You are on page 1of 2

Power Of Awliya Allah Must Read

Surah An Namal Ki Ayat No. 40 Me Allah Tala Ka Farman He:

Jis Admi Ke Paas Kitab Ka Ilm Tha Usne Kaha Me Apki Palak Zapakne Se Pehle Use(Bilkis Ka Takhat) Apke
Paas Lae Deta Hu.Aur Fir Jab Usne(Suleman Alyhisalam) Use ( Takhat)Apne Paas Rakha Huva Dekha To
Kaha Yeh Mere Rab Ka Fazal He

Is Ayat Me Hazrat Suleman Alyhisalam Ke Ek Ummati Hazrat Asif Bin Barkhiya(Radiallahtalaanho) Ki


Karamat Ka Zikar Kiya Gaya He.

Jab Hazrat Suleman Alyhisalam Ne Apni Sena Se Kaha Tum Me Se Kon Aesa Sakhs He Jo Bilkish Ke Ane Se
Pehle Us Takaht Ko Mere Pas Le Aye To Zino Me Se Ek Takatwar Zin Kehne Laga Aap Apni Jagah Se Uthne
Se Phele ( Yani Apni Mehfil Barkhast Kare Us Se Pehle Apki Mehfil Subha Se Duphar Tak Hota Tha)
Takhat Ko Apke Paas La Sakta Hu.

Suleman Alyhisalam Ne Kaha Mujhe Who Takhat Aur Jaldi Chaiye Tab Hazrat Asif Bin
Barkhiya(Radiallahtalaanho) Ne Ijazat Lekar Who Takhat Suleman Alyhisalam Ke Palak Zapak Ne Se Pehle
Lakar Hazir Ho Gaye.

Who Takhat Sone Ka Bana Huva Tha Jis Par Anmoli Motiya Jadi Huvi Thi Who Takhat Saat Mehlo Ke
Andar Wale Mehal Me Rakha Huva Tha . Har Darwajo Par Tale The . Siphai Pehra De Rahe The.Yeh Baat
Aqal Me Nahi Ati Ke Itna Bhari Aur Nigrani Me Rehne Wale Takhat Ko Pal Bhar Me Ek Desh Se Dusre
Desh Me Le Jaya Sake.

Hazrat Asif Bin Barkhiya(Radiallahtalaanho) Ne Pal Bhar Me Is Bhari Aur Sakhta Pehredari Me Rehne
Wale Takhat Ko Yaman Desh Se Syriya Desh Me Hazrat Suleman Alyhisalam Ke Paas Pesh Kardiya
Iska Tafseeri Jikar Allama Ibne Kaseer Ne Apni Tafseer Me Zikar Kiya He

(Tafseer Ibne Kaseer Jild 6 P: 191-193 Surah An Namal 27:40)

Aur Yeh Baat Quran Se Sabit He Iska Inkar Karne Wala Kafir He.

Note: Musalmano Hazrat Suleman Alyhisalam Ki Ummat Ke Wali Ke Jab Yeh Power He Ke Who Palak
Zapak Ne Se Phle Bilkish Ka Takhat Jo Itna Bhari Aur Sakhat Pehre Me Tha Use Le Aye To Hazrat
Mohammed Sallallahualyhiwasalm Ke Ummat Ke Wali Ka Power Kya Hoga…Aur Yaad Rahe Tamam
Nabiyo Ke Sardar Hamarae Nabi He Aur Tamam Nabiyo Ki Ummat Me Sabse Afzal Hamare Nabi
(Sallallahualyhiwasalam) Ki Ummat He.

Surah An Namal 38:39:40


(38. He Said: "O Chiefs! Which Of You Can Bring Me Her Throne Before They Come To Me Surrendering
Themselves In Obedience (As Muslims)'') (39. An `Ifrit From The Jinn Said: "I Will Bring It To You Before
You Rise From Your Place. And Verily, I Am Indeed Strong And Trustworthy For Such Work.'') (40. One
With Whom Was Knowledge Of The Scripture, Said: "I Will Bring It To You Within The Twinkling Of An
Eye!'' Then When He Saw It Placed Before Him, He Said: "This Is By The Grace Of My Allah

You might also like