAAR AUR BHI, BATOHA SE FALASTIN MEIN AA


14. RASTA DEKHTI HAI MASJIDE AQSA TERA
KUCH NAHIN

AUTHOR: JANAAB AHMED NADIM KASMI

14
14. YEH SARWARI HAI BHALA KYA

1. YEH SARWARI HAI BHALA KYA SIKANDARI KYA HAI


2. DARE NABI KA GADA HUN MUJHE KAMI KYA HAI
YEH SARWARI

3. FIDA NAHO JO NABI PE WOH UMMATI KYA HAI


4. JO GEET GAYE NA UNKE WOH ADMI KYA HAI
YEH SARWARI

5. DARE RASOOL PE LE CHAL JUNOONE ISHQ MUJHE


6. BAGHAIR AQA KE GUZREY WOH ZINDAGI KYA HAI
YEH SARWARI

7. TARAP RAHA HAI JO ROZE KI HAAZRI KE LIYE


8. USI GHARIB SE PUCHO KE BE BASI KYA HAI
YEH SARWARI

9. NABI KI SHAAN-E-KARIMI NA MAAN NE WALON


10. MUJHE BAS ITNA BATA DO KE KAAFRI KYA HAI
YEH SARWARI

11. BARA KARAM HAI NIYAZI MADINEY WALE KA


12. KARAM NA HO JO NABI KA WOH ZINDAGI KYA HAI
YEH SARWARI

AUTHOR: JANAAB ABDUL SATTAR NIYAZI

15
15. AAI NASIMEY KUW-E MUHAMMAD
(SAW)

1. AAI NASIMEY KUW-E MUHAMMAD,SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM

2. KHINCH NE LAGADILSUWEY MUHAMMAD,SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM

3. KAABAH HAMARA KUW-E MUHAMMAD,SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM

4. MUSHHAFEYIMAN ROOWE MUHAMMAD,SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM

5. LEKE MURADE DIL AAENGEY, MAR JAENGEY, MIT JAENGEY

6. PAHONCHEY TO HUM TUM KUW-E MUHAMMAD, SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM

7. TAIBAH KI JANIB TAK NE WALON, ANKHEN KHOLO, HOSH SAMBHALO

8. DEKHO QAD DIL JUWEY MUHAMMAD, SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM

9. NAAM ISI KA BAABE KARAM HAI, DEKH YEHI MEHRABE HARAM HAI

10. DEKH KHAMEY ABROOW-E MUHAMMAD, SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM

11. HUM SAB KA RUKH SUWEY KAABAH, SUWEY MUHAMMAD ROOWE KAABAH

12. KAABEY KA KAABAH KUW-E MUHAMMAD, SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM

13. BHINI, BHINI, KHUSHBOO LAHEKI, BEDAM DIL KI DUNIYA MAHEKI

14. KHUL GAYE JAB GEISOO-E MUHAMMAD, SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM

AUTHOR: JANAAB BEDAM WARSI

MEANINGS:
LINE 1: KUW-E = GALI SE
LINE 10: ABROOW-E = EYEBROW

16
16. USKO KABHI NA CHU SAKEN
THE MAIN LINES TO BE REPEATED BY THE NAAT KHWAAN ARE AS FOLLOWS:

USKO KABHI NA CHU SAKEN RANJO BALA KE HATH


UTHEY HAI JIS KE HAQQ MEIN RASOOLE KHUDA KE HATH

1. MEHSHAR MEIN HOGA CHAH NE WALON PE YEH KARAM


2. APNI TARAF BULAEN GEY AQA UTHA KE HATH
USKO KABHI

3. BE HADO BE SHUMAR KHATAEIN SAHI MAGAR


4. KUCH GHAM NAHIN KE LAAJ HAI AB MUSTAFA KE HATH
USKO KABHI

5. ISHQEY NABI KI ILMEY LAKIREIN BHI KHINCH KAR


6. ROZE AZAL KHUDA NE BANA KE HAMARE HATH
USKO KABHI

7. HAR SAANS WAQF HAI SHAHE LOLAK KE LIYE


8. MERI TARAF BARHENGEIN ADAB SE QAZA KE HATH
USKO KABHI

9. JI CHAHTA HAI KHAKE DARE PAAK CHUMLUN


10. YEH BAAT LAG NA JAEN KAHIN SE SABA KE HATH
USKO KABHI

11. HAR SU HAIN UNKE NAQSHE KAFEY PA HIJAZ MEIN


12. ALLAH NE KIYA TO LAGA LENGEY JAAKE HATH
USKO KABHI

13. MEIN HUN GADAAEY KOOCHEY AALEY NABI NASIR


14. DEKHEY TO MUJH KO NAREY JAHANNAM LAGA KE HATH
USKO KABHI

AUTHOR: JANAAB SAHEBZADA NASIR AHMED


MEANINIGS:
LINE 7: LOLAK = ALAM
LINE 9: KHAK = MITTI
LINE 10: SABA = HAWA
LINE 11: SU = TARAF
LINE 11: NAQSHE = PRINTS
LINE 11: KAFEY PA = FOOT

17
17. MUHAMMAD MUSTAFA SALLEY ALA KI
AAJ MEHFIL HAI
THE MAIN LINES TO BE REPEATED BY THE NAAT KHWAAN ARE AS
FOLLOWS:

MUHAMMAD MUSTAFA SALLEY ALA KI AAJ MEHFIL HAI


HABIBE KIBRIYA, SALLEY ALA KI AAJ MEHFIL HAI

1. PARHO SALLEY ALA, SALLEY ALA, SALLEY ALA, HAR DAM


2. KE MEHBOOBE KHUDA, SALLEY ALA, KI AAJ MEHFIL HAI
MUHAMMAD MUSTAFA

3. WUZU SE AAEIN, BETHEIN, BA ADAB, BHEJEIN DUROOD UNPAR


4. JAHAN KE REHNUMA SALLEY ALA KI AAJ MEHFIL HAI
MUHAMMAD MUSTAFA

5. FARISHTEY ALAMEY BALA SE SUN, SUN KAR YEH KEHTE HAIN


6. CHALO NOORE KHUDA, SALLEY ALA, KI AAJ MEHFIL HAI
MUHAMMAD MUSTAFA

7. HUEY HAI JIS KE FAIZEY NOOR SE DONON JAHAN RAUSHAN


8. USI SHAMSUD DOHA, SALLEY ALA, KI AAJ MEHFIL HAI
MUHAMMAD MUSTAFA

9. NIKALA JIS NE CHASHMAH AAB KA UNGLI SE JANGAL MEIN


10. USI BEHRE SAKHA, SALLEY ALA KI AAJ MEHFIL HAI
MUHAMMAD MUSTAFA

11. DUAEIN MANGLEY JO MANGNI HON HAQQ SE, AEY AKBAR


12. TERE MUSHKIL KUSHA, SALLEY ALA KI AAJ MEHFIL HAI
MUHAMMAD MUSTAFA

AUTHOR: KHWAJA MUHAMMAD AKBAR WARSI

MEANINIGS:
LINE 5: ALAMEY BALA = HEAVEN
LINE 10: BEHR = OCEAN

18
18. SARWARE AMBIYA KI HAI MEHFIL SAJI
THE MAIN LINES TO BE REPEATED BY THE NAAT KHWAAN ARE AS
FOLLOWS:
SARWARE AMBIYA KI HAI MEHFIL SAJI
LIJI YE KUCH MAZA JHOOM TE JHOOM TE
AAP SUNTEY RAHEY MEIN SUNATA RAHUN
ZIKRE SALLEY ALA JHOOM TE JHOOM TE
1. WAJHEY TASKINE ALAM HAI YADE NABI
2. DAFA-AEY RANJO ALUM HAI MILADE NABI
3. AAP BETHEIN SAJA KAR ZARA BAZM KO
4. HOGI REHMAT KHUDA JHOOM TE JHOOM TE
SARWARE
5. EK BHI APNE DAMAN MEIN NEKI NATHI
6. AANKH MEIN ASHK THE LAB PE NAATE NABI
7. MUJH KO UNKE KARAM NE SAHARA DIYA
8. UNKI AAI ATA JHOOM TE JHOOM TE
SARWARE
9. GIRNEIN WALE HAIN JITNE SAMBHAL JAENGEY
10. UNKE USSHAQ SUN KAR MACHAL JAENGEY
11. KAMLI WALE KI ZULFON KE LE KAR MAHEK
12. CHAL PARI HAI HAWA JHOOM TE JHOOM TE
SARWARE
13. KUCH NAWASON KA SADQA ATA KIJI YE
14. HUM FAQIRON KE DAMAN KO BHAR DIJI YE
15. NAAM SUN KAR TERA TERE DARBAR KA
16. AA GAYE HAIN GADA JHOOM TE JHOOM TE
SARWARE
17. ASHIQON HAASILEY ZINDAGI HAI YAHI
18. ZINDAGI KI QASAM BANDAGI HAI YAHI
19. HAR GHARI HO ZUBAN SE NIYAZI AGAR
20. MIDHATE MUSTAFA JHOOM TE JHOOM TE
SARWARE

AUTHOR: JANAAB ABDUL SATTAR NIYAZI


MEANINIGS:
19
LINE 6: ASHK = LOVE
LINE 16: GADA = HUMBLE SLAVES

20
19. NAMEY MUHAMMAD KITNA MITHA
THE MAIN LINES TO BE REPEATED AS FOLLOWS:

NAMEY MUHAMMAD KITNA MITHA, MITHA LAGTA HAI


DONON JAHAN SARKAR KA SADQA AISA LAGTA HAI

1. YADE NABI KA GULSHAN MEHKA, MEHKA LAGTA HAI


2. MEHFIL MEIN MAUJUD HAIN AQA AISA LAGTA HAI
NAMEY MUHAMMAD

3. LAB PAR NAGHMEY SALLEY ALA KE HATHON MEIN KASHKOL


4. DEKHO TO SARKAR KA MANGTA KAISA LAGTA HAI
NAMEY MUHAMMAD

5. GHAUSO, QUTB, ABDAAL, QALANDAR, SAB UNKE MOHTAJ


6. MERA AQA SAB WALIYON KA AQA LAGTA HAI
NAMEY MUHAMMAD

7. YADE NABI MEIN HAR DAM RONA ACHCHHA LAGTA HAI


8. HUM BHI TAIBAH JAENGEY AB AISA LAGTA HAI
NAMEY MUHAMMAD

9. YADE NABI MEIN RONE WALA HUM DIWANON KO


10. LAKH PARAYA HO WOH PHIR BHI APNA LAGTA HAI
NAMEY MUHAMMAD

11. UNKE DAR SE PALNE WALE, APNA AAP JAWAB


12. KOI GHAUS AL AZAM, KOI KHWAJA LAGTA HAI
NAMEY MUHAMMAD

13. SIDDIQUE-O-UMAR, USMAN-O-ALI, AUR KHALID-O-ZAID-O-BILAL


14. BAITHE HON DARBARE NABI MEIN KAISA LAGTA HAI
NAMEY MUHAMMAD

15. ZIKRE NABI SE RAUSHAN ANJUM, SARA JAG PUR NOOR


16. SALLEY ALA TUM PARH KE DEKHO KAISA LAGTA HAI
NAMEY MUHAMMAD
AUTHOR: JANAAB QAMRUDDIN ANJUM

21
20. HAR ROZ SHABE TANHAI MEIN

HAR ROZ SHABE TANHAI MEIN


FURQAT KA JUNOON TARPATA HAI
DIL MAJBOORI PE ROTA HAI
JAB YAAD MADINAH ATA HAI
HAR ROZ SHABE TANHAI MEIN

SAJDON KI KAMAI EK TARAF


TAIBAH KI GADAI EK TARAF
HAR CHIZ USEY MIL JATI HAI
JO DAR PE NABI KE ATA HAI
DIL MAJBOORI PE ROTA HAI
JAB YAAD MADINAH ATA HAI
HAR ROZ SHABE TANHAI MEIN

IK HOOK UTHEY MERE SINE SE


AAEIN PAIGHAM MADINEY SE
SARKARE KARAM KI BHIK MILEY
HUM SAEEL HAIN TU DAATA HAI
HAR ROZ SHABE TANHAI MEIN

MERA ZARF KAHAN TERI ZAAT KAHAN


MERI FIKR KAHAN TERI BAAT KAHAN
ADNA SA EK BHIKARI HUN
YEHI NISBAT HAI YEHI NAATA HAI
HAR ROZ SHABE TANHAI MEIN

TERI MIDHAT KAAM ZAHOORI KA


TERE NAAM SE NAAM ZAHOORI KA
QARYA, QARYA BASTI, BASTI
JO TERI NAAT SUNATA HAI
DIL MAJBOORI PE ROTA HAI
JAB YAAD MADINAH ATA HAI
HAR ROZ SHABE TANHAI MEIN

AUTHOR: JANAAB ZAHOORI

22
21. SULTANE JAHAN MEHBOOBE KHUDA
THE MAIN LINES TO BE REPEATED BY THE NAAT KHWAAN ARE AS FOLLOWS:

SULTANE JAHAN MEHBOOBE KHUDA, TERI SHAANO SHAUKAT KYA KEHNA


HAR SHAY PE LIKHA HAI NAAM TERA, TERE ZIKR KI RAFAT KYA KEHNA

1. HAI SAR PAR TAAJ NABUWWATKA, JORA HAI TAN PE KARAMAT KA


2. SEHRA HAI JABIN PAR SHAFAAAT KA, UMMAT PE HAI REHMAT KYA KEHNA
SULTANE JAHAN

3. MAIRAJ HUI TA ARSH GAYE, HAQQ TUM SE MILA TUM HAQQ SE MILEY
4. SAB RAZEY FA AWHA DIL PE KHULEY, YEH IZZATO HASHMAT KYA KEHNA
SULTANE JAHAN

5. SAB MISLE HATHELI PESHE NAZAR, HAR GHAIB AYAN HAIN SINE PAR
6. YEH NOORE NAZAR YEH CHASHM-O-BASAR, YEH ILMO HIKMAT KYA KEHNA
SULTANE JAHAN

7. SIDDIQUE-O-UMAR, USMAN-O-ALI AUR UNKE SIVA ASHABEY NABI


8. QURBAN RAHEY AQA PE SABHI, KI KHUB RIFAQAT KYA KEHNA
SULTANE JAHAN

9. ANKHON SE KIYA DARIYA JARI AUR LAB PE DUA PYARI, PYARI


10. RO-RO KE GUZARI SHAB SARI, AEY HAMIYE UMMAT KYA KEHNA
SULTANE JAHAN

11. SHOHRAT HAI JAMIL ITNI TERI, YEH SAB HAI KARAMAT MURSHID KI
12. KEHTE HAIN TUJHE MADDA-HEY NABI, SAB AHLEY SUNNAT KYA KEHNA
SULTANE JAHAN

AUTHOR: JANAAB SUFI JAMIL UR-REHMAN QADRI RIZVI

23
22. SARKARE DO ALAM KE RUKH PAR

THE MAIN LINES TO BE REPEATED BY THE NAAT KHWAAN ARE AS FOLLOWS:

SARKARE DO ALAM KE RUKH PAR, ANWAAR KA ALAM KYA HOGA


JAB ZULF KA ZIKR HAI QURAN MEIN, RUKHSAR KA ALAM KYA HOGA

1. MEHBOOBE KHUDA KE JALWON SE, IMAN KI ANKHEN RAUSHAN HAIN


2. BIN DEKHEY HI JAB YEH ALAM HAI, DIDAR KA ALAM KYA HOGA
SARKARE DO ALAM

3. JAB UNKE GADA BHAR DETEY HAIN, SHAHANE ZAMANA KI JHOLI


4. MOHTAJ KI JAB YEH HALAT HAI, MUKHTAR KA ALAM KYA HOGA
SARKARE DO ALAM

5. HAI NAAM MEIN UNKA ITNA ASAR, JI UTHTE HAI MURDEY BHI SUN KAR
6. WOH HAAL AGAR KHUD PUCHEIN TO, BIMAR KA ALAM KYA HOGA
SARKARE DO ALAM

7. JAB UNKE GHULAMON KE DAR PAR, JHUKTE HAIN SALAATI-NE ALAM


8. PHIR KOI BATAEY AQA KE, DARBAR KA ALAM KYA HO GA
SARKARE DO ALAM

9. JAB SUNKE SAHABA KI BAATEN, KUFFAR MUSALMAN HOTE HAIN


10. PHIR DONON JAHAN KE SARWAR KI, GUFTAR KA ALAM KYA HOGA
SARKARE DO ALAM

11. TAIBAH SE HAWA JAB ATI HAI, BEKAL KO SUKUN MIL JATA HAI
12. IS PAAR KA JAB YEH ALAM HAI, US PAR KA ALAM KYA HOGA
SARKARE DO ALAM

AUTHOR: JANAAB BEKAL

24
23. MEHBOOB KI MEHFIL KO

THE MAIN LINES TO BE REPEATED BY THE NAAT KHWAAN ARE AS


FOLLOWS:

MEHBOOB KI MEHFIL KO, MEHBOOB SAJATE HAIN


AATE HAIN WOHI JIN KO, SARKAR BULATE HAIN

1. WOH LOG KHUDA SHAHID, QISMAT KE SIKANDAR HAIN


2. JO SARWARE ALAM KA, MILAD MANATE HAIN
MEHBOOB KI

3. AQA KI SANAH KHWANI, DAR ASL IBADAT HAI


4. HUM NAAT KI SURAT MEIN, QURAN SUNATE HAIN
MEHBOOB KI

5. JIN KA BHARI DUNIYA MEIN, KOI BHI NAHIN WALI


6. UNKO BHI MERE AQA, SINE SE LAGATE HAIN
MEHBOOB KI

7. JO SARWARE ALAM KO, LAJPAL SAMAJHTE HAIN


8. DAMAN TALAB BHAR KAR, MEHFIL SE WOH JATE HAIN
MEHBOOB KI

9. ME-KHWARO CHALEY JANA, ME-KHWANAE SARWAR MEIN


10. WOH JAMEY TALAB SAB KO; BHAR, BHAR KE PILATE HAIN
MEHBOOB KI

11. ALLAH KE KHAZANON KE, MALIK HAIN NABI SARWAR


12. YEH SACH HAI NIYAZI, HUM SARKAR KA KHATE HAIN
MEHBOOB KI

AUTHOR: JANAAB ABDUL SATTAR NIYAZI

25
24. NAMEY MUHAMMAD SALLEY ALA
THE MAIN CHORUS LINES ARE AS FOLLOWS:

NAMEY MUHAMMAD SALLEY ALA, ANKHON KI THANDAK DIL KI JILA


AAO UNKA ZIKR KAREIN, JO HAI DAFA-AEY RANJO BALA

1. JIN KO UNKA QURB MILA HAI, BAN GAYE HADI-O-RAAH NUMA


2. SAB PAR UNKI CHASHME KARAM HAI, WAH RE SHAANE JUDO SAKHA
NAMEY MUHAMMAD

3. DEKH KE APNI FARZE AMAL KO, AASI JAB SHARMAEN GEY


4. UMMAT SE KUCH PYAR HAI AISA, KHUD WOH KARAM FARMAEN GEY
NAMEY MUHAMMAD

5. UN PAR APNA TAN MAN WARUN, WARUN HUSNE KOUNO MAKAAN


6. HAASIL UNKE SADQEY MEIN HAI, IZZAT-O-AZMAT NAAM-O-NISHAN
NAMEY MUHAMMAD

7. MEHFILEY NAAT KI BAAT NA PUCHO, KHUD WOH KARAM FARMATEY HAIN


8. JIN PE KARAM HOTA HAI UNKA, UNKE DIN PHIR JATE HAIN
NAMEY MUHAMMAD

9. UNKI BHIK PE SAB PALTEY HAIN, UNKE MUNGTEY SHAHON GADA


10. DAR SE KOI KHALI NA LAUTA, DAATA KI YEH SHAANE ATA
NAMEY MUHAMMAD

11. JAB KOI MUSHKIL PESH AAI HAI, DIL NE UNKO PUKARA HAI
12. ANJUM APNA TO YEH YAQIN HAI, UNKA KARAM HO JATA HAI
NAMEY MUHAMMAD

AUTHOR: JANAAB QAMRUDDIN ANJUM

26
25. MERI ZINDAGI MERI AABROO

THE MAIN LINES TO BE REPEATED BY THE NAAT KHWAAN ARE AS FOLLOWS:

MERI ZINDAGI, MERI AABROO, YEH ATAEY YADE RASOOL HAI


JO YEH DARD HAI TO QARARE JAAN, HAI AGAR ZAKHM TO PHOOL HAI

1. WOHI ZINDAGI TO HAI BANDAGI KE JO WAQFE NAATE RASOOL HAI


2. JO FAQAT UNHI KE LIYE UTHEY, WOH NIGAH UNKO QUBOOL HAI
MERI ZINDAGI

3. JO TERI NIGAH MEIN AA GAYA, WOH BARI PANAH MEIN AA GAYA


4. TERE WAASTE SE HAI MUTMAEEN, TERE WAASTE SE MALOOL HAI
MERI ZINDAGI

5. TERE ZIKR KI HAI YEH BARKATEN, SABHI BIGREY KAAM SANVAR GAYE
6. JAHAN TERI YAAD HAI DIL NASHIN, WAHIN REHMATON KA NUZOOL HAI
MERI ZINDAGI

7. YEH BAREY NASIB KI BAAT HAI, JAHAN AISI MEHFILEY ZIKR MEIN
8. KABHI HAMDE RABBE JALIL HAI, KABHI NAAT PAAK RASOOL HAI
MERI ZINDAGI

MEANINGS:
MAIN LINE : QARARE JAAN = DIL NE QUBOOL KAR LIYA
LINE 4: MUTMAEEN = SATISFIED
LINE 4: MALOOL = GHAMGHEEN

27
26. AGAR AEY NASIMEY SAHR TERA, HO
GUZAR DAYAREY HIJAZ MEIN

THE MAIN LINES TO BE REPEATED BY THE NAAT KHWAAN ARE AS FOLLOWS:

AGAR AEY NASIMEY SAHR TERA


HO GUZAR DAYAREY HIJAZ MEIN
MERI CHASHME TAR KA SALAAM KEHNA
HUZOOREY BANDA NAWAAZ MEIN

1. TUJHE HADDE AQL NA PA SAKI, FAQAT HAAL ITNA BATA SAKEN


2. KE TUM EK JALWAE RAAZ THE, JO AYAN THA RANGE MAJAZ MEIN
AGAR AEY NASIMEY

3. AJAB EK SUROOR SA CHA GAYA, MERE ROOH DIL MEIN SAMA GAYA
4. TERA NAAM NAAZ SE AA GAYA, MERE LAB PE JAB BHI NAMAAZ MEIN
AGAR AEY NASIMEY

5. NA JAHAN MEIN RAHATE JAAN MILI, NA MATAEY AMNO AMAN MILI


6. JO DAWAE DARDE NIHAN MILI, TO MILI BAHISHTE HIJAZ MEIN
AGAR AEY NASIMEY

MEANINGS:
MAIN LINE: NASIMEY SAHR = SEHRI KE WAQT KI HAWA
LINE 2: RANGE MAJAZ = DUNIYA KA RANG
LINE 5: MATAEY = DAULAT
LINE 6: NIHAN = CHUPI
LINE 6: BAHISTE = JANNAT

28
27. HAI LABON PAR DUROODO SALAAM
THE MAIN CHORUS LINE IS AS FOLLOWS:

HAI LABON PAR DUROODO SALAAM, HAI LABON PAR DUROODO SALAAM

1. YA SHAHE BEHRO BAR HO KARAM KI NAZAR


2. DAR PE HAZIR HUA HAI GHULAM
HAI LABON PAR
3. BEHRE GHAM MEIN PHANSA HUN BACHA LIJIYE
4. AAI YE MERI MUSHKIL MEIN KAAM
HAI LABON PAR
5. YA NABIAAP HAI ABROO VEY CHAMAN
6. YA NABIAAP HAI KHULD KA BAANKPAN
7. YA NABIAAP SHAHE ZAMINO ZAMAN
8. AAP KA DO JAHAN MEIN NIZAM
HAI LABON PAR
9. JISME ATHAR NE PAAI HAI AISI MAHEK
10. CHEHRAE PAAK NE PAAI AISI CHAMAK
11. JIS NE DEKHI KHUDA KI QASAM IK JHALAK
12. BAN GAYA AAP KA WOH GHULAM
HAI LABON PAR
13. YA NABI AAP KA KYA HI EJAZ HAI
14. HAR ADA SE AYAN SHAANE EJAZ HAI
15. AAP PAR MUNKASHIF RAB KA HAR RAAZ HAI
16. AAP KI BAAT RAB KA QALAM
HAI LABON PAR
17. AAP KA FAIZ HAI HAR NABI AUR WALI
18. AUR SIDDIQUE-O-FAROOQUE-O-USMAN, ALI
19. AAP KE NAAM SE HAR MUSIBAT TALI
20. AAP KA HI HAI UNCHA MAQAM
HAI LABON PAR
21. JIBRAEELEY AMIN NE NABI SE KAHA
22. YA NABI SIDRATUL MUNTAHA AA GAYA
23. MERE PARWAAZ KI HAI YEHI INTAHA
24. AAGEY JANA NAHIN MERA KAAM
HAI LABON PAR
25. AAGEY RAFRAF MILA WOH BHI KUCH DUR TAK
26. PHIR THE TANHA WOH NOORUN ALA NOOR TAK
27. KOI GHILMAN NAHINAUR KOI HOOR TAK
28. LA MAKAAN MEIN HUEY SHAADKAAM
HAI LABON PAR
29. KYA BATAUN KHUDA NE UNHEN KYA DIYA
30. APNI UMMAT KI BAKHSHISH KA WADAH LIYA
31. APNI UMMAT NA BHULEY WAHAN BHI SHAHAHA
29
32. YAAD AAEIN WAHAN BHI GHULAM
HAI LABON PAR
33. HUM KO SIDDIQUE-E AKBAR KA SADQA MILEY
34. HUM KO FAROOQUE-E ATHAR KA SADQA MILEY
35. HUM KO USMAN-O-HAIDAR KA SADQA MILEY
36. BHAR DEY JHOLI KO KHAYRUL ANAM
HAI LABON PAR
37. QABR MEIN AAP JAB AAEIN YA MUSTAFA
38. ILTIJA AAP SE HAI HABIBE KHUDA
39. YEHI HUM ASIYON KI HAI SUBHO MASHA
40. DAST BASTA KAREIN HUM QIYAM
HAI LABON PAR

AUTHOR: JANAAB ABDUL SATTAR NIYAZI


MEANINGS:
LINE 1: BEHR = SAMUNDAR
LINE 1: BAR = ZAMIN
LINE 6: KHULD = JANNAT
LINE 6: BAANKPAN = HASIN
LINE 9: ATHAR = PAAK JISM
LINE 13: EJAZ = MARTABA, RUTBA
LINE 14: AYAN SHAANE EJAZ HAI = ZAAHIR HOTI HAI AAP KI SHAAN
LINE 15: MUNKASHIF = KASHF AAP KE UPAR ZAAHIR HONA
LINE 25: RAFRAF = ANIMAL FASTER THAN BURRAQ
LINE 36: KHAYRUL ANAM = GOODNESS; VIRTUOUS ONE
LINE 39: ASIYON = GUNEHGAAR
LINE 40: DAST BASTA = HATH BANDH KAR KHAREY HONA

30
28. HAQIQAT MEIN WOH LUTFE ZINDAGI
THE MAIN LINES TO BE REPEATED BY THE NAAT KHWAAN ARE AS FOLLOWS:

HAQIQAT MEIN WOH LUTFE ZINDAGI PAYA NAHIN KARTEY


JO YADE MUSTAFA SE DILKO BEHLAYA NAHIN KARTEY

1. ZUBAN PAR SHIKWAE RANJO ALAM LAYA NAHIN KARTEY


2. NABI KE NAAM LEVA GHAM SE GHABHRAYA NAHIN KARTEY
HAQIQAT MEIN
3. YEH DARBARE MUHAMMAD HAI YAHAN MILTA HAI BEMANGEY
4. AREY NADAN YAHAN DAMAN KO PHAILAYA NAHIN KARTEY
HAQIQAT MEIN
5. AREY O NA SAMAJH QURBAN HO JA UNKE ROZE PAR
6. YEH LAMHEY ZINDAGI MEIN BAARBAAR AYA NAHIN KARTEY
HAQIQAT MEIN
7. YEH DARBARE RISALAT HAI YAHAN APNON KA KYA KEHNA
8. YAHAN SE HATH KHALI GHAIR BHI JAYA NAHIN KARTEY
HAQIQAT MEIN
9. MUHAMMAD MUSTAFA KE BAAGH KE SAB PHOOL AISEY HAIN
10. JO BIN PANI KE TAR REHTE HAIN MURJHAYA NAHIN KARTEY
HAQIQAT MEIN
11. JO UNKE DAMNE AQDAS SE WABASTA HAIN AEY HAMID
12. KISI KE SAMNE WOH HATH PHAILAYA NAHIN KARTEY
HAQIQAT MEIN

AUTHOR: JANAAB HAMID ALI KHAN BARELVI

MEANINGS:
LINE 11: WABASTA = AFFILIATED TO
LINE 11: DAMNE AQDAS SE WABASTA HAI = JIN HON NE UNKE DAMAN KO
PAKRA HUA TAALLUQ

31
29. MERE KARIM KARAM
1. HAR EK SIFAT KO TERI ZAAT SE HISAAR KIYA
2. KHUDA NE TUJH KO MASHIAT KA AASHIKAR KIYA
3. MERE KARIM KARAM, TUNE BAR BAR KIYA
4. MUJHE GHULAM USEY MERA SHAHRYAAR KIYA
5. TERI SHABIH KI TAKMIL PAR MUSAVVIR NE
6. KHUD APNE FUN KO TERE ZAAT PAR NISAR KIYA
7. SAJAKE KHATME NABUWWAT KA, TERE SAR PAR TAAJ
8. KHUDA NE TUJH KO RASOOLON KA TAAJDAAR KIYA
9. KHUDA GAWAH GUNAHON PE APNE NADIM THA
10. TERE KARAM NE MUJHE AUR SHARMSAAR KIYA
11. ALI KO FARSHE RISALAT DIYA SHABE HIJRAT
12. RAFIQUE THE ABU BAKR; YARE GHAAR KIYA
13. TERI NIGAHEN KARAM NE, USEY TASALLI DI
14. WOH ANKHEN JIS KO ZAMANE NE ASHKBAAR KIYA
15. TERE TUFAIL HAI MAHESHAR MEIN, SAR BULAND NASIR
16. TERA KARAM KE USEY UMMATI SHUMAR KIYA

AUTHOR: JANAAB SAHEBZADA NASIR

MEANINGS:
LINE 1: SIFAT = TARIF
LINE 1: HISAAR KIYA = SHAMIL KIYA AUR BAKHSA
LINE 2: MASHIAT = MARZI; JO CHIZ HONE WALI
LINE 2: AASHIKAR = ZAHIR KARNA
LINE 5: SHABIH = JISM
LINE 5; TAKMIL = MUKAMMIL
LINE 5: MUSAVVIR = ALLAH THE FASHIONER
LINE 6: NISAR = NICHAWAR
LINE 9: NADIM = SHARMINDA
LINE 10: SHARMSAAR = SHARMINDA

LINE 11: ALI KO FARSHE RISALAT DIYA SHABE HIJRAT = REFERS TO THE
INCIDENT ON THE NIGHT OF THE HIJRAT; FARSH = CHARPAI
LINE 14: ASHKBAAR KIYA = AANSHU SE BHAR DIYA

32
30. NEAMATEIN BAANT TA
THE MAIN LINES TO BE REPEATED BY THE NAAT KHWAAN ARE AS
FOLLOWS:

NEAMATEIN BAANT TA JIS SIMT, WOH ZEESHAAN GAYA


SAATH HI MUNSHIAEY REHMAT KA, QALAMDAAN GAYA

1. LE KHABAR JALD KE GHAIRON KI TARAF DHYAN GAYA


2. MERE MAULA MERE AQA, TERE QURBAAN GAYA
3. AAH WOH AANKH KE NAKAME TAMANNA HI RAHI
4. HAI WOH DIL JO TERE DAR SE, PUR ARMAN GAYA
5. DIL HAI WOH DIL JO TERI YAAD SE MAMOOR RAHA
6. SAR WOH HAI SAR JO TERE QADMON PE, QURBAAN GAYA
7. UNHEN JANA UNHEN MANA NA RAKHKHA GHAIR SE KAAM
8. LILLAH HIL HAMD MAYEIN DUNIYA SE, MUSALMAN GAYA
9. AUR TUM PAR MERE AQA KI INAYAT NA SAHI
10. NAJDIO KALIMAH PARHA NE KA BHI, EHSAAN GAYA
11. AAJ LE UNKI PANAH AAJ MADAD MAANG UNSEY
12. PHIR NA MANENGEY QAYAMAT MEIN, AGAR MAAN GAYA
13. JAANO DIL HOSHO KHIRAD SAB TO MADINEY PAHONCHEY
14. TUM NAHIN CHALTEY RAZA SARA TO, SAMAN GAYA

AUTHOR: MAULANA, SHAH, AHMED RAZA KHAN BARELVI (RA)

MEANINGS:
MAIN LINE: JIS SIMT = US TARAF
LINE 12: KHIRAD = AQL

33
31. JIS KI JAAN KO TAMANNA HAI DILKO
TALAB
1. JIS KI JAAN KO TAMANNA HAI DILKO TALAB
2. WOH SUKUN BAKHSH MEHFIL MADINEY MEIN HAI
3. YUN TO JINE KO HUM JI RAHE HAIN MAGAR
4. JAAN MADINEY MEIN HAI DIL MADINEY MEIN HAI
5. FIKRE DUNIYA WAHAN DUR PAOGEY TUM
6. QALB MEIN HAR TARAF NOOR PAOGEY TUM
7. ROOH KO APNI MASROOR PAOGEY TUM
8. EK AJAB KAIFE KAMIL MADINEY MEIN HAI
9. HAR TAMANNA WAHAN JAAKE BAR AAEY GI
10. EK REHMAT KI DUNIYA NAZAR AAEY GI
11. NA UMMIDON TUM ITNA PARESHAN NAHO
12. AARZOO-ON KA HAASIL MADINEY MEIN HAI
13. KYA MAHO MAHER WA NAJM AUR KYA INSO JAAN
14. HAI ISI SIMT MAEEL DILEY DO JAHAN
15. KOI SAMJHEY NA SAMJHEY HAQIQAT YEH HAI
16. ZARRAH, ZARRAH KI MANZIL MADINEY MEIN HAI
17. BARAKALLAH YEH ZOUQO, SHOUQO, KHUSHI
18. BARAKALLAH YEH WAJDO WARAFTAGI
19. ISHQ KA TAUF HAR LAMHA SALLEY ALA
20. ISHQ KA KAABAE DIL MADINEY MEIN HAI
21. HAI TASAWWUR MEIN HAR WAQT BAB-US-SALAAM
22. HAI TAKHAYYUL MEIN HAR LEHZA WOH SAQFO BAAM
23. JAB SE BEHZAAD UNKA KARAM HO GAYA
24. JAAN MADINEY MEIN HAI DIL MADINEY MEIN HAI

AUTHOR: HAZRAT BEHZAAD LAKHNAVI

MEANINGS:
LINE 8: KAIFE = KAIFIYAT; SUROOR
LINE 13: MAHO MAHER = SURAJ
LINE 14: MAEEL = ATTRACTED TOWARDS
LINE 18: WAJDO WARAFTAGI = UPAR PAHONCHNA
LINE 19: TAUF = TAWAF
LINE 22: TAKHAYYUL = KHYAL
LINE 22: SAQFO BAAM = DARO DIWAAR; ROOF OF HOUSE OR
NAQSHA

34
32. WAH KYA JUDO KARAM

1. WAH KYA JUDO KARAM HAI SHAHE BATOHA TERA


2. NAHIN SUNTA HI NAHIN MAANG NE WALA TERA
3. FAIZ HAI YA SHAHE TASNIM NIRALA TERA
4. AAP PYASON KE TAJASSUS MEIN HAI DARIYA TERA
5. TERE QADMON MEIN JO HAIN GHAIR KA MUNH KYA DEKHEIN
6. TERE HI DAR PE MARE BEKASON TANHA TERA
7. EK MAYN KYA MERE ISIYAN KI HAQIQAT KYA HAI
8. MUJH SE SO LAKH KO KAAFI HAI ISHARA TERA
9. TERE SADQEY MUJHE IK BUND BOHAT HAI TERI
10. JIS DIN ACHCHHON KO MILEY JAAM CHALAK TA TERA

AUTHOR: MAULANA, SHAH, AHMED RAZA KHAN BARELVI (RA)

MEANINGS:
LINE 4: TAJASSUS = SEARCH
LINE 6: BEKASON = JIS KA KOI WALI NAHIN HO
LINE 7: ISIYAN = GUNAH

35
33. AKSE ROOWE

1. AKSE ROOWE MUSTAFA SE AISI ZEBAI MILI


2. KHIL UTHA RANGE CHAMAN, PHOOLON KO RANAI MILI
3. SABZ GUMBAD KE MANAZIR DEKHTA REHTA HUN MAYN
4. ISHQ MEIN CHASHME TASAWWUR KO, WOH GIRAI MILI
5. JIS TARAF UTH THI NIGAHEN MEHFILEY KONEIN MEIN
6. REHMATUL LIL ALAMEEN KI, JALWA FARMAEE MILI
7. BEHRE PA BOSI PAHONCH JAEN HARIME PAAK MEIN
8. YUN HAMARE MUNTASHIR, AJZA KO YAKJAI MILI

AUTHOR: JANAAB SAHEBZADA NASIR

MEANINGS:
LINE 1: AKSE = REFLECTION / SHADOW
LINE 1: ROOWE = FACE
LINE 1: ZEBAI = KHUBSOORATI
LINE 2: RANAI = NAZAKAT
LINE 3: MANAZIR = NAZARA
LINE 4: CHASHME TASAWWUR = IMAGINATION
LINE 4: GIRAI = TAQAT
LINE 8: MUNTASHIR = BIKHARE HUEY KHAYALAT KO
LINE 8: AJZA = PLURAL OF JUZ
LINE 8: YAKJAI = EK JAGAH HONA

LINE 7: BEHRE = ---- KE WAASTE; THIS LINE MEANS THAT IF WE


REACH MADINAH SHARIF BARE FEET; IN ORDER TO KISS THE HOLY
FEET OF PROPHET MUHAMMAD (SAW).

36
34. UNKI MAHEK NE DIL KE GHUNCHEY
KHILA DIYE HAIN

1. UNKI MAHEK NE DIL KE GHUNCHEY KHILA DIYE HAIN


2. JIS RAAH CHAL DIYE HAIN, KOOCHEY BASA DIYE HAIN
3. JAB AA GAYIN HAI JOSHE REHMAT PE UNKI ANKHEN
4. JALTE BUJHA DIYE HAIN, ROTE HANSA DIYE HAIN
5. IK DIL HAMARA KYA HAI AAZAAR USKA KITNA
6. TUM NE TO CHALTEY PHIRTEY, MURDEY JILA DIYE HAIN
7. UNKE NISAR KOI KAISEY HI RUNJ MEIN HO
8. JAB YAAD AA GAYE HAIN, SAB GHAM BHULA DIYE HAIN
9. HUM SE FAQIR BHI AB PHERI KO UTHTE HONGEY
10. AB TO GHANI KE DAR PAR, BISTAR JAMA DIYE HAIN
11. ASRA MEIN GUZREY JIS DAM BEREY PE QUDSIYON KE
12. HONE LAGI SALAAMI, PARCHUM JHUKA DIYE HAIN
13. AANEY DO YA DUBO DO AB TO TUMHARI JANIB
14. KASHTI TUM HI PE CHORI, LANGAR UTHA DIYE HAIN
15. DULHA SE ITNA KEHDO PYAREY SAWARI ROKO
16. MUSHKIL MEIN HAIN BARAATI, PURKHAR LA DIYE HAIN
17. ALLAH KYA JAHANNAM AB BHI NA SARD HOGA
18. RO, RO KE MUSTAFA NE, DARIYA BAHA DIYE HAIN
19. MERE KARIM SE GAR QATRA KISI NE MAANGA
20. DARIYA BAHA DIYE HAIN, DUR BE BAHA DIYE HAIN
21. MULKE SUKHN KI SHAHI TUM KO RAZA MUSALLAM
22. JIS SIMT AA GAYE HAIN, SIKKE BITHA DIYE HAIN

AUTHOR: MAULANA, SHAH, AHMED RAZA KHAN BARELVI (RA)

MEANINGS:
LINE 11: ASRA MEIN GUZREY = REFERRING TO SHAB-E-MAIRAJ
LINE 16: PURKHAR = KAANTO SE BHAREY HUEY
LINE 20: DUR = MOTI
LINE 20: BE = INNUMERABLE
LINE 21: SUKHN = BOLNA

37
35. NA KAHIN SE DUR HAIN MANZILEIN

1. NA KAHIN SE DUR HAIN MANZILEIN, NA KOI QARIB KI BAAT HAI


2. JIS SE CHAHEY USKO NAWAAZ DEY, YEH DARE HABIB KI BAAT HAI
NA KAHIN SE
3. JIS SE CHAHA DAR PE BULA LIYA, JIS SE CHAHA APNA BANA LIYA
4. YEH BARE KARAM KE HAIN FAISLEY, YEH BARE NASIB KI BAAT HAI
NA KAHIN SE
5. WOH KHUDA NAHIN BA KHUDA NAHIN, WOH MAGAR KHUDA SE JUDA NAHIN
6. WOH HAIN KYA MAGAR WOH HAI KYA NAHIN, YEH MUHIB HABIB KI BAAT HAI
NA KAHIN SE
7. MAYN BURON SE LAKH BURA SAHI, MAGAR UNSEY HAI MERA WASTA
8. MERI LAAJ RAKHLEY MERE KHUDA, YEH TERE HABIB KI BAAT HAI
NA KAHIN SE
9. TUJHE AEY MUNAWWAREY BE NAVA, DARE SHAH SE, CHAHIYE AUR KYA
10. JO NASIB HO KABHI SAMNA, TO BARE NASIB KI BAAT HAI
NA KAHIN SE

AUTHOR: JANAAB MUNAWWAR BADAYUNI

MEANINGS:
LINE 9: BE NAVA = TERI AWAAZ KUCH BHI NAHIN
LINE 10: NASIB HO KABHI SAMNA = UNKE SAMNE AAJIZI

38
36. HAR WAQT TASAWWUR MEIN,
MADINEY KI GALI HAI
THE MAIN LINES TO BE REPEATED BY THE NAAT KHWAAN ARE AS
FOLLOWS:

HAR WAQT TASAWWUR MEIN, MADINEY KI GALI HAI


AB DARBADARI HAI NA, GHARIBUL WATANI HAI

1. WOH SHAMME HARAM JIS SE, MUNAWWAR HAI MADINAH


2. KAABEY KI QASAM RONAQE, KAABAH BHI WOHI HAI
HAR WAQT TASAWWUR MEIN

3. US SHAHR MEIN BIK JATE HAIN, KHUD AAKE KHARIDAR


4. YEH MISR KA BAZAAR NAHIN, SHAHRE NABI HAI
HAR WAQT TASAWWUR MEIN

5. NAZARON KO JHUKAE HUEY, KHAMOSH GUZAR JAO


6. BETAAB NIGAHI BHI YAHAN, BE ADABI HAI
HAR WAQT TASAWWUR MEIN

7. IS ARZE MUQADDAS PE, ZARA DEKH KE CHALNA


8. AEY QAFILE WALON YEH, MADINEY KI GALI HAI
HAR WAQT TASAWWUR MEIN

9. HAQQ ISKA ADA SIRF, JABINON SE NA HOGA


10. AEY SAJDA GUZARO YEH, DARE MUSTAFAWI HAI
HAR WAQT TASAWWUR MEIN

11. IQBAL MAYN KIS MUNH SE, KARUN MADHEY MUHAMMAD


12. MUNH MERA BOHAT CHOTA HAI, AUR BAAT BARI HAI
HAR WAQT TASAWWUR MEIN

AUTHOR: JANAAB IQBAL


MEANING:
LINE 7: ARZE MUQADDAS = PAAK ZAMIN

39
37. SALAAM - MUSTAFA JANE REHMAT -
ABRIDGED VERSION 1
THE MAIN CHORUS LINES ARE AS FOLLOWS:

MUSTAFA JANE REHMAT PE LAKHON SALAAM


SHAM-E BAZME HIDAYAT PE LAKHON SALAAM

1. JAB HUA ZOFISHAN DEEN-O-DUNIYA KA CHAND


2. AYA KHILWAT SE JALWAT MEIN ASRA KA CHAND
3. NIKLA JIS WAQT MASOODEY BATOHA KA CHAND
4. JIS SUHANI GHARI CHAMKA TAIBAH KA CHAND
5. US DILAFROZ SAAT PE LAKHON SALAAM
MUSTAFA JANE REHMAT
6. JIS KE JALWEY ZAMANE PE CHANE LAGEY
7. JIS KI ZOUSEY ANDHEREY THIKANE LAGEY
8. JIS SE TARIK DIL JAGMAGANE LAGEY
9. JIS SE ZULMATKADE NOOR PANE LAGEY
10. US CHAMAK WALIRANGAT PE LAKHON SALAAM
MUSTAFA JANE REHMAT
11. REHMATENHAQQ KI HONE LAGI BARISHEIN
12. DEEN-O-DUNIYA KI LUTNEY LAGI DAULATEIN
13. KHOL DIN JIS NE ALLAH KI HIKMATEIN
14. WOH ZUBAN JIS KO HAR KUN KI KUNJI KAHEIN
15. USKINAFIZ HUKUMAT PE LAKHON SALAAM
MUSTAFA JANE REHMAT
16. AUR THE SAHABA MEIN YUN AMINAH BI KE LAL
17. AUR JAISEY TARON KE JHURMAT MEIN BADRE KAMAL
18. HALQAE NOOR MEIN NAYYARE LA ZAWAAL
19. AUR GIRD MAHE DASTE ANJUM MEIN DARAKHSHAN HILAL
20. BADR KI DAFEY ZULMAT PE LAKHON SALAAM
MUSTAFA JANE REHMAT
21. AA GAYA FARSH PAR ASMANE SHAFIQUE
22. MARKAZE HASHMI KHANDANE SHAFIQUE
23. MUSHFIQE MUSHFIQAN MAMANANE SHAFIQUE
24. AHLEY ISLAM KI MADRANE SHAFIQUE
25. BANUWANE TAHARAT PE LAKHON SALAAM
MUSTAFA JANE REHMAT
26. GHUNCHAE BAAGH JUDO NAWALE RASOOL
27. PARTAWE SHAM-EJAHO JALALE RASOOL
28. JALWAE TOOR HUSNO JAMALE RASOOL
29. NOORE JAAN ITREY MAJMUA AALEY RASOOL
30. SAB KE AAQAE NEAMAT PE LAKHON SALAAM
MUSTAFA JANE REHMAT
31. ZAATEYAKTAKE UN PER KARORON DUROOD
32. RABBE KAABAH KE UN PER KARORON DUROOD
40
33. HAQQ TAALA KI UN PER KARORON DUROOD
34. UNKE MAULA KI UN PER KARORON DUROOD
35. UNKE ASHABO ITRATPE LAKHON SALAAM
MUSTAFA JANE REHMAT

AUTHOR: MAULANA, SHAH, AHMED RAZA KHAN BARELVI (RA)

MEANINGS:
MAIN LINES: SHAM-E = FULL OF LIGHT
MAIN LINES: BAZME = MEHFIL
LINE 2: KHILWAT = UPAR SE
LINE 2: JALWAT = DUNIYA
LINE2: ASRA = ALLAH KE QARIB
LINE 3: MASOOD = NEIK
LINE 5: SAAT = GHARI
LINE 5: DIL AFROZ = AAP KE DILKO KHUSHIYON SE
BHAR NE WALA
LINE 7: ZOUSEY = NOOR
LINE 15: NAFIZ HUKUMAT = ENFORCED HUKUMAT
LINE 17: TARON KE JHURMAT = TARON KE BEECH
LINE 18: NAYYAR = SURAJ
LINE 18: LA ZAWAAL = ZAWAAL NA HONE WALA
LINE 19: DASTE ANJUM = SITARON KA JAMA
LINE 19: RAKHSHAN HILAL = RAUSHNI WALA CHAND, e.g.,TARON
KE BEECH CHAMAKTA CHAND
LINE 20: ZULMAT = ZULM
LINE 23: MUSHFIQE MUSHFIQAN = SHAFIQUE-O KE SHAFIQUE
LINE 25: BANUWANE TAHARAT = PAAKIZAH AURATON
LINE 26: GHUNCHAE = BLOOMING FLOWERS IN
REFERENCE TO AHLEY BAIT
LINE 26: JUDO = GENEROSITY
LINE 26: NAWALE = KHANDAAN
LINE 27: PERTAWE = SAAYA
LINE 31: ZAATE YAKTA = AKELI ZAAT
LINE 35: ITRAT = MARTABEY WALA

41
38. SALAAM - MUSTAFA JANE REHMAT -
ABRIDGED VERSION 2

THE MAIN CHORUS LINES ARE AS FOLLOWS:

MUSTAFA JANE REHMAT PE LAKHON SALAAM


SHAM-E BAZME HIDAYAT PE LAKHON SALAAM

1. MEHRE CHARKHE NABUWWAT PE RAUSHAN DUROOD


2. GUL BAQAE RISALAT PE LAKHON SALAAM
3. SHAHR YARE IRAM TAAJDARE HARAM
4. NAV BAHARE SHAFAAT PE LAKHON SALAAM
5. SHABE ASRA KE DULHA PE BEHAD DUROOD
6. NAUSHAE BAZME JANNAT PE LAKHON SALAAM
7. ARSH TA FARSH HAI JIS KE ZERE NAGIN
8. USKI KAAHAR RIYASAT PE LAKHON SALAAM
9. FATHE BAABE NABUWWAT PE BEHAD DUROOD
10. KHATM DAURE RISALAT PE LAKHON SALAAM
11. RABBE ALA KI NEAMAT PE BEHAD DUROOD
12. HAQQ TAALA KI MANNAT PE LAKHON SALAAM
13. HUM GHARIBON KE AQA PE BEHAD DUROOD
14. HUM FAQIRON KI SARWAT PE LAKHON SALAAM
15. JIS KE MAATHE SHAFAAT KA SEHRA RAHA
16. US JABINE SAADAT PE LAKHON SALAAM
17. JIN KE SAJDON KO MEHRABE KAABAH JHUKI
18. UN BHAVON KI LATAFAT PE LAKHON SALAAM
19. JIS TARAF UTH GAYIN DAM MEIN DAM AA GAYA
20. US NIGAHE INAYAT PE LAKHON SALAAM
21. KHAI QURANEY KHAKE GUZAR KI QASAM
22. US KAFE PA KI REHMAT PE LAKHON SALAAM
23. JIS SUHANI GHARI CHAMKA TAIBAH KA CHAND
24. US DIL AFROZ SAAT PE LAKHON SALAAM
25. KAASH MEHSHAR MEIN JAB UNKI AAMAD HO AUR
26. BHEJEIN SAB UNKI SHAUKAT PE LAKHON SALAAM
27. MUJH SE KHIDMAT KE QUDSI KAHEN HAN RAZA
28. MUSTAFA JANE REHMAT PE LAKHON SALAAM

42
39. SALAAM - MUSTAFA JANE REHMAT -
ALA HAZRATS ABRIDGED VERSION 3
THE MAIN CHORUS LINES ARE AS FOLLOWS:

MUSTAFA JANE REHMAT PE LAKHON SALAAM


SHAM-E BAZME HIDAYAT PE LAKHON SALAAM

1. KITNI ARFA HAI SHAANE HABIBE KHUDA


2. MALIKE DOSARAN SARWARE AMBIYA
3. MUQTADI JIS KE SAB, SAB KA JO MUQTADA
4. JIS KE ZERE LEVA AADMO MANSAVA
5. US SAZAE SIYADAT PE LAKHON SALAAM
MUSTAFA JANE REHMAT

6. DUBA SURAJ KISI NE BHI PHERA NAHIN


7. KOI MISLE YADULLAH BHI DEKHA NAHIN
8. JIS KI TAQATKA KOI THIKANA NAHIN
9. JIS KO BARE DOALAM KI PARVAH NAHIN
10. AISEY BAAZU KIQUWWATPE LAKHON SALAAM
MUSTAFA JANE REHMAT

11. DEEN AUR DUNIYA DIYEMAAL-O-ZAR DIYA


12. HOOR AUR GHILMAN DIYEKHULDO KAUSAR DIYA
13. DAMNE MAQSADE ZINDAGI BHAR DIYA
14. HATH JIS SAMT UTHA GHANI KAR DIYA
15. MAUJE BEHRE SAKHAWAT PE LAKHON SALAAM
MUSTAFA JANE REHMAT

16. SADIQA, SALEHA, SAEEMA, SABERAH


17. SAFDIL, NEIK-KHU, PARSA, SHAKERAH
18. AABEDAH, ZAHEDAH, SAJEDAH, ZAKIRAH
19. SAYYADAH, ZAHERAH, TAYYABAH, TAHERAH
20. JANE AHMED KI RAHAT PE LAKHON SALAAM
MUSTAFA JANE REHMAT

21. GOHARE FATIMAH MARKAZE ATQIYA


22. PISRE MURTAZA, MARJAEY ASHFIYAN
23. NOOR, NOORE KHUDA SARWARE AWLIYA
24. HASNE MUJTABA SAYYDUL ASHKHIYA
25. RAKEBE DOSHE IZZAT PE LAKHON SALAAM
MUSTAFA JANE REHMAT

26. TAAJWARSABR KA SHAHE GULGUN QABA


27. KUSHTAE HAR JAFA SHAHE GULGUN QABA
28. WOH QATILE RAZA SHAHE GULGUN QABA

43
29. US SHAHIDEY BALA SHAHE GULGUN QABA
30. BE KASE DASTE GHURBAT PE LAKHON SALAAM
MUSTAFA JANE REHMAT

31. ABRE JUDO ATA KIS PE BARSA NAHIN


32. TERA LUTFO KARAM KIS PE DEKHA NAHIN
33. KIS JAGA AUR KAHAN TERA QABZA NAHIN
34. EK MERA HI REHMAT PE DAAWA NAHIN
35. SHAH KI SARIUMMAT PE LAKHON SALAAM
MUSTAFA JANE REHMAT

36. AFTABEY QAYAMAT KE BADLEY HON TAUR


37. JAB KE HOHAR TARAF NAFSI, NAFSI KA SHOR
38. JAB KISI KA KISI PER NA CHALTA HO ZOR
39. KAASH MEHSHAR MEIN JAB UNKI AAMAD HO AUR
40. BHEJEIN SAB UNKI SHAUKAT PE LAKHON SALAAM
MUSTAFA JANE REHMAT

41. MURSHADI SHAH AHMAD RAZA KHAN RAZA


42. FAIZYABEKAMALATE HARSHA RAZA
43. SAATH HUM SABH BHI HON ZUM ZAMA
44. JAB KE KHIDMAT KE QUDSI KAHEIN HAN RAZA
MUSTAFA JANE REHMAT

45. AS SALAAM AEY SABZ GUMBAD KE MAKIN


46. AS SALAAM AEY REHMATUL LIL ALAMEEN
47. YA ILAHI SADQA-E AALEY RASOOL
48. YEH SALAAMEAAJZANAN HO QUBOOL
MUSTAFA JANE REHMAT

AUTHOR: MAULANA, SHAH, AHMED RAZA KHAN BARELVI (RA)

MEANINIGS:
LINE 1: ARFA = UNCHI
LINE 2: DO SARAN = DONON JAHAN
LINE 4: ZERE LEVA = NICHEY
LINE 4: AADMO MANSAVA = H. ADAM (A.S.) KE SIVA
LINE 7: YADULLAH = ALLAH KA HATH
LINE 11: MAAL-O-ZAR = PAISA AUR SONA
LINE 12: KHULDO KAUSAR = JANNAT
LINE 14. SAMT = SIDE
LINE 16: SADIQA = SACH-CHI
LINE 16: SALEHA = NEIK
LINE 16: SAEEMA = BOHAT ROZE WALI
LINE 17: NEIKKHU = JIS KI ADAT NEIK HO
LINE 17: PARSA = NEIK / PAAK
LINE 17: SHAKERAH = SHUKR KAR NE WALI
LINE 18: AABEDAH = AABID (IBADAT KAR NE WALI);
MUTTAQI; PARHEZGAAR
LINE 18: ZAHEDAH = ZOHAD, FULL OF TAQWA
LINE 19: TAYYABAH = PAAK
LINE 19: TAHERAH = PAAK

44
LINE 21: GOHARE = MOTI
LINE 21: ATQIYA = TAQWA KA MARKAZ
LINE 22: MARJAE ASHFIYAN = JAHAN SE NEIK LOG NIKAL TEY HAI
LINE 22: ASHFIYAN = SUFI
LINE 24: ASHKHIYA = SHAKHIYON KE BADSHAH
LINE 25: RAKEBE = TO RIDE
LINE 25: DOSHE IZZAT = REFERS TO HUZOOR S.A.WS MOHAR ON
HIS BACK
LINE 26: TAAJWAR SABR KA = SABR KA BADSHAH
LINE 26: GULGUN QABA = LAL LIBAAS
LINE 27: KUSHTAE = REFERS TO H. IMAM HUSSAIN (RA) WHO HAD
ENDURED MUCH HARDSHIP LINE 27: JAFA = ZULM; SAHAN KAR NE WALA
LINE 28: QATILE RAZA = ALLAH KI RAZA MANDI PE RAZI HONE WALA
LINE 29: SHAHIDEY BALA = REFERS TO KARBALA
LINE 30: BE KASE = HELPLESS
LINE 30: DASTE GHURBAT = JANGAL; MEANING - US GHURBAT KE
JANGAL MEIN JO BEKAS HAI
LINE 31: ABRE = BADAL
LINE 31: JUDO ATA = DAINE WALA SAKHI
LINE 36: AFTAB = SURAJ
LINE 37: NAFSI, NAFSI KA SHOR = ALAYDA, ALAYDA
LINE 39: KAASH = ALAS
LINE 41: MURSHADI = PIR-O-MURSHID
LINE 42: KAMALATE HARSHA = REFERRING TO HAZRAT HASSAN BIN SABIT
(RA)
LINE 43: ZUM ZAMA = SALAAT-O-SALAAM PARH NE WALON
LINE 44: QUDSI = ASMAN KE LOG
LINE 44: WHOLE LINE: = REFERS TO THE AYAT INNAL LAHA
WAMALAEKATUHU, WHERE IN PEOPLE OF THE GHAIB, THEMSELVES
SENDS SALAAM TO THE PROPHET MUHAMMAD (SAW).

45
40. SALAAM -YA NABI SALAAM ALAIKA-
VERSION 1

THE MAIN CHORUS LINES ARE AS FOLLOWS:

YA NABI SALAAM ALAIKA, YA RASOOL SALAAM ALAIKA


YA HABIB SALAAM ALAIKA, SAALWA TULLAH ALAIKA

1. TALA AL BADRU ALAYNA, MIN THINI ATIL WADAI


2. WAJABATSHUKRU ALAYNA, MAADAA LILLAHI DAAI
YA NABI

3. HAI SAMAAN HAR SU NIRALA,MEHRABAN HAI HAQQ TAALA


4. JIS TARAF DEKHU UJALA, AA GAYA HAI KAMLI WALA
YA NABI

5. BE NAVISHT KHAND AYA, ZULMATON KO PHAND AYA


6. KAR KE SAB KO MAAND AYA, AMINAH KA CHAND AYA
YA NABI

7. IK JHALAK JO DEKH PAEY, JAAN AAP PER LOOTAE


8. RAAH MEIN ANKHEN BICHAEIN, DUST BASTA PHIR SUNAEIN
YA NABI

9. CHASHMO DIL KA CHEN DONON, RUHEY MUSHRAKALEEN DONON


10. SHAH KE NOOREIN DONON, HAIN HASAN, HUSSAIN DONON
YA NABI

11. NAIBOASHABE SARWAR, PAHLE HAIN SIDDIQUE-E AKBAR


12. PHIR UMAR, USMAN-O-HEIDAR, BHEJIYE SALAAM UNPAR
YA NABI

46
41. SALAAM -YA NABI SALAAM ALAIKA-
VERSION 2
THE MAIN CHORUS LINES ARE AS FOLLOWS:

YA NABI SALAAM ALAIKA, YA RASOOL SALAAM ALAIKA


YA HABIB SALAAM ALAIKA, SAALWA TULLAH ALAIKA

1. SUBHO SHAM DIKHLAWO WOH MANZAR, AUR WOH MILADE PAYAMBAR


2. FARISHTON KE LAB SE AKSAR, AAEY NAGHMA ROOH PARVAR
YA NABI

3. AWWALO AKHIR TUMHI HO, BAATINO ZAAHIR TUMHI HO


4. HAAZIRO NAAZIR TUMHI HO, DEEN KE NASIR TUMHI HO
YA NABI

5. AHMADE MUKHTAR AAO, KHALQ KE SARDAR AAO


6. PEKARE ANWAAR AAO, HAAMIO GHAM KHWAR AAO
YA NABI

7. RANJO GHAM KHA-AEY HUEY HAIN, DUR SE AAEY HUEY HAIN


8. TUM PE ITRA-AEY HUEY HAIN MAULA, HATH PHAILA-AEY HUEY HAIN
YA NABI

9. AMINAH BIBI KE PYAREY, TUM PE UTREY TEES PAREY


10. BE KASON KE TUM SAHAREY MAULA, WAJD MEIN UMMAT PUKAREY
YA NABI

11. AAP HI SAB SE HASIN HO, AAP HI NOORE MUBIN HO


12. TAAJDARE MURSALIN HOMAULA, AAP HI DIL MEIN MAKIN HO
YA NABI

13. HUM GUNAHON MEIN HAI DUBEY, DAAL DEY REHMAT KE PARDEY
14. ISHQ KE KARTE HAIN SAJDEY MAULA, AUR YEH PARH TE HAI DIL SE
YA NABI

15. BARKATI MAHINAYEH AYA, RABBIUL AWWAL NE PAYA


16. KHUDA KIREHMAT YEH LAYA MAULA, UMMATON KE SAR PE SAAYA
YA NABI

17. HAQQ NE AAJ MAKKA SAJAYA, KAABEY KO HAQQ NE SAJAYA


18. JIBREELEY AMIN BHI AYA MAULA, TAUHFAH-E SALAAM LAYA
YA NABI

19. EIDEY MILAD AAI, RAUSHNI HAQQ NE DIKHAI


20. AMINAHKE GHAR NABINE MAULA, VILADAT NABI NE PAAI
YA NABI

47
21. AAP HOSHAHE MADINAH, UMMATON KE HO NAGINA
22. DIKHLADO SAB KO MADINAH MAULA, REHMATUL LIL ALAMINA
YA NABI

23. KARBALA WALON KA SADQA, FATIMAH ZOHRA KA SADQA


24. BAGHDADI AQA KA SADQA, KHWAJAEY HINDAL KA SADQA
YA NABI

25. AASHIQE MAEEL KI SUN LO, BANIYE MEHFIL KI SUN LO


26. SAME-EEN KE DILKI SUN LO, AKBARE BISMIL KI SUN LO
YA NABI

MEANINIGS:
LINE 5: MUKHTAR = ALLAH TAALA NE UNKO BAANT
NE KA IKHTYAR DIYA HAI
LINE 6: PEKARE ANWAAR = NOOR KA JISM WALA
LINE 6: HAMIO = HIMAYAT KAR NE WALA
LINE 6: GHAM KHWAR = GHAM KHANEY WALA
LINE12: MURSALIN = BHEJEIN HUEY

48
42. SALAAM- YA NABI SALAAM ALAIKA-
VERSION 3
THE MAIN CHORUS LINES ARE AS FOLLOWS:

YA NABI SALAAM ALAIKA, YA RASOOL SALAAM ALAIKA


YA HABIB SALAAM ALAIKA, SAALWA TULLAH ALAIKA

1. JAAN KAR KAAFI SAHARA, LE LIYA HAI DAR TUMHARA


2. KHALQ KE WARIS KHUDARA, LO SALAAM AB TO HAMARA
YA NABI

3. HAAN YEH PURA MUDDA-AA HO, HUM HON DARBARE KHUDA HO


4. TUM IDHARJALWAH NUMA HO, US TARAF SE YEH SADA HO
YA NABI

5. AAP SHAHE INSO JAAN HO, WARISE KOUNO MAKAAN HO


6. RAHNUMAE DOJAHAN HO, PESHWAE MURSALIN HO
YA NABI

7. NOORE RABBUL ALAMEEN HO, JALWAE HAQQUL YAQIN HO


8. SARWARE DUNIYA-O-DEEN HO, DILMEIN, ANKHON MEIN, MAKIN HO
YA NABI

9. ASHIQE MAEEL KI SUN LO, BANIYE MEHFIL KI SUN LO


10. SAME-EEN KE DILKI SUN LO, AKBARE BISMIL KI SUN LO
YA NABI

11. MERE MAULA MERE SARWAR, HAI YEHI ARMANE AKBAR


12. PAHLE QADMON PAR RAKH-KHEIN SAR, PHIR KAHEIN YEH SAR UTHA KAR
YA NABI

AUTHOR: : JANAAB MUHAMMAD AKBAR WARSI


MEANING:
LINE 4: SADA = AWAAZ

49
43. SALAAM US PAR KE JIS NE
1. SALAAM US PER KE JIS NE BE KASON KI DASTGIRI KI
2. SALAAM US PER KE JIS NE BADSHAHI MEIN FAQIRI KI
3. SALAAM US PER KE ISRARE MOHABBAT JIS NE SAMJHAEY
4. SALAAM US PER KE JIS NE ZAKHM KHAKAR PHOOL BARSAEY
5. SALAAM US PER KE JIS NE KHOON KE PYASON KO QABAEIN DIN
6. SALAAM US PER KE JIS NE GALIYAN SUN KAR DUAEIN DIN
7. SALAAM US PER KE JIS KE GHAR MEIN CHANDI THI NA SONA THA
8. SALAAM US PER KE TUTA BORIYA JIS KA BICHONA THA
9. SALAAM US PER JO BHUKE REH KE AURON KO KHILATE THE
10. SALAAM US PER JO UMMAT KE LIYE RAATON KO ROTE THE
11. SALAAM US PER JO FARSHE KHAK PAR JAREY MEIN SOTE THE
12. SALAAM US PER JIS NE CHAND KO DO TUKRE FARMAYA
13. SALAAM US PER KE JIN KEHUKM SE SURAJ PALAT AAYA
14. SALAAM US PER FIZA JIS NE ZAMANE KI BADAL DALI
15. SALAAM US PER JIS NE KUFR KI QUWWAT KUCHAL DALI
YA ILAHI, AZ TUFAILE ZULFE RASOOL, YEH SALAAME AAJZANAN
HO QUBOOL

43.1 FAZAON KO SALAAM


1. YA RASOOLALLAH, TERE DAR KI FAZAON KO SALAAM
2. GUMBADE KHADRA KI THANDI, THANDI CHAON KO SALAAM
3. WALHANA JO TAWAFE ROZAE ANWAR KAREIN
4. MASTO BE KHUD WAJD MEIN AATI HAWAON KO SALAAM
5. JO MADINEY KI GALI KUCHON MEIN DETEY HAIN SADA
6. TA QAYAMAT UN GADAON AUR FAQIRON KO SALAAM
7. MANGTEY HAIN JO WAHAN SHAHON GADA BEY IMTIYAZ
8. DIL KI HAR DHARKAN MEIN SHAMIL UN DUAON KO SALAAM
9. KAABAE, KAABAH KE KHUSH MANZAR NAZARON PAR DUROOD
10. SHAHRE BATTUHA KE DARO DIWAR PAR LAKHON DUROOD
11. MASJIDE NABAWI KI SUBHO AUR SHAMON KO SALAAM
12. JO PARHA KARTE THE RO-RO KAR TERE DARBAR MEIN
13. PESH KARTE HAIN YEH AASI UN SALAAMON KO SALAAM
14. YA ILAHI SADQAE AALEY RASOOL
15. YEH SALAAMEAAJZAANA HO QUBOOL
16. ASSALATU WASSALAAMUALAIKA YA RASOOLALLAH
17. ASSALATU WASSALAAMUALAIKA YA HABIBALLAH

AUTHOR: ORIGINALLY WRITTEN BY JANAAB ZAHOORI BUT EXTRA


LINES HAVE BEEN ADDED BY POPULAR DEMAND.

MEANING:
LINE 13: AASI = GUNEHGAAR

50
44. YA RASOOLALLAHI SALAAMUN ALAIK
THE MAIN CHORUS LINES ARE AS FOLLOWS:

YA RASOOLALLAHI SALAAMUN ALAIK


YA HABIBALLAHI SALAAMUN ALAIK

1. JAISEY HUM SAB YAHAN PAR KHAREY HAI GHULAM


2. EK DIN AISA AAEYYEH MAHEY TAMAM
3. TEREROZE KE HO SAMNE SAB KHAREY
4. PESHKARTE HI YUN HI DUROODO SALAAM
YA RASOOLALLAHI

5. AB MADINEY MEIN AQA BULA LIJI YE


6. AURSINA MADINAH BANA DIJI YE
7. AZ PAE GHAUSE AZAM IMAME MUBIN
8. TUMPE HARDAM KARORON DUROODO SALAAM
YA RASOOLALLAHI

9. YA ILAHI MAYN LAYA HUNWOH WASTA


10. RADNAHIN KI KABHI JIS KI TU NE DUA
11. WOH HAIN MEHBOOB TERESHAFI UL WARA
12. ASHRAFUL AMBIYA MUSTAFA MUJTABA
YA RASOOLALLAHI

13. AUR RAB NE DUNIYA KA AISA BANAYA NIZAM


14. HOTI SUBHO KAHIN AUR KAHIN HOTI SHAM
15. TAKAY KOI LAMHA NA GUZREY KE UNKE GHULAM
16. AAP PAR JAB NA BHEJEIN DUROODO SALAAM
YA RASOOLALLAHI

51
45. MANQABAT DEDICATED TO HAZRAT
BIBI AMINAH (RA)
1. AMINAH NE HALIMAH NU SI AKHIYA LAL MERA
2. AEY THUND MERE SINE DIYE
3. CHUP KAR KE TU JHOLI VICH PAEY SAN
4. KHALIS DAULAT TEY KANZAN KHAZINEY DIYE
5. AES GALTEY KARINAN ZARA VI TU SAK
6. AEDEY SADQEY BANE NE ZAMITEY FALAK
7. DO JAHANA DEY ANDAR CHAMAK TEY DHAMAK
8. AZAL DEY AES NOORI, NAGINEY DIYE
9. BOOHEY ALLAH DI REHMAT DEY KHULEY NE AJ
10. VAGDEY THANDI HAWAWAN DEY HULLEY NE AJ
11. AEY MERE GHAR CHON OTHEY JO HULLEY NE AJ
12. MAHEK AEDEY MUAMBAR PASINEY DIYE
13. AEDEY NAQSHO NIGARAN DI DAKH VEKHNI
14. SONA MUKHRA TEY MAKHMOOR AKH VEKHNI
15. BHANVEY BACHCHEY ZAMANE DEY LAKH VEKHNI
16. CHAB VAKHRI AEDEY RUKHE AAINE DIYE
17. JIS MAHINEY VICH HOYA ZAHOOR AAP DA
18. JIS MAHINEY VICH AAEY NABI MUSTAFA
19. LAYLATUL QADRATON, QADR WAD HAFEZA
20. AES NOORI MUQADDAS MAHINEY DIYE

AUTHOR: JANAAB HAFIZ


MEANINGS:
LINE 2: MAYN APNE SINE KI THUNDAK DEY RAHI HUN
LINE 3: PAEY SAN = ISKO PALO
LINE 4: KHALIS = ABSOLUTELY PURE
LINE 6: AEDEY SADQEY = IN KE SADQEY SE
LINE 9: BOOHEY = DARWAZEY (DOORS)
LINE 10: VAGDEY = CHAL RAHEY HAIN
LINE 10: DEY = OF; e.g., HAWAON KE
LINE 10: HULLEY = JHONKE
LINE 11: GHAR CHON = GHAR SE
LINE 11: OTHEY = WAHAN
LINE 13: ISKE CHEHRE KI KHUBSOORATI KO DEKH
LINE 14: TEY = AUR
LINE 14: MAKHMOOOR = KHUMAR WALI
LINE 14: AKH VEKHNI = ANKHON KO DEKH
LINE15: BHANVEY = CHAHEY
LINE 16: CHAB VAKHRI = ISKI SOORAT
LINE 16: RUKHE AAINE = CHEHRE KA AAINA DIYA
LINE 19: LAYLATUL QADR SE BATH KAR US MAHINEY KI QADR HAI

52
46. MANQABAT DEDICATED TO HAZRAT
BIBI HALIMAH (RA)
Should ALLAH TAALA give you the opportunity to go for Hajj or Umrah, be sure to recite
this in Jannatul Baqi, Madinah Munawwarah, at the Holy grave of H. BiBi Halimah (RA).

1. YEH KEHTI THI GHAR, GHAR MEIN JAKAR HALIMAH


2. MERE GHAR MEIN KHAYRUL VARA AA GAYE HAIN
3. BARE OUJ PAR HAI MERA AB MUQADDAR
4. MERE GHAR HABIBE KHUDA AA GAYE HAIN
5. UTH THI CHAR SU REHMATON KI GHATAEIN
6. MUATTAR, MUATTAR HAIN SARI FAZAEIN
7. KHUSHI MEIN YEH JIBREEL NAGHMEY SUNAEIN
8. WOH SHAFAE ROZE JAZA AA GAYE HAIN
9. YEH ZULMAT SE KEHDO KE DHERE UTHALEY
10. KE HAIN HAR TARAF AB UJALEY, UJALEY
11. KAHA JIN KO HAQQ NE SERAJUM MUNIRAH
12. MERE GHAR WOH NOORE KHUDA AA GAYE HAIN
13. YEH SUN KAR SAKHI AAP KA AASTANA
14. HAI DAMAN PASAREY HUEY SAB ZAMANA
15. NAVASON KA SADQA NIGAHEN KARAM HO
16. TERE DAR PE TERE GADA AA GAYE HAIN
17. MUQARRAB HAIN BESHAK KHALIL-O-NAJI BHI
18. BARI SHAAN WALE KALIM-O-MASIH BHI
19. LIYE ARSH NE JIN KE QADMON KE BOSEY
20. WOH UMMI LAQAB MUSTAFA AA GAYE HAIN
21. NAKIREN JAB MERI TURBAT MEIN AKAR
22. KAHENGEY ZIYARAT KA MUZDAH SUNA KAR
23. UTHO BAHERE TAZIM NOORUL HASAN AB
24. LAHAD MEIN RASOOLE KHUDA AA GAYE HAIN

AUTHOR: JANAAB NOOR-UL-HASAN

MEANINGS:
LINE 11: SERAJUM MUNIRAH = CHAMAKTA CHAND
LINE 14: PASAREY = PHAILANA

53
47. MANQABAT DEDICATED TO HAZRAT
BIBI FATIMAH (RA)
Requests were made that there should at least be two Manqabats for the ladies recitals.
Should ALLAH TAALA give you the opportunity to go for Hajj or Umrah, be sure to recite
this at the gates of Jannatul Baqi, in Madinah Munawwarah, from which the Holy grave of
H. BiBi Fatimah (RA) is clearly visible.

AEY MERI MASOOM SHEHZADI

THE MAIN CHORUS LINES ARE AS FOLLOWS:

AEY MERI MASOOM SHEHZADI JANABE SAYYADAH


AAEY HAIN HUM DAR PE TERE, MAANG NE KO SAYYADAH
AEY MERI MASOOM ZAHRA

1. KITNEY ARMAN LEY KE AAEY HAIN HUM TERE PAS


2. HATH UTHA KAR MANG NE KO AAEY HAIN, HUM TERE PAS
3. AB NA KHALI PHERNA, AEY JANABE SAYYADAH
4. AAEY HAIN HUM DAR PE TERE, MAANG NE KO SAYYADAH
AEY MERI MASOOM

5. MURDA DULHAN KO JILA NE WALI, MERI SAYYADAH


6. LAKHON KI BIGRI BANANE WALI, MERI SAYYADAH
7. MERI BIGRI TUM BANADO, AEY JANABE SAYYADAH
8. AAEY HAIN HUM DAR PE TERE, MAANG NE KO SAYYADAH
AEY MERI MASOOM

9. MAYN PAREYSHAN HUN BOHAT, MUSHKIL MERI AASAN KARO


10. KYA KHATA MERI HUI LILLAH MUJHEH AAGAH KARO
11. AB KHUDHARA RAHAM KAR DO, AEY JANABE SAYYADAH
12. AAEY HAIN HUM DAR PE TERE, MAANG NE KO SAYYADAH
AEY MERI MASOOM

13. WAQT HAI IMDAD KA, IMDAD MERI KIJI YE


14. PHAS GAYIN HAI NAAO BHANWAR MEIN, PAAR AB TO KIJI YE
15. AB KINARE TUM LAGADO, AEY JANABE SAYYADAH
16. AAEY HAIN HUM DAR PE TERE, MAANG NE KO SAYYADAH
AEY MERI MASOOM

17. TUM BATAO JAEN KAHAN HUM, KOI BHI APNA TO HO


18. AASRA EK PANJETAN KA, DUSRA KOI NA HO
19. SAR JHUKA NE KI JAGAH DO, AEY JANABE SAYYADAH
20. AAEY HAIN HUM DAR PE TERE, MAANG NE KO SAYYADAH
AEY MERI MASOOM

JA JA SABA

54
THE MAIN CHORUS LINES ARE AS FOLLOWS:

JA, JA SABA TU JAAKE, MERI MASOOMA SE KEHNA


DARE SAYYADAH PE JAAKE MERA SALAAM KEHNA

1. ROOTHE HO HUM SE TUM KYON, KYA HO GAYIN KHATAEIN


2. LILLAH MUAF KARDO, JO BHUL HUI HAI HUM SE
3. NAZRE NAHIN PHIRANA, ITNA PAYAM KEHNA
4. DARE SAYYADAH PE JAAKE, MERA SALAAM KEHNA
JA JA SABA

5. TUM MASOOMA HO MERI, TUM SAYYADAH HO MERI


6. BAKHSHO GEY TUM KHATAEIN, JO HO GAYIN HAIN MERI
7. MEHSHAR MEIN TUM BACHANA, ITNA PAYAM KEHNA
8. DARE SAYYADAH PE JAAKE, MERA SALAAM KEHNA
JA JA SABA

9. DEKHO QADAM, QADAM PAR, KANTEY BICHEY HUEY HAIN


10. DAMAN SE LIPTEY DEKHO, KAISEY RAAH MEIN PARE HAIN
11. PHOOL ISKO TUM BANADO, ITNA PAYAM KEHNA
12. DARE SAYYADAH PE JAAKE, MERA SALAAM KEHNA
JA JA SABA

13. MANJHI BAGHAIR NAIYYA, KAISEY LAGEY KINARE


14. TUM HI KHUDA SE KEH KAR, KASHTI KARO KINARE
15. DOOBEY KAHIN NA NAIYYA, ITNA PAYAM KEHNA
16. DARE SAYYADAH PE JAAKE, MERA SALAAM KEHNA
JA JA SABA

17. HAR, HAR QADAM PE THOKAR, KHATE RAHENGEY HUM KYA


18. THUKRAYA HUM KO JUG NE, ITNEY BOOREY HAIN HUM KYA
19. THOKAR SE AB BACHANA, ITNA PAYAM KEHNA
20. DARE SAYYADAH PE JAAKE, MERA SALAAM KEHNA
JA JA SABA

21. TUM JANTI HO BIBI, KYA AARZOO HAI DIL MEIN


22. IS DIL MEIN TUM BASI HO, ZOHRA NAAM HAI DIL MEIN
23. IS DIL KI AARZOO KA, ITNA PAYAM KEHNA
24. DARE SAYYADAH PE JAAKE, MERA SALAAM KEHNA
JA JA SABA

25. QISMAT KI MARI KANIZ, PHIRTI KAHAN, KAHAN HAI


26. RAHAT KAHAN HAI ISKO, PHIRTI KAHAN, KAHAN HAI
27. ROZE PE AB BULA LO, ITNA PAYAM KEHNA
28. DARE SAYYADAH PE JAAKE, MERA SALAAM KHENA
JA JA SABA

55
48. MANQABAT DEDICATED TO HAZRAT
KHULAFAEY RASHEDEEN
(RIDWANALLAHEY TAALA ALYHIM
AJMAEEN)

1. HAIN AFZAL KHALQ MEIN BAAD AZ PAYAMBAR


ABU BAKR-O-UMAR, USMAN-O-HAIDER
2. HAIN GULZARE MUHAMMAD KE GULEY TAR
ABU BAKR-O-UMAR, USMAN-O-HAIDER
3. ARAB KE CHAND KE TABINDAH E AKHTAR
ABU BAKR-O-UMAR, USMAN-O-HAIDER
4. HAIN ASHABEY NABI MEIN SAB SE BARTAR
ABU BAKR-O-UMAR, USMAN-O-HAIDER
5. MERI ANKHON MEIN MERE DIL KE ANDAR
ABU BAKR-O-UMAR, USMAN-O-HAIDER
6. ILAHI NAZAA MEIN HO MERE LAB PAR
ABU BAKR-O-UMAR, USMAN-O-HAIDER
7. TUMHARA JO HO, KAB KHAEY WOH THOKAR
ABU BAKR-O-UMAR, USMAN-O-HAIDER
8. DARE MEHBOOBE HAQQ HAI AAP KA DAR
ABU BAKR-O-UMAR, USMAN-O-HAIDER
9. TUMHI SE BHIK MILTI HAI BARABAR
ABU BAKR-O-UMAR, USMAN-O-HAIDER
10. TUMHARA HO WOH BAD MAZHAB HAI KYON KAR
ABU BAKR-O-UMAR, USMAN-O-HAIDER
11. HO US PAR BHI NIGAHEN MAHER PARVAR
ABU BAKR-O-UMAR, USMAN-O-HAIDER
12. TUMHARE KOOCHEY KA ZARRA HAI AKHTAR
ABU BAKR-O-UMAR, USMAN-O-HAIDER

56
49. MANQABAT DEDICATED TO HAZRAT
IMAM HUSSAIN (RA)
Khwaja Gharib Nawaaz, Hazrat Moinuddin Chishti Ajmeri (RA); (D. 1236)
has recounted the exalted position of Hazrat Imam Hussain, (Sayaad-As-
Shohada, Imam Al Sabereen) in the history of Islam in the following
Persian Naat:

1. SHAH AST HUSSAIN, BADSHAH AST HUSSAIN


2. DEEN AST HUSSAIN, DEEN PANAH AST HUSSAIN
3. SAR DAD NA DAD DAST DAR DAST-E-YAZID
4. HAQQA KE BINAE LAILAH AST HUSSAIN

MEANINGS:
1. HUSSAIN IS THE LEADER, HUSSAIN IS THE KING
2. HUSSAIN IS DEEN, HUSSAIN IS THE REFUGE OF THE DEEN
3. HE GAVE AWAY HIS HEAD, BUT DID NOT GIVE HIS HAND OF
ALLEGIANCE TO THE HAND OF YAZID
4. BY GOD! HUSSAIN IS THE FOUNDATION OF LAILAHA (THAT
THERE IS NO ONE BUT ALLAH WORTHY OF WORSHIP)

DEEN PANAH here means DEEN KO PANAH DAINE WALA,


MADADGAAR.

The main Naat of Hafiz now follows:

1. SAYYAD NE KARBALA MEIN WADEY NIBHA DIYE HAIN


2. DEENEY MUHAMMADI KE GULSHAN KHILA DIYE HAIN
3. DEENEY NABI PE VAARI AKBAR NE KI JAWANI
4. ABBAS NE BHI DONON BAAZU KATA DIYE HAIN
5. ZAINAB KE BAAGH MEIN JO DO PHOOL THE MAHEKTEY
6. ZAINAB NE WOH BHI DONON NAAME KHUDA DIYE HAIN
7. IK BACH GAYA THA GHUNCHA USKO BHI PESH KAR KE
8. SAYYAD NE JHAR KE YUN DAMAN DIKHA DIYE HAIN
9. BOLEY HUSSAIN MAULA, TERI RAZA KI KHATIR
10. EK, EK KAR KE MAYNE HEEREY LOOTA DIYE HAIN
11. SHABBIR KI BHI AISI PUR DARD DAASTAN HAIN
12. DIL PATHTHARON KE WALLAH, JIS NE HILA DIYE HAIN
13. BAKHSHISH HAI USKI LAAZIM SAYYAD KE GHAM MEIN HAFIZ
14. DO CHAR AANSHU RO KAR JIS NE BAHA DIYE HAIN

AUTHOR: JANAAB HAFIZ

57
50. MANQABAT DEDICATED TO HAZRAT
GHAUS AL AZAM (RA)
SHAHE BAGHDAD

THIS MANQABAT IS ESPECIALLY DEDICATED TO HAZRAT GHAUS AL AZAM


DASTAGIR, GHAUS AS SAQALAIN, HAZRAT GHAUS PAAK, SHAIKH MUHYIDDIN
ABDUL QADIR JILANI (RA), QUTBE RABBANI, MEHBOOBE SUBHANI, PIRAN-E-PIR,
WALIYON KE WALI, JIS KA PAIR HAR WALIYON KE GARDAN PE HAI. IT CAN BE
RECITED WHEREVER AND WHENEVER A GYARVIN SHARIF IS CELEBRATED:

THE MAIN LINES TO BE REPEATED BY THE NAAT KHWAAN ARE AS FOLLOWS:

SHAHE BAGHDAD SADA BOL HAI BALA TERA


KYON NA HO SAHIBEY MAIRAJ HAI BABA TERA

1. KAR GAYA MAND VILAYAT KE DARAKHSHAN SAB CHAND


2. LADLA YEH PISR SAYYADAH ZAHRA TERA
SHAHE BAGHDAD

3. TU VILAYAT KA WOH DULHA HAI KE BA IJZO NIYAZ


4. AWLIYA PARH TE HAIN HAR DAUR MEIN SEHRA TERA
SHAHE BAGHDAD

5. BAKHUDA MULKE VILAYAT MEIN RISALAT KE BAAD


6. HASHR TAK KA JO ZAMANA HAI WOH TANHA TERA
SHAHE BAGHDAD

7. MAYN GHULAM AUR TU AQA MAYN SAWALI TU KARIM


8. TAYY AZAL MEIN HUA RISHTA YEHI TERA MERA
SHAHE BAGHDAD

9. SABZ GUMBAD KI TAJALLI SE HAI USKA RISHTA


10. KYON NA PHIR MEHBATE ANWAAR HO ROZA TERA
SHAHE BAGHDAD

AUTHOR: JANAAB SAHEBZADA NASIR AHMED

MEANINIGS:
LINE 1: VALIYON MEIN CHAND, IS CHAND KAR GAYA
LINE 2: PISR = SON
LINE 5: BAKHUDA = QASAM SE
LINE 10: MEHBATE = JAHAN NOOR GIRTA HAI
LINE 10: ANWAAR = PLEURAL OF NOOR

58
51. MANQABAT DEDICATED TO KHWAJA
GHARIB NAWAAZ, HAZRAT MOINUDDIN
CHISHTI - AJMERI (RA)
THE MAIN LINES TO BE REPEATED BY THE NAAT KHWAAN ARE AS
FOLLOWS:

MADINEY SE DILKASH HAWA AA RAHI HAI


DARE KHWAJA KO KHUB MAHEKA RAHI HAI

1. KASHISH HAI AJAB TERE ROZE KI KHWAJA


2. JABINE AQEEDAT KHINCHI JA RAHI HAI
MADINEY SE
3. SHABO ROZ HOTI HAI QURAN KHWANI
4. KAHIN NAATE SARWAR PARHI JA RAHI HAI
MADINEY SE
5. HAI AJMER MEIN BHI MADINEY KA JALWA
6. WAHIN SE YAHAN RAUSHNI AA RAHI HAI
MADINEY SE
7. GHARIBON KI SAF MEIN SHAHE DO ALAM
8. YAHAN SAB KI JHOLI BHARI JA RAHI HAI
MADINEY SE
9. HAI KHWAJA KE SAB AUR SAB KE HAI KHWAJA
10. KE MAKHLUQ DAURI CHALI AA RAHI HAI
MADINEY SE
11. SHAHENSHAHE HINDUSTAN PHIR BULA LEIN
12. JUDAI TO KAUSAR KO TARPA RAHI HAI
MADINEY SE

AUTHOR: JANAAB KAUSAR

MEANINIGS:
MAIN LINE: DILKASH = DILKO KHINCH NE WALI
LINE 1: KASHISH = KHINCH NA
LINE 1: AJAB = IN THIS CONTEXT IT MEANS ATTRACTION
LINE 3: SHAB = RAAT

59

You might also like