You are on page 1of 79

Assalaato Was Salaamo Alaika Ya Rasool Allah

(Sallallaho Alaihi Wasallam)

Kaam Woh Ley Leejiye Tum Ko Jo Raazi Karey


Theek ho Naam e RAZA Tum Pey Karoron Durood

MUZDA E BAKHSHISH
Compilation of Naats
with a Collection of Durood and Duas

By:
Hazrat Allama Mohammed Shakir Ali Noorie
(Ameer Sunni Dawat e Islami)

Maktab e Taibah
Ismail Habib Masjid
126 Kambekar St
Mumbai 3.
Table of Contents
DEDICATION ................................................................................. 4
ADMIRATION ................................................................................ 5
VISITING THE RESTING PLACE OF THE PROPHET ............ 8
ATTENDANCE IN MADINATUL MUNAWWARAH.............. 9
METHOD OF ATTENDANCE .................................................... 10
SUPPLICATION............................................................................ 13
ALLAHU ALLAHU ....................................................................... 15
HAI PAAK RUTBA ....................................................................... 17
KARAM HO KARAM HO ........................................................... 18
SHAHEY BATHA TEYRA............................................................ 21
MADINAH AANEY WAALA HAI ............................................. 23
KAABEY KEY DAR KEY SAAMNEY ....................................... 25
MUZDA E BAKHSHISH.............................................................. 26
MAINEY RUKH KAR LIYA MADINEY KA ............................. 28
KARAM KARTEY HEE REHNA TUM ...................................... 31
MEHMAAN E MADINAH .................................................... 40
KOO E NABI ............................................................................ 41
KARDO AAQA KARAM ............................................................. 44
SUNLO AAQA MEYREY ............................................................. 45
MEELAD KA MAHEENA ............................................................ 46
JAALI KEY SAAMNEY ................................................................ 47
YAA SHAAH E SANJARI ...................................................... 56
LAAKHON SALAAM .................................................................. 59
MUNAJAAT................................................................................... 60
BENEFITS OF DUROOD E TAAJ............................................... 65
DUROOD E RAZVIA ................................................................... 66
DUROOD FOR INCREASED LIVELIHOOD (RIZQ) ............. 67
MEANS OF FORGIVENESS ....................................................... 67
DUROOD FOR FREEDOM FROM HELL ................................. 68
TO SAFEGUARD FAITH............................................................. 68
DIFFICULTIES REMOVED ......................................................... 69
2
SINS OF 80 YEARS FORGIVEN ................................................. 69
REWARD FOR RECITING DUROOD CONSTANTLY .......... 69
ANGELS SEEK FORGIVENESS ................................................. 70
DUROOD E SHIFAA.................................................................... 70
REWARD OF SIX HUNDRED THOUSAND DUROODS ...... 71
DUROOD E KAMAALIYA .......................................................... 72
DUAS OF THE PROPHET .......................................................... 72
FREEDOM FROM ALL CALAMITIES ...................................... 73
DUA AT TIME OF DISTRESS ................................................... 74
CURE FROM ILLNESSES ............................................................ 74
DUA TO RECEIVE BETTER ....................................................... 75
DUA TO PAY OFF DEBTS ......................................................... 75
WEALTH AND PROSPERITY .................................................... 76
AIMS and OBJECTIVES .............................................................. 77
16th ANNUAL SUNNI IJTEMA ................................................... 78

3
DEDICATION
To my beloved mother whose affectionate upbringing made me capable
of paying homage in the court of the Beloved Prophet Sallallaho Alaihi
Wasallam. May Allah Taala keep her blessed shade above us always, and
may He grant her a long life full of good health and blessings.

Dil Ki Duniya Ko Sajaao Aaqa


Apni Ulfat Mey Jilaao Aaqa
Shakir e Razvi Hai Aasi Shaahaa
Muzda Bakhshish Ka Sunaao Aaqa

Seeker of Supplications for my Mother


Mohammed Shakir Ali Noorie
(Ameer Sunni Dawat e Islami)

4
ADMIRATION
Huzoor Ashraf e Millat Hazrat Allama
SYED SHAH ASHRAF MIYAN SAHIB
Barkaati Marahravi
Sajjadah Nasheen Marahrah Shareef
Nahmaduhu Wanusalli Alaa Rasoolihil Kareem
All Praise is for Allah Taala and His Blessings and Salutations be
upon His Beloved Prophet Sallallaho Alaihi Wasallam.
The supreme personality, preaching and propagational endeavours of
Ameer Sunni Dawat e Islami, Hafiz o Qari Mohammed Shakir Ali
Noorie needs no introduction. However, this is the first time I have
come into contact with his Naats and poetry. The style and respect
evident in the Naats is heart warming and raises and warms the spirit
tremendously.
Naat e Nabi is a very sensitive field. Even a slight mistake in this field
leads to a person incurring the displeasure of Allah Taala and Rasool
Allah Sallallaho Alaihi Wasallam for a lifetime. It is a Grace of Almighty
Allah that even by searching for it, one is not able to find the two
mistakes in this collection that are very common in other poetry
meaning the suspicion of Shirk (Polytheism), or disrespect towards
Rasool Allah Sallallaho Alaihi Wasallam.
Poetry interprets the feelings of the heart of the poet. The respected
Shakir Noorie has great love, passion and respect for the Silsila of his
spiritual guides and the organisation Sunni Dawat e Islami; and the
deep sense of love and passion that he has is beautifully evident in his

5
poems. Look at some examples of Maulana Shakirs verses; the depth of
expression, vastness of meanings, deep-rooted passion, literary stature,
obedience of a devotee, humbleness of a seeker, and flowing verses will
provide great comfort and coolness to your eyes.
De Daaliye Mujh Ko Bhi Ghulami Ki Sanad
Bakhshish Ko Merey Shah Yeh Khairaat Bari Hai
Qadmon Ko Zara Hosh Sey Is Khaak Pey Rakhna
Yeh Koo e Nabi Hai Arrey Yeh Koo e Nabi Hai
Meyri Qismat Buri Ho To Khuda Ra Tum Bhali Kardo
Sanwaro Meyri Qismat Ko Sanwaro Ya Rasool Allah
The poet has used language which does not distress the ears, rather they
give pleasure and comfort to the heart. For example, even when he does
not used the word Ney in the verses, there is still a sense of softness
and pleasantness in those verses as well.
Shah e Madinah Mujh Ko Taibah Bulaa Liye Hain
Soyee Huwi Thee Qismat Aaqa Jagaa Diye Hain
Even though the stanzas are short in length, the words and tone of the
stanzas are profusely deep in their meaning.
Dil Ki Duniya Ko Sajaao Aaqa
Apni Ulfat Mey Jilaao Aaqa
Shauq e Deedar Mey So-un Jis Shab
Apna Deedar Karaao Aaqa
Gham e Duniya Mey Na Aansoo Nikley
Apni Ulfat Mey Rulaao Aaqa
If you become carefree and cheerful after reading just a few verses of the
poet, it proves the weakness of the writer of this admiration to properly
express in words the beauty and vastness of this collection of Naats.
6
It is my firm belief that you will find many verses in each Naat which
will make you euphoric, elated and ecstatic, Insha Allah.
This humble Barkaati servant presents heartfelt congratulations to my
dear friend Maulana Shakir Noorie on this collection of Naats.

Syed Ashraf Barkaati


26th Safar Muzaffar 1423 AH

7
VISITING THE RESTING PLACE
OF THE PROPHET
Sallallaho Alaihi Wasallam
To visit the blessed resting place of the Prophet of all Prophets,
Guidance for All the Creations, Beloved of Allah Taala, Sayyedina
Rasool Allah Sallallaho Alaihi Wasallam is close to compulsory. It is the best
and most established method of attaining closeness to Allah Taala.
This is mentioned quite clearly in the Holy Quran, Allah Taala says:

And if when they do injustice unto their souls, then O


beloved! They should come to you and then beg
forgiveness of Allah and the prophet should intercede for
them, then surely they would find Allah Most Relenting,
Merciful.
(Surah Nisa, Verse 64)
There are many Ahadith extolling the virtues of visiting the blessed
resting place of Rasool Allah Sallallaho Alaihi Wasallam. Hazrat Abdullah
bin Umar Radiallaho Taala Anhuma narrates that Rasool Allah Sallallaho Alaihi
Wasallam said, Whosoever visits my resting place, my intercession is
compulsory for him. (Wafa-al Wafa, Vol 2, Page 394)

8
Another narration states, Whoever comes to visit me, and has no other
intention but to visit me, then it is my duty to intercede for him on the
day of judgement. (Wafa-al Wafa, Vol 2, Page 396)
Rasool Allah Sallallaho Alaihi Wasallam has said, Whoever visits me after I
leave this world, it is as though he visited me during my life on the
earth. This Hadith is supported by another Hadith in which Rasool
Allah Sallallaho Alaihi Wasallam said, Whoever performs Hajj and visits my
resting place after I have left this world, it is as though he visited me
whilst I was on the earth. (Mishkat al Masaabih, page 241)
Hazrat Anas Radiallaho Taala Anhu narrates that Rasool Allah Sallallaho Alaihi
Wasallamsaid, Whoever comes to Madinah to visit me, and his only
intention is to visit me, he will be next to me on the day of judgement
and I will intercede for him. (Jaamias Sagheer, page 117)
Hazrat Abdullah bin Abbas Radiallaho Taala Anhuma narrates that Rasool
Allah Sallallaho Alaihi Wasallam said, The person who goes for Pilgrimage
(Hajj) to Makkah and then comes to my Mosque with the intention of
visiting me, he receives the reward of two accepted Pilgrimages.
(Jazbul Quloob page 196)

ATTENDANCE IN MADINATUL
MUNAWWARAH
When you enter the blessed boundary of Madinah, have Blessings
(Durood) and Salutations (Salaam) on your lips in abundance. You
should be restless about reaching the resting place of Rasool Allah
Sallallaho Alaihi Wasallam for true devotees have a deep desire to meet their
beloved. Therefore, complete the necessities as soon as possible, (hotel
9
room, settling in, bathroom etc.) and prepare to present yourself in
front of the Beloved of Allah Taala. Take a bath, wear new clothes, put
on Itr (perfume), apply Surma in your eyes, comb your hair and beard
properly, put on an Imama Shareef (turban) and look the best that you
possibly can.

METHOD OF ATTENDANCE
Stand outside Baab e Jibraeel as if you are waiting for permission.
Wait for a short while and then enter Masjid e Nabvi. Enter with your
right foot first and as you enter, recite the following:

Bismillaah Hir Rahmaan Nir Raheem. Assalaato Wassalaamu


Alaika Yaa Rasool Allah Sallallaho Alaihi Wasallam. Bismillaahi
Dakhaltu Wa Alaihi Tawakkaltu Wa Nawaytu Sunnatal
Itikaaf
Upon entering the Mosque, turn slightly to your right and stand there
and recite blessings and salutations in brief. Walk slowly towards the
Roza Mubarak. Pass through Riaz-ul-Jannat and kiss the blessed
Mimbar and Mihrab of Rasool Allah Sallallaho Alaihi Wasallam with your
eyes. Keep moving forward and you will find yourself in front of the
Blessed Golden Gates of Rasool Allah Sallallaho Alaihi Wasallam. Stand with

10
complete respect, head lowered, arms folded and humbly present your
salutation:

Assalaato Wassalamu Alaika Yaa Rasool Allah


Sallallaho Alaihi Wasallam
Assalaato Wassalamu Alaika Yaa Nabi Allah
Sallallaho Alaihi Wasallam
Assalaato Wassalamu Alaika Yaa Noor Allah
Sallallaho Alaihi Wasallam
Assalaato Wassalamu Alaika Yaa Khaira Khalqillah
Sallallaho Alaihi Wasallam
Wa Alaa Aalika Wa Dhaweeka Fee Kulli Aaniw Walah Dhatin
Adada Kulli Dharrata Alfa Alfa Marraatin.
After this, present the salutations (Salaams) on behalf of all those who
have asked you to. Then make Dua as much as possible, for yourself,
for family, for friends, for relatives, and for all Muslims. If possible,
also make Dua for me and especially make Dua for Sunni Dawat e
Islami.
Move slightly to your right and present humble salutations to
Sayyedina Hazrat Abu Bakr Siddique Radiallaho Taala Anhu; then move

11
slightly more to your right and present salutations in the court of
Sayyedina Umar Faruq e Aazam Radiallaho Taala Anhu:

Assalaamu Alaika Yaa Ameerul Mumineen


Assalaamu Alaika Yaa Mutammimal Arbaeen
Assalaamu Alaika Yaa Izzal Islam
Wal Muslimeena Wa Rahmatullahi Wabarakaatuh.
My Beloved Prophet Sallallaho Alaihi Wasallam beloved devotees! We have
read about the importance of visiting the blessed court of Rasool Allah
Sallallaho Alaihi Wasallam from the Holy Quran and from Ahadith. Let us
supplicate that Allah Taala grants us all the great blessing of visiting
Madinatul Munawwarah with respect, and that he guides us to honour
the etiquettes of Madinah and stay there with complete humility and
respect, Aameen Summa Aameen.

12
SUPPLICATION
By: Ustaad e Zaman, Hazrat Allama Hasan Raza Khan
Alaihir Rahmah

Dard e Dil Kar Mujhey Ataa Ya Rab


Dey Merey Dard Ki Dawaa Ya Rab
Laaj Rakhley Gunah Gaaron Ki
Naam Rahmaan Hai Teyra Ya Rab
Ayb Merey Na Khol Mehshar Mey
Naam Sattaar Hai Teyra Ya Rab
Bey Sabab Bakhsh Dey Na Pooch Amal
Naam Ghaffaar Hai Teyra Ya Rab
Bhool Kar Bhi Na Aaye Yaad Apni
Merey Dil Sey Mujhey Bhula Ya Rab
Khaak Kar Apney Aastaaney Ki
Yoon Hamain Khaak Mey Mila Ya Rab
Teyri Jaanib Yeh Musht Khaak Urey
Bheyj Aisee Koi Hawa Ya Rab
Sabaqat Rahmati Alaa Ghazabi
Tu Ney Jab Sey Suna Diya Ya Rab
Aasraa Ham Gunah Gaaron Ka
Aur Mazboot Ho Gaya Ya Rab
Tu Ney Merey Zaleel Haathon Mey
13
Daaman e Mustafa Diya Ya Rab
Kar Diya Tu Ney Qadri Mujh Ko
Teyri Qudrat Key Mey Fida Ya Rab
Tu Hasan Ko Utha Hasan Kar Key
Ho Maal Khair Khaatima Ya Rab

14
Hamd Of Allah Taala
ALLAHU ALLAHU
By: Beloved Son Of Aala Hazrat,
Huzoor Mufti e Aazam e Hind Alaihir Rahmah

Allahu Allahu Allahu Allahu


Qalb Ko Uski Rooyat Ki Hai Aarzoo
Jis Ka Jalwah Hai Aalam Mey Har Chaar Soo
Balkey Khud Nafs Mey Hai Wo Subha Nahoo
Arsh Par Hai Magar Arsh Ko Justa Joo
Allahu Allahu Allahu Allahu
Arsh-o-Farsh-o-Zamano Jihat Ai Khuda
Jis Taraf Deykhta Hoon Hai Jalwah Teyra
Zarrey Zarrey Ki Aankhon Mey Tu Hee Ziyaa
Qatrey Qatrey Ki Tu Hee To Hai Aabroo
Allahu Allahu Allahu Allahu
Saarey Aalam Ko Hai Teyri Hee Justajoo
Jinn o Ins o Malak Ko Teyri Aarzoo
Yaad Mey Teyri Har Eyk Hai Koo Bakoo
Ban Main Wehshi Lagaatey Hain Zarbaatey Hoo
Allahu Allahu Allahu Allahu
Nagma Sanjaaney Gulshan Mey Charcha Teyra

15
Cheh-Chahey Zikrey Haq Key Hain Subho Masaa
Apni Apni Chehak Apni Apni Sadaa
Sab Ka Matlab Hai Waahid Key Waahid Hai Tu
Allahu Allahu Allahu Allahu
Taa-Iraan e Jina Mey Teyri Guftagoo
Geet Teyrey Hee Gaatey Hain Wo Khush Guloo
Koi Kehta Hai Haq Koi Kehta Hai Hoo
Aur Sab Kehtey Hain Laa Shareeka Lahoo
Allahu Allahu Allahu Allahu
Thandi Thandi Naseemain Chalain Merey Rab
Fitnon Ki Dhool Sey Paak Huwey Arab
Aisaa Barsaa Bahaadey Jo Khaa Shaak Sab
Teyri Rehmat Key Baadal Ghirain Chaar Soo
Allahu Allahu Allahu Allahu
Khwaab-e-Noorie Mey Aayain Jo Noor e Khuda
Buqa-e-Noor Ho Apna Zulmat Kadaa
Jagmagaa Utthey Dil Chehra Ho Pur Ziyaa
Nooriyon Ki Tarha Shugl Ho Zikr-e-Hoo
Allahu Allahu Allahu Allahu

16
HAI PAAK RUTBA
By: Ustaad e Zaman, Hazrat Allama Hasan Raza Khan
Alaihir Rahmah

Hai Paak Rutba Fikr Sey Uss Bey Niyaaz Ka


Kuch Dakhal Aqal Ka Hai Na Kaam Imtiyaaz Ka
Lab Band Aur Dil Mey Wo Jalwey Bharey Huwey
Allah Rey Jigar Terey Aagaah Raaz Ka
Ash Aagayaa Kaleem Sey Mushtaq Deed Ko
Jalwah Bhi Bey Niyaaz Hai Uss Bey Niyaaz Ka
Har Shai Sey Ayaan Merey Saane Ki Sanatain
Aalam Sab Aa-inoon Mey Hai Aa-ina Saaz Ka
Aflaak Waariz Sab Terey Farmaan Pazeer Hain
Haakim Hain Tu Jahan Key NisheboFaraaz Hain
Is Bey Kasee Mey Dil Ko Merey Teyk Lag Gayee
ShehroSunaa Jo Rehmat Beykas Nawaaz Ka
Maanand Shama Teyri Taraf Lau Lagee Rahey
Dey Lutf Meyri Jaan Ko Soz-o-Gudaz Ka
Tu Bey Hisaab Bakhsh Key Hain Bey Hisaab Jurm
Deyta Hoon Waasta Tujhey Shah e Hijaaz Ka
Bandey Pey Terey Nafs-e-Laeen Ho Gaya Muheet Allah Kar
Ilaaj Meyri Hirs-o-Aaz Ka
Kyun Kar Na Merey Kaam Baney Ghaib Sey Hasan
17
Banda Bhi Hoon Kaisey Barey Kaar Saaz Ka

KARAM HO KARAM HO
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya
Banaaya Jo Mangta Karam Ho Khudaaya
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya
Banaaya Jo Mangta Karam Ho Khudaaya
Iraadon Pey Ghaalib Iraada Teyra Hai
Teyra Hukm Sab Par Hameysha Chala Hai
Ilaahi Jagaadey Meyra Bakhte Khufta
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya
Meri Lagzisho Par Karam Ka Qalam Ho
Isi Sey Jahan Mey Meyra Ab Bharam Ho
Rahey Hashr Mey Bhi Karam Ka Sahaara
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya
Tu Sunta Hai Sab Ki Hamaari Bhi Sunley
Key Bando Mey Khaas Apney Ham Ko Bhi Chunley
Mujeeb In Duaaon Ko Maqbool Farmaa
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya
Mey Hoon Teyra Saajid Tu Masjood Meyra

18
Mey Hoon Teyra Bandah Tu Mabood Meyra
Asaas e 'Ibadat Mujhey Dey Dey Maula
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya
Terey Ghar Key Chakkar Lagaata Hoon Maula
Yunhi Saarey Isyaan Mitaata Hoon Maula
Raza Teyri Haasil Ho Ab To Khudaaya
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya
Hai Rehmaan Tu Hee Hai Jawwad Tu Hee
Hai Ghaffar Tu Hee Hai Sattaar Tu Hee
Hamari Khataa-on Ko Tu Muaf Farmaa
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya
Banaa Ham Ko Taalee e Quran Ya Rab
Khuley Ham Pey Asraar e Quran Ya Rab
Ataa Ho Hamain Maahey Ramzan Ka Sadqa
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya
Mohabbat Mey Aaqa Ki Shaam o Sahar Ho
Meyri Zeest Ya Rab Isee Mey Basar Ho
Chiraag e Mohabbat Jaley Yeh Hameysha
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya
Nazar Mey Hai Kaaba To Dil Mey Madinah
Bhala Kaisey Doobeyga Meyra Safeena
Mujhey 'Ilm Ka Bhi Ataa Ho Khazeena
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya

19
Jeeyun Ban Key Maula Hameysha Mey Shakir
Inayat Habeeb e Khudaa Ki Ho Waafir
Baney Dil Bhi Zaakir Rasool e Khudaa Ka
Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya

20
SHAHEY BATHA TEYRA
By: Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Barelwi
Alaihir Rahmah

Wah Kya Jood-o-Karam Hai Shahey Batha Teyra


Nahi Sunta Hee Nahi Maangney Waala Teyra
Dhaarey Chaltey Hain Ataa Key Wo Hai Qatra Teyra
Taarey Khiltey Hain Sakhaa Key Wo Hai Zarrah Teyra
Aghniya Paltey Hain Dar Sey Wo Hai Baaraa Teyra
Asfiyaa Chaltey Hain Sar Sey Wo Hai Rastaa Teyra
Farsh Waaley Teyri Shaukat Ka Uloo Kya Jaaney
Khusrawaa Arsh Pey Urta Hai Phareyraa Teyra
Mey To Maalik Hee Kahunga Key Ho Maalik Key Habib
Yaani Mehboob-o-Mohib Mey Nahi Meyra Teyra
Terey Qadmon Mey Jo Hain Gheyr Ka Munh Kya Daikhain
Kaun Nazron Pey Charey Daikh Key Talwah Teyra
Eyk Mey Kya Merey Isyaan Ki Haqeeqat Kitnee
Mujh Sey Sau Lakh Ko Kaafi Hai Ishaara Teyra
Terey Tukron Pey Paley Gheyr Ki Thokar Pey Na Daal
Jhirkiyan Khaaye Kahaan Chor Key Sadqa Teyra
Tu Jo Chaahey To Abhee Meyl Merey Dil Key Dhuley
Key Khuda Dil Nahi Karta Kabhi Meyla Teyra

21
Haram-o-Taibah-o-Baghdad Jidhar Keejiye Nigaah
Jot Parti Hai Tiri Noor Hai Chantaa Teyra
Teyri Sarkaar Mey Laata Hai RAZA Uss Ko Shafee
Jo Meyra Ghaus Hai Aur Laadlaa Beyta Teyra

Sunni Dawat e Islami Quarterly is a publication


of the worldwide Ahle Sunnat Wal Jamaat
organisation, Sunni Dawat e Islami. This is your
magazine and is filled with the writings of the
brightest, most luminous Scholars nationally and
internationally. Sunni Dawat e Islami Quarterly is a
means to bring the teaching of the Quran and
Ahadith, along with the correct teachings of our pious
predecessors.
We urge you all to become members yourselves and
pass it onto family and friends and especially to
religious institutions.
Office Address: Sunni Dawat e Islami Quarterly
128 Shaida Marg, Mumbai 9.
Tel: 022-23434366
E-mail: sdiquarterly@rediffmail.com
UK Contact: Markaz SDI
Noor Mosque, Noor St, Preston.
Tel: (01772) 881786
E-mail: sdimagazine@shaw.ca

22
MADINAH AANEY WAALA HAI
By: Hazrat Allama Akhtar Raza Khan Azhari

Sambhal Jaa Ai Dil e Muztar Madinah Aaney Waala Hai


Lutaa Ai Chashm e Tar Gohar Madinah Aaney Waala Hai
Qadam Ban Jaaye Meyra Sar Madinah Aaney Waala Hai
Bichaun Rah Mey Nazar Bankar Madinah Aaney Waala Hai
Jo Deykhey Unka Naqsh e Paa Khuda Sey Wo Nazar Maangoon
Chirag e Dil Chaloo Leykar Madinah Aaney Waala Hai
Karam Unka Chala Yoon Dil Sey Kehta Raah e Taibah Mey
Dil e Muztar Tasalli Kar Madinah Aaney Waala Hai
Nichawar Hain Madiney Ki Yeh Meyra Dil Meyri Aankhain
Nichawar Hoon Madiney Par Madinah Aaney Waala Hai
Ilaahi Mey Talabgaar e Fanaa Hoon Khaak e Taibah Main
Ilaahi Kar Nisaar e Dar Madinah Aaney Waala Hai
Madiney Ko Chalaa Main Bey Niyaz Rehbar e Manzil
Raah e Taibah Hai Khud Rehbar Madinah Aaney Waala Hai
Mujhey Kheenchey Liye Jaata Hai Shauq e Koocha e Jaanaan
Kheenchaa Jaata Hoon Mey Yaksar Madinah Aaney Waala Hai
Wo Chamka Gumbad e Khazra Wo Shehr e Pur Ziyaa Aaya
Dhaley Ab Noor Mey Peykar Madinah Aaney Waala Hai
Jahan Sey Bey Khabar Ho Kar Chaloo Khuld e Madinah Mey
Chaloo Ab Hosh Ki Peekar Madinah Aaney Waala Hai

23
Madiney Mey Khuley Baab e Hayaat e Nau Batar Ze Noo
Badal Daalo Kahan Daftar Madinah Aaney Waala Hai
Talabgaar e Madinah Tak Madinah Khud Hee Aajaye
Tu Duniya Sey Kinaara Kar Madinah Aaney Waala Hai
Madinah Aagaya Ab Deyr Kya Hai Sirf Itni Si
Tu Khaali Kar Yeh Dil Ka Ghar Madinah Aaney Waala Hai
Falak Shaayad Zameen Par Reh Gaya Khaak e Guzar Ban Kar
Bichey Hain Raah Mey Akhtar Madinah Aaney Waala Hai
Fazaayain Mehki Mehki Hain Hawaayain Bheeni Bheeni Hain
Basee Hai Kaisee Mushk e Tar Madinah Aaney Waala Hai
Qamar Aaya Hai Shaayad Unkey Talwon Ki Ziyaa Leyney
Bichaa Hai Chaand Ka Bistar Madinah Aaney Waala Hai
Muhammad Key Gadaa Kuch Farsh Waaley Hee Nahin Deykho
Wo Aata Hai Shahey Khaawar Madinah Aaney Waala Hai
Gubaar e Raah e Anwar Kis Qadar Purnoor Hai Akhtar
Tanee Hai Noor Ki Chaadar Madinah Aaney Waala Hai

24
KAABEY KEY DAR KEY
SAAMNEY
By: Huzoor Nazmi Miyan Marahravi
Maddazillahul Aali

Kaabey Key Dar Key Saamney Maangi Hai Yeh Dua Faqat
Haathon Mey Hashr Tak Rahey Daaman e Mustafa Faqat
Apney Karam Sey Ai Khuda Ishq e Rasool Kar Ataa
Aakhree Dum Labon Pey Ho Salley Alaa Sadaa Faqat
Taibah Ki Seyr Ko Chalain Qadmon Mey Unki Jaan Dey
Dafn Ho Unkey Shehar Main Hai Yahi Ilteja Faqat
Naza Key Waqt Jab Meyri Saanson Mey Inteshaar Ho
Meyri Nazar Key Saamney Gumbad Ho Wo Haraa Faqat
Munkar Nakeer Qabr Mey Ham Sey Sawaal Jab Karain
Aisey Mey Wird Ham Rakhain Aap Key Naam Ka Faqat
Duniya Ki Saari Nematain Meyri Nazar Mey Heych Ho
Rakhney Ko Sar Pey Gar Miley Naalain e Mustafa Faqat
Naatain Rasool e Paak Hai Nazmi Ka Maqsad e Hayaat
Qabr Mey Bhi Labon Pey Ho Sarkaar Ki Sanaa Faqat

25
MUZDA E BAKHSHISH
Dil Ki Duniya Ko Sajaao Aaqa
Apni Ulfat Mey Jilaao Aaqa
Hubbey Duniya Sey Bachaana Mujh Ko
Mujh Ko Apna Hee Banaao Aaqa
Shauq e Deedar Mey So-Un Jis Shab
Apna Deedar Karaao Aaqa
Fikr e Duniya Mey Na Aansoo Nikley
Apni Ulfat Mey Rulaao Aaqa
Jitney Momin Hain Pareyshaan Shaaha
Sab Ki Bigri Ko Banaao Aaqa
Aakhri Dum Bhi Adaa Ho Sunnat
Peer Key Din Jo Qaza Ho Aaqa
Dil Tarapta Hai Huzoori Ko Huzoor
Sadqey Murshid Key Bulaao Aaqa
Mujh Ko Phir Dushmano Ney Gheyra Hai
Apney Daaman Mey Chupaao Aaqa
Shakir e Razvi Hai Aasi Shaaha
Muzda Bakhshish Ka Sunaao Aaqa

26
JAAM E KAUTHAR
Merey Sarkaar Madiney Mey Bulaatey Rehna
Gham e Duniya Gham e Uqba Sey Bachatey Rehna
Koi Mushkil Nahi Aisee Jo Na Taali Tum Ney
Merey Daata Meyri Bigri Ko Banaatey Rehna
Hashr Ki Pyaas Mujhey Jab Key Pareyshan Kardey
Jaam e Kauthar Ka Mujhey Aap Pilaatey Rehna
Kaash Jalwah Merey Aaqa Jo Dikhaayain Mujh Ko
Mey To Kehdunga Isey Aap Dikhaatey Rehna
Koi Neyki Nahi Daaman Mey Merey Ya Madani
Mujh Siyaah Kaar Ko Sarkaar Nibhaatey Rehna
Hai Masaa-ib Mey Ghiree Aap Ki Ummat Aaqa
Zulm-o-Zaalim Sey Isey Aap Bachaatey Rehna
Aaj Phir Sey Mujhey Taibah Ka Banaaya Zaa-ir
Meyri Qismat Ko Isee Tarha Jagaatey Rehna
Dar Pey Sarkaar Key Haazir Hain Gulam e Ajami
Laaj Is Ki Merey Mukhtaar Bachaatey Rehna
Aaj Taibah Sey Chala Hoon Mein Watan Ki Jaanib
Apney Dar Par Merey Mukhtar Bulaatey Rehna
Wehshat-e-Qabr Sey Ghabraaye Jo Shakir Aaqa
Thapkiyaan Deykey Usey Aap Sulaatey Rehna

27
MAINEY RUKH KAR LIYA
MADINEY KA
Mainey Rukh Kar Liya Madiney Ka
Kya Bigaarey Koi Safiney Ka
Chashmey Rehmat Paree Hai Mujh Par Bhi
Lutf Aayega Ab To Jeeney Ka
Apni Ulfat Ka Jaam Do Mujhko
Mast Kar Do Mujhey Madiney Ka
Jaanib e Naar Mey Na Jaaoonga
Mainey Rukh Kar Liya Madiney Ka
Aakhri Waqt Dafan Honey Ko
Deydo Tukra Mujhey Madiney Ka
Keyse Kehdoon Ke Be Sahaara Hoon
Mujh Ko Aaqa Milaa Madiney Ka
Deydo Taibah Ki Haazri Ka Sharaf
Meyra Maskan Banaa Madiney Ka
Abrey Rehmat Ko Ab Barasney Do
Daag Dhul Jaaye Merey Seeney Ka
Shakir e Bey Nawaa Ko Bhi Aaqa
Phir Sey Mehmaan Banaa Madiney Ka

28
Khwaaja e Khwaajgaan Ke Sadqey Mey
Main Musaafir Banaa Madiney Ka
Ghaus o Khwaaja Raza o Ibn e Raza
Naam Khuld e Bareen Ke Zeeney Ka
Hai Yehi Wird e Shakir e Razvi
Mainey Rukh Kar Liya Madiney Ka

29
TAMANNA E MADINAH
Nibhaalo Tum Nibhaalo Tum Nibhaalo Ya Rasool Allah
Bulaalo Ab Madiney Mey Bulaalo Ya Rasool Allah
Satatey Hain Jo Duniya Waley Is Ka Kuch Nahi Hain Gham
Mujhey Bas Apna Keh Kar Tum Bulaalo Ya Rasool Allah
Sunehri Jaaliyon Key Saamney Pohcha Hoon Mey Aaqa
Mujhey Apni Ziyaarat Tum Karaado Ya Rasool Allah
Meyri Qismat Buree Ho To Khudara Tum Bhalee Kardo
Sanwaaro Meyri Qismat Ko Sanwaaro Ya Rasool Allah
Ataa Ho Ilm Ki Daulat Ataa Ho Deed Ki Daulat
Damey Aakhir Madinah Bhi Ataa Ho Ya Rasool Allah
Shafaat Ka Sawali Hoon Sawali Hoon Mey Rehmat Ka
Ijaabat Sey Nawaazo Tum Nawaazo Ya Rasool Allah
Moin-e-Raah-e-Taiba Hain Merey Khwaja Moinuddeen
Moin-e-Raah-e-Jannat Bhi Banaado Ya Rasool Allah
Tasadduq Ghaus e Aazam Ka Tawassul Aala Hazrat Ka
Baqee-e-Paak Key Qaabil Banaado Ya Rasool Allah
Nigah-e-Mufti-e Aazam Ney Zindah Kardiya Dil Ko
Unhee Ka Saath Mehshar Mey Ataa Ho Ya Rasool Allah
Tamanna Yeh Liye Jaata Hai Aaqa Shakir e Razvi
Isey Izney Madinah Phir Ataa Ho Ya Rasool Allah

30
KARAM KARTEY HEE REHNA
T UM
Karam Kartey Hee Rehtey Ho Karam Kartey Hee Rehna Tum
Madiney Mey Bulaatey Ho Bulaatey Yunhi Rehna Tum
Tasawwur Mey Takhayyul Mey Madiney Aatey Jaatey They
Bulaaya Ab Madiney Mey Bulaatey Yunhi Rehna Tum
Gira Hoon Baarey Isyaan Sey Agisnee Ya Rasool Allah
Girey Ko Tum Uthaatey Ho Uthaatey Yunhi Rehna Tum
Gham-e-Ishq-e-Muhammad Mey Rahey Aankhain Hameysha
Nam
Pilaatey Jaam e Ulfat Ho Pilaatey Yunhi Rehna Tum
Nazar Key Saamney Haazir Hain Aaqa Aap Ka Mujrim
Mitaao Is Key Jurmo Ko Mitaatey Yunhi Rehna Tum
Mili Iftaar Ki Izzat Mujhey Phir Maah e Ramzan Mey
Khilaya Mujh Ko Qadmon Mey Khilatey Yunhi Rehna Tum
Miley Shab Qadr Ki Nemat Shahaa Hamza Key Sadqey Mey
Lutaatey Unka Sadqa Ho Lutaatey Yunhi Rehna Tum
Chala Hoon Phir Madiney Sey Liye Arman Yeh Dil Mey
Bulaana Jald Taibah Mey Bulaatey Yunhi Rehna Tum
Muradain Sab Ney Paayee Hain Isi Sarkaar Mey Aakar
Hansaya Tumney Roton Ko Hansatey Yunhi Rehna Tum

31
Karam Sey Aap Key Jaaga Pisar Ka Bakhtey Khufta Yun
Dikhaaya Usko Taibah Bhi Dikhaatey Yunhi Rehna Tum
Yeh Maana Mujrimo Aasee Tumhaara Shakir e Noorie
Nibhaatey Isko Rehtey Ho Nibhaatey Yunhi Rehna Tum

32
CHASHM E TAR CHAAHIYE
Dard e Dil Chaahiye Chashm e Tar Chaahiye
Mujh Ko Aaqa Ki Pyaari Nazar Chaahiye
Hai Munawwar Ziya Sey Yeh Saara Jahan
Sab Key Dil Ki Haqeeqat Hai Unpar Ayaan
Merey Dil Ki Tamanna Hai Jaan e Jahan
Noor Ki Eyk Kiran Ab Idhar Chaahiye
Sarwarey Do Jahan Ka Hai Behad Karam
Zaatey Waala Sey Qaayim Hai Mera Bharam
Mujh Ko Aaqa Dikhaatey Ho Apna Haram
Aap Ki Deed Ko Chashm e Tar Chaahiye
Khud Khudaa Ney Banaaya Hai Tum Ko Habeeb
Aur Uss Ney Banaaya Hai Tum Ko Tabeeb
Marz e Isyaan Sey Ab To Shifa Ho Naseeb
Sunnaton Par Amal Umr Bhar Chaahiye
Ya Nabi Mujh Pey Ho Eyk Karam Ki Nazar
Baar e Isyaan Sey Ab To Jhuki Hai Kamar
Koi Husn e Amal To Nahin Hai Magar
Mujh Ko Bakhshish Ka Zaad e Safar Chaahiye
Bheek Ilm o Amal Ki Ataa Keejiye
Apni Sunnat Ka Paikar Banaa Deejiye
Jaam e Ulfat Mujhey Ab Pilaa Deejiye

33
Waqt e Aakhir Mujhey Wo Nazar Chaahiye
Sharf e Khidmat Ataa Ho Gulaamon Ko Ab
Jitney Ushaaq Hain Sab Rahey Baa Adab
Khuld Maskan Baney Aur Raazi Ho Rab
Har Dua Mey Meyri Wo Asar Chaahiye
Jo Mujaahid Philisteen Mey Hain Shahaa
Aas Tum Par Laga Kar Hee Paayain Jilaa
Khaak Mey Zaalimon Ki Miley Ab Jafaa
Aashiqon Key Liye Ab Zafar Chaahiye
Mujh Ko Aaqa Madiney Bulatey Rahey
Shakir e Bey Nawaa Ko Nibhatey Rahey
Apna Mehmaan Hameysha Banaatey Rahey
Aakhree Waqt Mujh Ko Yeh Dar Chaahiye

34
NIGAH E REHMAT
Merey Aaqa Merey Sultan Madiney Waaley
Tum Pey Sau Jaan Sey Qurbaan Madiney Waaley
Deykh Kar Aap Key Gumbad Ka Wo Haseen Manzar
Nikley Dil Sey Sabhi Armaan Madiney Waaley
Zaa-ir e Qabr e Munawwar Ki Shafaaat Hogi
Hai Yahi Aap Ka Farmaan Madiney Waaley
Naat Mey Likhta Rahoon Naat Faqat Parhta Rahoon
Ho Yahi Zeest Ka Saamaan Madiney Waaley
Khidmat e Deen Key Jazbey Ko Salaamat Rakhna
Taakey Barhta Rahey Imaan Madiney Waaley
Shakir e Razvi Pey Aaqa Ho Nigah-e-Rehmat
Yeh Bechaara Hai Pareyshaan Madiney Waaley

35
DAMAN BICHA DIYE HAIN
Shah e Madinah Mujh Ko Taibah Bulaa Liye Hain
Soyee Huwi Thee Qismat Aaqa Jagaa Diye Hain
Qismat Pey Rashk Meyri Kartey Hain Sub Farishtey
Phir Sey Madiney Mujh Ko Aaqa Bulaa Liye Hain
Maanga Hai Jo Bhi Jab Bhi Uss Sey Siwa Milaa Hain
Jholi Ko Sab Ki Bhar Key Aaqa Dua Diye Hain
Eyk Ko Mili Sadaqat Eyk Ko Mili Adaalat
Sadqey Unhee Ka Deydo Daaman Bichaa Diye Hain
Uthman Ali Ka Sadqa Ilm o Amal Ataa Ho
Armaan Liye Yeh Dar Pey Bistar Jamaa Diye Hain
Shakir Pey Jab Bhi Chaaye Huzn o Alam Key Baadal
Aaqa Nibha Liye Hain Daata Bachaa Liye Hain

36
JASHN E MEELAD
Jashn e Meelad Hum Manaa Yaingey
Rab Sey Sadqa Nabi Ka Paa Yaingey
Door Dil Ki Siyahee Karney Ko
Mehfil e Naat Ham Sajaa Yaingey
Aaj Ki Shab Hai Rehmaton Ki Shab
Rab Ki Rehmat Mey Hum Nahaa Yaingey
Daikh Kar Qabr Mey Teyra Jalwah
Naat e Salley Alaa Sunaa Yaingey
Maang Deewaney Unsey Taibah Ko
Sadqey Meelad Key Bulaa Yaingey
Paak Karley Nigaah Ashkon Sey
Aaqa Jalwah Tujhey Dikhaa Yaingey
Kaash Mehshar Mey Aaqa Farmaadain
Aaja Shakir Tujhey Bachaa Yaingey

37
DARBAAR E RASOOL
Hai Karam Aap Ka Sarkaar Rasool e Arabi
Phir Dikhaaya Mujhey Darbaar Rasool e Arabi
Aisey Aasee Ko Banaaya Madiney Ka Mehmaan
Jo Hai Sartaapa Khataa Kaar Rasool e Arabi
Bhardo Aaqa Merey Aaqa Meyri Jholi Bhardo
Mey Bhi Hoon Haazir e Darbaar Rasool e Arabi
Sadqa Hasnain Ka Deydo Merey Aaqa Mujh Ko
Mey Karam Ka Hoon Talabgaar Rasool e Arabi
Waasta Pyaarey Raza Ka Tumhey Deytaa Hoon Shahaa
Apna Kehdo Sag e Darbaar Rasool e Arabi
Arz e Shakir Merey Aaqa Hai Yeh Waqt e Rukhsat
Phir Dikhaana Mujhey Darbaar Rasool e Arabi

38
SULTAN E DO JAHAAN
Aaya Hoon Ban Key Saa-il Sultan e Do Jahaan
Rehmat Ho Phir Sey Maa-il Sultan e Do Jahaan
Izzo Waqaar Deydo Islam o Muslimeen Ko
Mit Jaayain Saarey Baatil Sultan e Do Jahaan
Beykas Hoon Naatawaan Hoon Dar Par Mey Aagaya Hoon
Momin Banaado Kaamil Sultan e Do Jahaan
Maujon Key Ranj o Gham Mey Kashti Hai Yeh Phansee Hai
Mujh Ko Ataa Ho Saahil Sultan e Do Jahaan
Apni Wilaa Mey Mujh Ko Aisa Guma Do Aaqa
Khud Sey Rahoon Mey Gaafil Sultan e Do Jahaan
Duniya Key Shar Sey Mujh Ko Behr e Khudaa Bachaalo
Daaman Mey Karlo Daakhil Sultan e Do Jahaan
Ban Key Gadaa Hoon Haazir Nazr e Karam Ho Naazir
Deedaar Ab Ho Haasil Sultan e Do Jahaan
Jumla Muballigeen Ko Khairaat e Ilm Deydo
Sunnat Key Sab Ho Aamil Sultan e Do Jahaan
Tehreek Sunni Dawat e Islami Ko Hameysha
Nazron Mey Karlo Shaamil Sultan e Do Jahaan
Shaikheen Ka Tasadduq Ilm e Ladunni Deydo
Khashiyat Ho Rab Ki Haasil Sultan e Do Jahaan

39
Dar Pey Bulaatey Rehna Bigri Banaatey Rehna
Izzat Rahey Yeh Haasil Sultan e Do Jahaan
Giryan Hai Qalb e Shakir Kardo Karam Bhi Waafir
Apnon Mey Karlo Shaamil Sultan e Do Jahaan

MEHMAAN E MADINAH
Mujh Ko Taibah Bula Hee Leytey Hain
Apna Mangta Banaa Hee Leytey Hain
Merey Haalaat Unpey Hain Roshan
Tab To Bigri Banaa Hee Leytey Hain
Koi Husn e Amal Nahi Phir Bhi
Meyrey Aaqa Nibhaa Hee Leytey Hain
Jab Taraptaa Hai Deed Ko Koi
Apna Jalwa Dikhaa Hee Deytey Hain
Apney Shakir Ki Laaj Rakhtey Hain
Apna Mehmaan Banaa Hee Leytey Hain

40
KOO E NABI
Sallallaho Alaihi Wasallam

Sarkaar e Do Aalam Ki Nazar Mujh Pey Paree Hai


Pohchaa Hoon Wahan Khuld e Bareen Ki Jo Gali Hai
Aaya Jo Madiney Mey To Qismat Ney Pukaara
Bigri Huwi Taqdeer Yahan Aakey Banee Hai
Qadmon Ko Zara Hosh Sey Is Khaak Pey Rakhna
Yeh Koo-e-Nabi Hai Arrey Yeh Koo-e-Nabi Hai
Mehshar Ki Karee Dhoop Ka Khatka Nahi Mujh Ko
Chaadar Merey Sarkaar Key Geysu Ki Tanee Hai
Lillah Mujhey Apna Rukhey Zaibaah Dikhaado
Palkon Mey Meyri Deed Ki Khaatir Namee Hai
Aaqa Key Dar e Paak Key Mangtey Hain Malaa-ik
Maayoos Nahi Koi Yeh Darbaar e Nabi Hai
Dey Daaliye Mujh Ko Bhi Ghulaami Ki Sanad Ab
Bakhshish Ko Merey Shah Yeh Khairaat Baree Hai
Shab Rotey Huwey Sajdey Mey Sarkaar Guzaarain
Ummat Ki Ho Bakhshish Yahi Armaan e Nabi Hai
Allah Ko Mehboob Sey Kitni Hai Mohabbat
Haan Taaha Wa Yaaseen Mey Asraar e Jali Hai
Bulwatey Rahey Mujh Ko Madiney Mey Hameysha
41
Ummeed Meyri Aap Sey Sarkaar Yahi Hai
Aalam Mey Musalmaan Pareyshaan Hain Pareyshaan
Bey Cheyn Nazar Aap Key Dar Pey Hee Jamee Hai
Maangey Hee Chaley Jaao Yahan Milta Hain Sab Kuch
Kis Cheez Ki Dar Par Merey Maula Ki Kamee Hai
Shakir Na Ho Ghamgeen Teyri Jholi Bharain Gey
Moonh Maanga Mileyga Key Yeh Darbaar e Nabi Hai

42
KARAM HEE KARAM HAI
Karam Hee Karam Hai Karam Hee Karam Hai
Karam Hee Key Sadqey Sey Qaayam Bharam Hai
Meyrey Dil Shikasta Ki Aahain Suno Tum
Tumhaarey Hee Rab Ki Tumhain Ab Qasam Hai
Baras Jaayain Cheetain Mitey Dil Key Dhabbey
Tumhaarey Tasarruf Mey Abr e Karam Hai
Kahoon Kis Sey Jaa Kar Mey Gham Ki Kahaani
Meyrey Roobaroo Aap Hee Ka Haram Hai
Mujhey Apney Dar Par Bulaatey Hee Rehna
Tumhaari Hee Aadat To Jood o Karam Hai
Gunaahon Mey Dooba Hai Shakir Bechaara
Nibhaatey Ho Phir Bhi Yeh Shaan e Karam Hai
Shafaat Ka Saa-il Hai Shakir Tumhaara
Siwa Kaun Terey Shafee e Umam Hai

43
KARDO AAQA KARAM
Lab Pey Jaari Sadaa Kardo Aaqa Karam
Lab Pey Jaari Sadaa Kardo Aaqa Karam
Dar Pey Pohcha To Dil Ney Kaha Barmalaa
Maaf Ho Sab Khataa Kardo Aaqa Karam
Kis Ki Jaanib Chaloon Kis Ka Moonh Mey Takoon
Chor Kar Dar Teyra Kardo Aaqa Karam
Aap Haazir Bhi Hain Aap Naazir Bhi Hain
Yak Nazar Soo e Maa Kardo Aaqa Karam
Marz e Isyaan Sey Ab To Mey Choor Huwa
Deydo Kaamil Shifa Kardo Aaqa Karam
Kaun Deyta Hai Deyney Ko Moonh Chaahiye
Haath Phailaa Diya Kardo Aaqa Karam
Saa-il e Dar Huwa Shakir e Bey Nawaa
Ilm e Naafe Ataa Kardo Aaqa Karam
Jaaliyon Key Qareeb Shakir e Khush Naseeb
Aankh Kardee Hain Nam Kardo Aaqa Karam

44
SUNLO AAQA MEYREY
Ghamzado Ki Sadaa Sunlo Aaqa Meyrey
Eyk Nigah e Karam Kardo Aaqa Meyrey
Daag Seeney Ki Kis Ko Dikhaaye Huzoor
Phir Ilaaj e Jigar Kardo Aaqa Meyrey
Tishnagi Ilm Ki Roz Barhti Rahey
Ilm e Naafe Ataa Kardo Aaqa Meyrey
Dil Ki Dharkan Sey Aaye Sadaa e Durood
Kaif Aisa Ataa Kardo Aaqa Meyrey
Phir Chalaa Hoon Madiney Sey Rota Huwa
Rabbey Sallim Dua Kardo Aaqa Meyrey
Izzat e Haazri Mujh Ko Milti Rahey
Izn e Daayim Ataa Kardo Aaqa Meyrey
Haazir e Dar Huwa Shakir e Bey Nawaa
Maaf Jurm o Khataa Kardo Aaqa Meyrey
Saa-il e Dar Huwa Shakir e Bey Nawaa
Daaman e Aasiyan Bhardo Aaqa Meyrey

45
MEELAD KA MAHEENA
Shahey Deen Ki Meelad Ka Hai Maheena
Nibhaaya Mujhey Aur Bulaaya Madinah
Rahey Mujh Pey Rehmat Ka Aaqa Tasalsul
Talab Ka Nahin Mujh Mey Daata Qareenah
Mubarak Ho Yaum e Wiladat Mubarak
Gulaamon Ki Jaanib Sey Aaqa Mubarak
Khudaara Ataa Ho Hamey Bhi To Eidee
Miley Ham Ko Shah Ki Taraf Sey Mubarak
Nigah e Karam Mujh Pey Aaqa Ney Daali
Dikhayee Mujhey Apney Rozey Ki Jaali
Meyrey Dil Key Armaan Bhi Poorey Karaingey
Nahin Lota Is Dar Sey Koi Bhi Khaali
Mili Itnee Rifat Key Arsh e Bareen Par
Nishaan e Qadam Hai Yeh Uss Ki Jabeen Par
Mey Beytha Hoon Qadmon Mey Ab To Khudaara
Parey Naqsh e Paa Meyrey Dil Ki Zameen Par
Kharaa Hai Hawaadis Mey Shakir Tumhaara
Bajuz Aap Key Ab Nahin Hai Sahaara
Mitey Ranj o Gham Key Hain Jitney Bhi Baadal
Karam Ka Karain Ab Khudaara Ishaara

46
JAALI KEY SAAMNEY
Mujrim Huwa Hey Haazir Jaali Key Saamney
Nazrey Karam Ho Naazir Jaali Key Saamney
Jurm o Gunaah Merey Had Se Siwaa To Kya Gham
Bulwaa Liyaa He Aakhir Jaali Key Saamney
Hasnayn Key Tasadduq Qismat Chamak Gayi Ab
Mangtey Huwey Jo Haazir Jaali Key Saamney
Ban Jaaye Uski Bigri Jis Par Nazar Hey Daali
Iss Waastey Hoon Haazir Jaali Key Saamney
Kyun Kar Phiroon Mey Dar Dar Jab Hoon Teyra Gadaagar
Mangtaa Hoon Aagaya Phir Jaali Key Saamney
Maqbool Hogi Beshak Har Eyk Duaein Teyri
Maangi Hey Jo Bhi Shakir Jaali Key Saamney

47
YAA RASOOL ALLAH KARAM
Yaa Rasool Allah Karam Yaa Habeeb Allah Karam
Isyaan Mey Dooba Sar Basar Amaal Merey Hey Sifar
Sadqe Mey Ghaus e Paak Key Kardo Karam Ki Eyk Nazar
Allah Ke Ho Tum Habeeb Dono Jahaan Ke Ho Tabeeb
Sadqey Mey Ghaus e Paak Key Ho Rooh Ko Shifa Naseeb
Tum Ho Rasoolon Key Rasool Door Ho Ranj Aur Malool
Sadqey Mey Ghaus e Paak Ke Karlo Gulaamon Mey Qabool
Shakir Kharaa Hey Ye Huzoor Uss Ke Mita Do Sub Qusoor
Sadqey Mey Ghaus e Paak Key Daarain Mey Miley Suroor

48
BAKHSHISH KI DUA
Qismat Meyri Chamkaayi Hey Aaqa Ney Bulaakar
Jholi Bhi Meyri Bhardee He Daataa Ne Bulaakar
Bey Misl Sakhi Tum Ho To Main Adnaa Bhikaari
Hasnain Ka Sadqa Do Mujhey Dar Pey Bithaa Kar
Hey Aarzoo Itni Key Rahoon Dar Ka Hee Mangtaa
Rakhna Merey Aaqa Mujhey Apnaa Hee Banaa Kar
Apni Hee Nigaahon Ki Nigehbaani Mey Rakhna
Iss Beykas o Majboor Ko Adaa Sey Bachaa Kar
Keh Dijye Shaamil Hey Gulaamon Mey Tu Shakir
Beytha Hoon Main Chowkhat Pey Yehi Aas Lagaa Kar
Jaaooka Sunaa Mey Ney Chala Aaya Main Aaqa
Kar Dijye Bakhshish Ki Dua Lub Ko Hilaa Kar
Jub Hashr Mey Shakir Ho Pareyshaan To Maulaa
Rakh Leyna Usey Apney Hee Daaman Mey Chupaa Kar

49
TUM PEY QURBAAN BULAANEY
WAALEY
Tum Pey Qurbaan Bulaaney Waaley
Bakhtey Khufta Ko Jagaaney Waaley
Naar e Dozakh Ka Nahin Khauf Mujhey
Woh Salaamat Hey Bachaaney Waaley
Koi Poochey Yaa Na Poochey Mujhko
Shaah e Taibah Hey Nibhaaney Waaley
Garmee e Hashr Se Ghabraaye Kyun
Woh Hey Daaman Mey Chupaaney Waaley
Teyrey Sadqey Mey Meyri Baat Bani
Khotey Sikkey Key Chalaaney Waaley
Kaif Jannat Ka Milaa Dar Pey Terey
Kyaari Jannat Ki Dikhaaney Waaley
Dey Key Leyna Nahi Aadat Teyri
Mujhko Jannat Mey Bithaaney Waaley
Hey Mareezon Ki Shifaa Naat e Nabi
Woh Hey Burdah Key Urhaaney Waaley
Sharbat e Deed Pilaado Aaqa
Jaam e Kausar Ke Pilaaney Waaley

50
Ilm e Naafi Ki Miley Bheek Mujhey
Rub Ki Nemat Key Lutaaney Waaley
Hogayi Qabr Munawwar Meyri
Rukh e Anwar Key Dikhaaney Waaley
Hogayi Phir Se Mayassar Chowkhat
Mujhko Qadmon Mey Bithaaney Waaley
Ban Gaye Merey Yahaan Bigrey Kaam
Tum Ho Roton Ko Hansaaney Waaley
Kufr Kaafir Sey Chutaa Mulk e Hijaaz
Shame Tauheed Jilaaney Waaley
Phir Chalaa Hoon Main Watan Ki Jaanib
Jald Bulwaana Bulaaney Waaley
Shakir e Razvi Pey Hey Khaas Karam
Kehtey Hey Ab To Zamaaney Waaley

51
YAA RASOOL ALLAH SHAFQAT
KEEJIYE
Yaa Rasool Allah Shafqat Keejiye
Aasiyon Par Nazr e Rehmat Keejiye
Daafae Jumla Bala Hain Aap Hee
Gham Ko Aaqa Jald Rukhsat Keejiye
Roz e Mahshar Lub Pey Hogi Yeh Sadaa
Shaafae Ummat Shafaaat Keejiye
Dar Key Tukron Sey Guzaara Hey Meyra
Rizq Mey Meyri Bhi Wusat Keejiye
Ilm e Naafi Ho Ataa Mujh Ko Huzoor
Door Mujh Sey Ab Jihaalat Keejiye
Qalb Muztar Ki Sadaa Hai Bus Yahi
Taibah Mey Madfan Inaayat Keejiye
Jaa Rahaa Hoon Phir Madiney Sey Huzoor
Jald Phir Aaoon Woh Soorat Keejiye
Daaman e Shakir Hey Pheylaa Ai Kareem
Sadqa Acchon Ka Inaayat Keejiye

52
MADINEY KA MANGTAA
Mujhey Meyrey Aaqa Bulaatey Rahaingey
Madiney Ka Mangtaa Banaatey Rahaingey
Dikhaa Sabz Gumbad To Boli Yeh Aankhain
Key Palkon Key Moti Lutaatey Rahaingey
Jinhey Ishq e Ahmed Ki Daulat Mili Hai
Unhain Simt e Jannat Bulaatey Rahaingey
Mujhey Qabr Ki Ab Nahi Koi Wehshat
Huzoor Apna Jalwah Dikhaatey Rahaingey
Hai Aizaaz Chaukhat Pey Baitha Hoon Unki
Yeh Qaasim Hain Nemat Lutaatey Rahaingey
Huwa Tum Pey Ramzan Mey Naazil Yeh Quran
Sunain Gey Usey Aur Sunaatey Rahaingey
Baney Wird e Salley Alaa Jis Ki Aadat
Usey Apna Keh Kar Bulaatey Rahaingey
Hai Shakir Ko Aaqa Karam Par Bharosa
Yahaan Bhi Wahaan Bhi Bachaatey Rahaingey

53
QADMON MEY BAITH KAR
Chaayaa Hai Kaif Dil Par Qadmon Mey Baith Kar
Hai Auj Par Muqaddar Qadmon Mey Baith Kar
Khushboo e Mustafa Sey Aalam Mehak Raha Hai
Main Bhi Huwa Muattar Qadmon Mey Baith Kar
Taskeen e Qalb Mujh Ko Phir Sey Huwi Hai Haasil
Roodaad e Gham Sunaa Kar Qadmon Mey Baith Kar
Kya Ab Bhi Meyrey Rab Ka Mujh Par Karam Na Hoga
Pheyley Hain Haath Dar Par Qadmon Mey Baith Kar
Taibah Mey Rehmaton Ki Baarish Baras Rahi Hai
Deykha Hai Pyaara Manzar Qadmon Mey Baith Kar
Ghaus o Raza Key Sadqey Khwaaja Piya Key Sadqey
Iftaar Hai Mayassar Qadmon Mey Baith Kar
Noor e Nabi Sey Aalam Roshan Huwa Hai Shakir
Dil Bhi Huwa Munawwar Qadmon Mey Baith Kar
Sultan e Do Jahan Ka Tujh Par Karam Hai Shakir
Aankhain Huwi Hain Phir Tar Qadmon Mey Baith Kar

54
KHWAJA E KHWAAJGAAN
Aagaya Hai Gadaa Shah e Hindustan
Yak Nazar Soo e Maa Khwaja e Khwaajgaan
Auliya o Qutub Dey Rahey Hai Sadaa
Yak Nazar Soo e Maa Khwaja e Khwaajgaan
Zaahid o Muttaqi Keh Rahey Hain Sabhi
Yak Nazar Soo e Maa Khwaja e Khwaajgaan
Aap Ibn e Ali Intikhaab e Nabi
Yak Nazar Soo e Maa Khwaja e Khwaajgaan
Tum Sakhi Ho Meyrey Mey Bhikaari Teyra
Yak Nazar Soo e Maa Khwaja e Khwaajgaan
Baa Adab Mey Madiney Mey Jaata Rahoon
Kardo Aisee Dua Khwaja e Khwaajgaan
Shakir e Bey Nawaa Keh Rahaa Hai Yahi
Yak Nazar Soo e Maa Khwaja e Khwaajgaan

55
YAA SHAAH E SANJARI
Bigri Meyri Banaado Yaa Shaah e Sanjari
Ranj o Alam Mitaado Yaa Shaah e Sanjari
Kitna Karam Hai Mujh Ko Apna Bana Liyaa Hai
Qismat Meyri Jagaado Yaa Shaah e Sanjari
Par Hai Na Paas Zar Hai Bas Aap Ki Nazar Hai
Taibah Mujhey Dikhaado Yaa Shaah e Sanjari
Ishq e Nabi Mey Aaqa Saabit Qadam Rahain Hum
Bil Khair Khaatima Ho Yaa Shaah e Sanjari
Phir Hind Ki Zameen Mey Zaalim Ubhar Rahey Hain
Teer e Nazar Chalaado Yaa Shaah e Sanjari
Tehreek e Sunni Dawat e Islami Ko Huzoor
Aalam Mey Ab Chalaado Yaa Shaah e Sanjari
Husn e Amal Sey Qaasir Dar Pey Khara Hoon Main
Apna Mujhey Banaalo Yaa Shaah e Sanjari
Shakir Pey Bhi Inaayat Farmaaye Huzoor
Khwaabidah Dil Jagaa Do Yaa Shah e Sanjari

56
MANQABAT E AALA HAZRAT
Ahmed Raza Ney Faiz Ka Daryaa Bahaa Diyaa
Hubbey Nabi Sey Dil Ko Madinah Banaa Diyaa
Khidmat Nabi Key Deen Ki Kuch Is Tarha Sey Ki
Bidaat o Munkaraat Ka Qila Giraa Diyaa
Azmat Bithaa Di Aap Ney Aaqa Ki Qalb Main
Badley Mey Rab Ney Aap Ko Aala Diyaa
Naamoos e Mustafa Ki Hifaazat Key Waastey
Meyrey Raza Ney Apnaa Sabhi Kuch Lutaa Diyaa
Jaan e Muraad Kaan e Tamanna Huzoor Hain
Apna Aqeedah Aap Ney Kaamil Banaa Diyaa
Ad Daulatul Makkiyah Hai Burhaan e Ilm e Ghaib
Ilm e Nabi Ka Aap Ney Sikka Bithaa Diyaa
Shakir Teyra Ehsaan Na Bhooleyga Hashr Tak
Ishq e Nabi Main Dil Ko Tarapna Sikhaa Diyaa

57
YAA MUSTAFA RAZA KHAN
Bigri Meyri Banaado Yaa Mustafa Raza Khan
Ranj o Alam Mitaado Yaa Mustafa Raza Khan
Ilm o Amal Key Paikar Taqwa Key Ho Samandar
Qatrah Mujhey Ataa Ho Yaa Mustafa Raza Khan
Khaali Hai Meyri Jholi Haazir Hai Yeh Sawali
Dastey Karam Barhaado Yaa Mustafa Raza Khan
Pyaarey Nabi Ki Ulfat Dil Mey Rahey Salaamat
Dil Ko Meyrey Jilaado Yaa Mustafa Raza Khan
Shakir Key Dil Sey Aaqa Hubbey Jahan Mitaado
Ishq e Nabi Ataa Ho Yaa Mustafa Raza Khan

STANZA
Idhar Naat e Khairul Waraa Ho Rahi Hain
Udhar Magfirat Ki Dua Ho Rahi Hai
Yeh Faizaan Naat e Nabi Ka Hai Shakir
Karam Ho Raha Hai Ataa Ho Rahi Hai

58
LAAKHON SALAAM
Mustafa Jaan e Rehmat Pey Laakhon Salaam
Shame Bazm e Hidayat Pey Laakhon Salaam
Shehr e Yaar e Iram Taajdaar e Haram
Nau Bahaar e Shafaaat Pey Laakhon Salaam
Shab e Asraa Key Dulhaa Pey Daayam Durood
Nausha e Bazm e Jannat Pey Laakhon Salaam
Ham Ghareebon Key Aaqa Key Beyhad Durood
Ham Faqeeron Ki Sarwat Pey Laakhon Salaam
Neechi Nazron Ki Sharm o Haya Par Durood
Oonchi Beeni Ki Rifat Pey Laakhon Salaam
Patli Patli Guley Quds Ki Pattiyaan
Un Labon Ki Nazaakat Pey Laakhon Salaam
Jis Sey Taareek Dil Jagmagaa Ney Lagey
Uss Chamak Waali Rangat Pey Laakhon Salaam
Jis Suhaani Gharee Chamka Taibah Ka Chand
Uss Dil Afroz Saaat Pey Laakhon Salaam
Kaash Mehshar Mey Jab Unki Aamad Ho Aur
Bheyjey Sab Unki Shaukat Pey Laakhon Salaam
Mujh Sey Khidmat Key Qudsi Kahain Haan Raza
Mustafa Jaan e Rehmat Pey Laakhon Salaam

59
MUNAJAAT
Yaa Ilaahi Har Jagah Teyri Ataa Ka Saath Ho
Jab Parey Mushkil Shahey Mushkil Kushaa Ka Saath Ho
Yaa Ilaahi Bhool Jaaoon Naza Ki Takleef Ko
Shaadiye Deedar Husney Mustafa Ka Saath Ho
Yaa Ilaahi Gor e Teerah Ki Jab Aaye Sakht Raat
Un Key Pyaarey Moonh Ki Subhey Jaan Fizaa Ka Saath Ho
Yaa Ilaahi Jab Zubaaney Baahar Aaye Pyaas Sey
Saahib e Kausar Shahey Jood o Ataa Ka Saath Ho
Yaa Ilaahi Jab Parey Mehshar Main Shor e Daar o Geer
Amn Deyney Waaley Pyaarey Paishwaa Ka Saath Ho
Yaa Ilaahi Garmee e Mehshar Sey Jab Bharkey Badan
Daaman e Mehboob Ki Thandi Hawa Ka Saath Ho
Yaa Ilaahi Naama e Aamaal Jab Khulney Lagey
Aib Poshey Khalq Sattaar e Khataa Ka Saath Ho
Yaa Ilaahi Jab Bahain Aankhein Hisaab e Jurm Mey
Un Tabbasum Raiz Hoton Ki Dua Ka Saath Ho
Yaa Ilaahi Rang Laaye Jab Meri Bey Baakiyan
Unki Neechi Neechi Nazron Ki Hayaa Ka Saath Ho
Yaa Ilaahi Jab Chaloo Taareekh Raah e Pul Siraat
Aaftaab e Haashmi Noorul Huda Ka Saath Ho
60
Yaa Ilaahi Jab Sar e Shamsheer Par Chalna Parey
Rabbey Sallim Kehney Waaley Gham Zuda Ka Saath Ho
Yaa Ilaahi Jo Duain Naik Main Tujh Sey Karoon
Qudsiyon Key Lab Sey Aameen Rabbana Ka Saath Ho
Yaa Ilaahi Jab Raza Khwaab e Giraan Sey Sar Uthaaye
Daulat e Beydaar Ishqey Mustafa Ka Saath Ho

AAMEENAAMEENAAMEEN

61
SOME DUROOD SHAREEFS and
THEIR BENEFITS
There is no doubt that the blessings which are found in the Ahadith are
the best ones to recite, simply because they were taught by the blessed
tongue of Rasool Allah Sallallaho Alaihi Wasallam. Some Scholars have
stated that the best blessing is the blessing that is recited in Prayer
(Salaah) after Attahhiyaat. This blessing has been mentioned in
many Ahadith with various details. It is sufficient for all needs, and is
the most famous of blessings. It is as follows:

Allahumma Salli Alaa Muhammadiw Wa Alaa Aali


Muhammadin Kamaa Sallayta Alaa Ibraaheema Wa
Alaa Aali Ibraaheema Innaka Hameedum Majeed.
Allahumma Baarik Alaa Muhammadiw Wa Alaa Aali
Muhammadin Kamaa Baarakta Alaa Ibraaheema Wa
Alaa Aali Ibraaheema Innaka Hameedum Majeed.

62
DUROOD E TAAJ

63
Allahumma Salley Alaa Muhammadin Saahibit
Taajey Wal-Meraaji Wal Buraaqi Wal Alam. Daafiil
Balaa-i Wal Wabaa-i Wal Qahti Wal Marada Wal
Alam. Ismuhoo MaktoobamMarfooam Mashfooam
Manqooshan Fil Lauhi Wal Qalam. Sayyadil Arabi
Wal Ajam. Jismuhoo Muqaddasum Muattarum
Mutahharum Munawwarun Fil Bayti Wal Haram.
Shamsid Duhaa Badrid Dujaa Sadril Ulaa Nooril
Hudaa Kahfil Waraa Misbaahiz Zulam. Jameelish
Shiyam; Shafeeil Umam; Saahibil Joodi Wal Karam.
Wallaahu Aasimuhoo Wa Jibreelu Khaadimuhoo Wal
Buraaqu Markabuhoo Wal Miraaju Safaruhoo Wa
Sidratul Muntahaa Maqaamuhoo Wa Qaaba Qausayni
MatloobuhooWal Matloobu Maqsooduhoo Wal
Maqsawdu Mawjawduhu Sayyadil Mursaleena
Khaatamin Nabiyyeena Shafeeil Mudhnibeena Aneesil
Ghareebeena Rahmatil Lil Aalameena Raahatil
Aashiqeena Muraadil Mushtaaqeena Shamsil
64
Aarifeena Siraajis Saalikeena Misbaahil Muqarrabeena
Muhibbil Fuqaraa-i Wal Ghurabaa-i Wal Masaakeeni
Sayyedith Thaqalaini Nabiyyil Haramaini Imamil
Qiblataini Waseelatinaa Fid Daarayni Saahibi Qaaba
Qausayni Mahboobi Rabbil Mashriqayni Wal
Maghribayni Jaddil Hasani Wal Hussaini Maulaana
Wa Maulath Thaqalayni Abil Qaasimi Muhammadibni
Abdillaahi Noorim Min Nooril Laah. Yaa Ayyuhal
Mushtaaqoona Bi-Noori Jamaalihi Salloo Alaihi Wa
Aalihee Wa Ashaabihee Wa Sallimoo Tasleemaa.

BENEFITS OF DUROOD E TAAJ


The above mentioned Durood has countless excellences and benefits. It
is impossible to list them all in this small booklet; however, we will
mention some of the benefits and excellences briefly.
If a person wants to be blessed with a vision (Ziyarat) of Rasool
Allah Sallallaho Alaihi Wasallam, on the first Friday (Shab e Juma
night before Friday) perform Isha Prayer, wear clean clothes, put
on Itr, and sit facing the Qibla. Recite this Durood 170 times and
go to sleep. You should do this for 11 nights and Insha Allah, you
will be blessed with seeing Rasool Allah Sallallaho Alaihi Wasallam.
For increased livelihood (Rizq), make it a habit to recite it seven
times after the morning (Fajr) Prayer. There will be great
blessings in income, Insha Allah.

65
For a pure heart, make it a habit to recite it 7 times after Fajr, 3
times after Asr, and 3 times after Isha.

DUROOD E RAZVIA

Sallallaho Alan Nabiyyil Ummiyyi Wa Aalihi


Sallallaho Alaihi Wasallam
Salaataw Wa Salaaman Alaika Yaa Rasool Allah.
(Sallallaho Alaihi Wasallam)

There are forty benefits of this blessing, which are proven from
authentic and credible Hadith. Due to a lack of space, only a few of
them are being mentioned here. The person who recites the above
Durood will be entitled to all the benefits, including the following:
He will have two thousand salutations bestowed on him.
Five thousand rewards will be entered into his book of deeds.
Five thousand of his sins will be wiped away.
Rasool Allah Sallallaho Alaihi Wasallam will shake his hand on the
Day of Judgement.
On his forehead will be written that he is not a hypocrite.
It will be written on his forehead that he is free from the fire of
Hell.

66
DUROOD FOR INCREASED
LIVELIHOOD (RIZQ)

Allahumma Salli Alaa Muhammadin Abdika Wa


Rasoolika Wa Salli Alal Momineena Wal Mominaati
Wal Muslimeena Wal Muslimaat.
The person who desires that his wealth and properties increase and
have more blessings in them should recite the above Durood Shareef.
(Zaadaas Saeed)

MEANS OF FORGIVENESS
Imam Ismail bin Ibrahim Mazni saw Hazrat Imam Shafaee in his
dream and asked him, How did Allah Taala treat you? Hazrat Imam
Shafaee replied that, On the basis of the following Durood, Allah
Taala forgave me and ordered that I should be taken to Paradise with
respect and courtesy. (Zaadaas Saeed)
The Durood is as follows:

67
Allahumma Salli Alaa Muhammadin Kullamaa
Dhakarahudh Dhaakiroona Wa Kullamaa An Dhikrihil
Ghaafiloon.

DUROOD FOR FREEDOM FROM


HELL
Hazrat Khallaad Rehmatullahe Taala Alaihi used to recite the following
Durood Shareef 1000 times every Friday. After he passed away, a piece
of paper was found under his pillow on which was written that
Khallaad bin Katheerah is free from the fire of Hell.

Allahumma Salli Alaa Muhammadi Nin Nabiyyil


Ummiyyee Wa Alaa Aalihee Wa Sallim.

TO SAFEGUARD FAITH
The faith (Iman) of the person who makes it a habit to recite the
following Durood 50 times every day and 50 times every night will be
safeguarded.

68
Allahumma Salli Alaa Muhammadiw Wa Alaa Aali
Muhammadin Salaatan Daa-imatam Bi Dawaamika.

DIFFICULTIES REMOVED
If a person is embroiled in difficulties, he should sit in seclusion (alone)
and recite the following Durood 1000 times, recite Kalimah e Tayyiba
1000 times, and make sincere supplication (Dua) to Allah Taala;
Insha Allah, the difficulty will be removed:
Allahumma Salli Alaa Muhammadin Kamaa Huwa

Ahluhoo Wa Mustahiqquhoo.

SINS OF 80 YEARS FORGIVEN


Rasool Allah Sallallaho Alaihi Wasallam stated that the person who recites
the following Durood will have 80 years worth of sins forgiven:

Allahumma Salli Alaa Muhammadin Abdika Wa


Rasoolikan Nabiyyil Ummeeyy.

REWARD FOR RECITING


DUROOD CONSTANTLY
69
Shaikh ul Islam Abul Abbas Rehmatullahe Taala Alaihi stated that
whosoever recites this Durood Shareef three times during the day and
the night, it is as though he has sent blessings throughout the day and
night.

Allahumma Salli Alaa Muhammadin Fee Awwali


Kalaaminaa Allaahumma Salli Alaa Muhammadin Fee
Awsati Kalaamina Allaahumma Salli Alaa
Muhammadin Fee Aakhiri Kalaamina.

ANGELS SEEK FORGIVENESS


70 thousand Angels seek forgiveness for a thousand days for the person
who makes it a habit to constantly recite the following:

Jazal Laahu Taala Annaa Muhammadan Sallal


Laahu Alaihi Wa Sallam Maa Huwa Ahluhoo.

DUROOD E SHIFAA
70
The person who recites the following Durood Shareef will be cured of
all physical and spiritual illnesses:

Allahumma Salli Alaa Sayyedina Muhammadin


Tibbil Quloobi Wa Dawaa Ihaa Wa Aafiyatil Abdaani
Wa Shifaa Ihaa Wa Nooril Absaari Wa Diyaa Ihaa Wa
Alaa Aalihi Wa Sahbihi Wa Sallim.

REWARD OF SIX HUNDRED


THOUSAND DUROODS
Imam Suyuti Rehmatullahe Taala Alaihi writes that whosoever recites the
following Durood Shareef once, then he gets the reward of reciting
Durood Shareef 600,000 times:

71
Allahumma Salli Alaa Sayyidina Muhammadin
Adada Maafee Ilmil Laahi Salaatan Daa-imatam Bi
Dawaami Mulkil Laah.

DUROOD E KAMAALIYA
Reciting the following once earns the reward of reciting Durood
Shareef seventy thousand times. If a person suffers from loss of
memory, they should keep reciting this between Maghrib and Isha
prayers, without a limit on quantity; Insha Allah, this illness will be
cured and memory will also improve.

Allahumma Salli Wa Sallim Wa Baarik Alaa


Sayyedina Muhammadinin Nabiyyil Kaamili Wa Alaa
Aalihee Kamaa Laa Nihaayata Li Kamaa Lika Wa
Adada Kamaa Lihee.

DUAS OF THE PROPHET


Sallallaho Alaihi Wasallam
72
The person who makes it his habit to recite the following Dua
regularly will achieve success in this world and the hereafter:

Allahumma Rabbanaa Aatinaa Fid Dunyaa


Hasanataw Wafil Aakhirati Hasanataw Waqinaa
Adhaaban Naar.

FREEDOM FROM ALL


CALAMITIES
Rasool Allah Sallallaho Alaihi Wasallam said, Nothing in the world will be
able to harm the person who recites the following supplication three
times every morning and night:

Bismillaahil Ladhee Laa Yadurru Maas Mihee Shay-


un Fil Ardi Walaa Fis Samaa-i Wahuwas Sameeul
Aleem.

73
DUA AT TIME OF DISTRESS
Hazrat Abdullah bin Abbas Radiallaho Taala Anhuma reports that
whenever Rasool Allah Sallallaho Alaihi Wasallam was distressed or worried
about anything, he would recite the following supplication:

Laa Ilaaha Illal Laahul Haleemul Hakeemu Laa Ilaaha


Illal Laahu Rabbul Arshil Adheemi Laa Ilaaha Illal
Laahu Rabbus Samaawaati Wal Ardi Warabbul Arshil
Kareem.

CURE FROM ILLNESSES


It is reported that Abdul Aziz bin Suhaib and Thaabit Bunaani
Radiallaho Taala Anhuma came to the Companion Hazrat Anas Radiallaho Taala
Anhu. Thaabit Bunaani said, O Abu Hamza (Anas)! I have become
ill. Hazrat Anas Radiallaho Taala Anhu said, Should I not blow away
your illness with the supplication that Rasool Allah Sallallaho Alaihi
Wasallam used to recite and blow on people to cure them of their
illnesses? Thaabit Bunaani replied, Please do. After this, Hazrat
Anas Radiallaho Taala Anhu recited the following supplication:

74
Allahumma Rabban Naasi Mudh-hibal Ba-sishfi
Antash Shaafi Laa Shaafiya Illaa Anta Shifaa-al Laa
Yugaadiru Saqamaa.

DUA TO RECEIVE BETTER


Ummul Mumineen Hazrat Umm e Salma Radiallaho Taala Anha reports
that she heard Rasool Allah Sallallaho Alaihi Wasallam say that if a Muslim
recites the following supplication upon being inflicted with any
difficulty, Allah Taala will grant them better than what they had
before:

Innaa Lillaahi Wa Innaa Ilayhi Raajeoon.


Allahumma Ajirnee Fee Museebatee Wakhluf Lee
Khayram Minhaa.
DUA TO PAY OFF DEBTS
Hazrat Abu Umaamah Radiallaho Taala Anhu narrated that Rasool Allah
Sallallaho Alaihi Wasallam asked him, Should I not teach you a supplication,
through the recitation of which Allah Taala will remove all your
anxieties and your debts will be paid off? Hazrat Abu Umamah

75
Radiallaho Taala Anhu replied, Why not? Please teach me. Rasool Allah
Sallallaho Alaihi Wasallam said, Recite the following every morning and
every evening.
Allahumma Inni Aoodhubika Minal Hammi Wal
Huzni Wa-Aoodhubika Minal Ajzi Wal Kasli Wa
Aoodhubika Minal Jubni Wal Bukhli Wa-Aoodhubika
Min Ghalbatid Dayni Wa Qaharir Rijaal.

DUA TO HAVE CHILDREN

Huwal Ladhee Yusaw Wirukum Fil Arhaami Kayfa


Yashaa-u Laa Ilaaha Illaa Huwal Azeezul Hakeem.
Ablution should be performed and the above verse recited with Durood
Shareef 11 timed before and after the verse. A black pepper should then
be blown on and given to the lady to eat; this is very beneficial and
helpful in conceiving.

WEALTH AND PROSPERITY


The person who desires to be rich and prosperous should recite the
following 25 times every day after Fajr Prayer with presence of mind
and heart. Insha Allah, in just a few short days, his difficulties will be
removed and he will become wealthy and prosperous.

76
Idhaa Jaa-a Nasrul Laahi Wal Fath. Wa Ra-Aytan
Naasa Yad Khuloona Fee Deenil Laahi Afwaajaa.
Fasabbih Bihamdi Rabbika Wastaghfirh. Innahu Kaana
Tawwaabaa.

SUNNI DAWAT E ISLAMI


AIMS and OBJECTIVES
Bringing people closer to the Quran and Rasool Allah Sallallaho
Alaihi Wasallam.

Reformation of faith and deeds.


Strive & struggle to act upon the teachings of the Quran and the
Blessed Sunnahs of Sayyedina Rasool Allah
Sallallaho Alaihi Wasallam

Populate and keep the Mosques full through Salaah.


Tackling and finding a solution for the increasing non-
performance of religious duties.
Creating awareness of the requirements of the religion of Islam

77
Loving the young, respecting the elders, and serving humanity.
Eliminating illiteracy and ignorance through education and
reformation of characters.
To establish branches of Sunni Dawat e Islami in your area, please
contact the worldwide headquarters. Join in the weekly gatherings
(Ijtemas) every Saturday after Isha Salaah at Markaz Ismail Habib
Mosque.

WORLDWIDE HEADQUARTERS
Ismail Habib Masjid. 126 Kambekar St, Mumbai 3.

SUNNI DAWAT E ISLAMIS


16th ANNUAL SUNNI IJTEMA

Date: 1st, 2nd, 3rd December 2006.

At: Wadi e Noor, Azad Maidan,


Opp V.S. Station, Mumbai.

For Ladies: Friday 1st Dec After Juma until Isha


78
For Men: Saturday 2nd Dec Fajr until Isha on
Sunday 3rd Dec

All are requested to participate in the glorious Ijtema

Invitee: Maulana Mohammed Shakir Ali Noorie


(Ameer Sunni Dawat e Islami)

79

You might also like