You are on page 1of 2

Abu Salate Abdus Saalam Bin Saleh Harvi se Marvi hai Unhone Kaha Humse Imam Ali bin

Moosa
Raza ne Bayan kiya, Unhone Apne Walid Imam Moosa Kazim se riwayat kiya, Unhone Imam Jafar
Sadiq se Unhone Apne Walid Imam Muhammad Baqir se unhone Apne Walid Imam Ali bin
Hussain (Zain al-Abeddin) se Unhone apne Walid Imam Hussain se unhone Maula Imam Ali se
riwayat kiya Unhone Rasool Allah ‫ صلی اللہ تعالی علیه وآله وسلم‬se riwayat karte huwe kaha ke
Hazoor Nabi Kareem ‫ علیه الصلوة والسلما‬ne Farmaya Imaan Dil se Pehchanne, Zuban se
Iqrar karne aur Arkane Islam par Amaal karne ka Naam Hai..

‫❤ علیهما الصلوة والسلما‬

Rawi ne Is Sanad aur Matan ko Naqal karne ke Baad kaha hai

‫لو قدی ھذا السناد علی مجنون لبرا‬.

Ya'ani "Agar Ye Sanad Pagal Par Padhkar Dam ki Jaaye to wo Theek Ho Jaaye".

"Mu'jamal Awsat Jild 6 Hadeeth Number 6254"

"Shuab ul Imaan Jild 1 Hadeeth Number 16"

Aayiye Dekhte hain ke Rawi ke Mutaliq Kin kin Muhadditheen wa Fuqaha ne Inhe Siqa
aur Sadooq kaha hai

1) Imam Yahya Bin Moin ‫ رضی ا تعالی عنه‬sane Wafat 233 Hijri ne Inhe Siqa aur Sadooq
Qaraar dete huwe Farmate hain ke ye Aise Shaqs Nahi Hai Jisko Jhutlaya jaaye.

"Mizan al Aytedal 4 : 348"

2) Imam Daarqutani ne Inhe Siqa kaha aur Imam Ahmed bin Hanbal ne Inhe Sadooq
kaha hai Imam Nasai aur Imam Ibne Ma'jah ne bin Inse Riwayat kiya hai..

‫رضوان ا تعالی علیهما اجمعین‬

"Sharah Sunan Ibn Maaja 1 : 8, Imam Suyuti ‫"رضی ا تعالی عنه‬

3) Imam ul Muhadditen Ahmed bin Abdullah bin Ajali ‫ رضی ا تعالی عنه‬Sane Wafat 261
hijri ne Inhe Siqa Kaha hai.

"Ma'arif al-Siqaat 2 : 94"


4) Imam Haakim Nishapuri ‫ رضی ا تعالی عنه‬ne Imam Yahya bin Moin ‫ رضی ا تعالی عنه‬ke
Qaul ko Dohraya hai.

"Tehzeeb ut-Tehzeez 6 : 286"

You might also like