You are on page 1of 4

Issue1_Layout 1 16/03/11 11:50 AM Page 1

Khabarnama
Indian Ex Servicemen Movement Newsletter March 2011

Chairman IESM ka Sandesh


Mere Fauji Saathiyon,
Fauji zindagi sab se alag hai. Is mein ham apni jaan ki baazi laga kar desh ki sewa karte hain. Senaon ko yuva rakhne
ke liye ham faujion ko kam umar mein ghar bhej diya jata hai. Us waqt hamari salary kam hoti hai jis ki wajah se
hamari pension bhi kam hoti hai. Is ke ilawa jab bhi vetan aayog pension mein badhotri karte hain, is ka laabh
purane pensioners ko nahin diya jaata. Purane pensioners ko guzara karna mushkil padta hai.
Retirement ke baad hamein aur bahut samasyaon ka saamna karna padta hai. Sankshep mein, ham ko nyaya nahin
milta hai. Hamare paas koi aisa channel bhi nahin tha jo hamari awaz ko aage tak pahuncha sake. Isi zaroorat ko
dhyan mein rakhte huye 2008 mein Indian Ex Servicemen Movement (IESM) ki shurooat ki gayee. Yeh ek aisa platform
hai jis se ham apni awaz desh-wasion tak pahuncha sakte hain. Pichhle do saalon mein IESM ham sab ki maangon ko
sarkar ke saamne aur janta ke saamne rakhne mein kamyaab hua hai. Hamari sab se pehli maang ‘One Rank One
Pension’ (OROP) hai. Is ka adhaar hai ki do fauzi jin ki service barabar hai aur jin ka rank bhi ek hai, unko ek samaan
pension milni chahiye. Aisa abhi nahin ho raha hai. Aap sab ne jo abhiyaan chalaya hai us ki wajah se aaj desh mein
Lt Gen Raj Kadyan
sab ko OROP ka gyaan hai aur hamare saath hamdardi bhi hai. Dabaav mein aakar Sarkar ne purane aur naye pen-
Chairman IESM
sioners ke beech ka gap kam to kiya hai lekin ham chahte hain ki gap ho hi nahin. Hamari maang barabari ke liye hai.
Badkismati se ham purane faujion mein ekta ki kami hai. Ham ne alag alag sangathan bana rakhe hain. Achhi baat yeh hai ke OROP ke maamle
mein sab ki manzil ek hai; kewal raaste alag hain. IESM ek aasman ki tarah hai jis ke neeche har rang ki chhatri sama sakti hai. Meri yeh sab
saathiyon se vinti hai ke ham ikatthe ho jaayen. Prajatantra mein nafri hi sab se bara hathiyar hai. Agar ham ek-jut ho kar aage badhen to koi bhi
sarkar hamari awaz ko nahin daba sake gi.
Mein sabhi saathyon se sahyaog aur sabar ki request karta hoon. Ham apna abhiyaan kanoon aur discipline ke andar rahte huye chalaayenge.
Jai Hind

IESM Kyon?
Aap jante hain ki azadi ke bad se hi fauj aur faujiyon ki taraf sarkar ka ravayya sahayata purna nahin raha hai. Bavjood iske ki fauj ko
doosre departments ke failures ko theek karne ke liye istemal kiya jata hai, lekin job pay aur pension ka mamla aata hai to unke baare
mein nahin socha jata. Azadi ke baad, civilians ke mukable na kewal faujiyon ki aarthik halat, lekin Civil ke mukable unki seniority par bhi
farq pada hai. Misal ke taur par, ek JCO ki tulna ek UDC se ki jati hai, jo ki Non Gazetted post hai, jab ki JCO ek Junior Commissioned
Officer hota hai. Commissioned Officer!!
Army Ranks (Clerical Cadre) Civilian (Clerical Cadre)
Sepoy, Lance Naik, Naik and Havildar Lower Division Clerk
Naib Subedar (Gazetted Rank) Upper Division Clerk (With less than five years service) (Non Gazetted Post)
Subedar (Gazetted rank) Upper Division Clerk (With more than five years service),
and Office Supdt Grade -II (both Non Gazetted Posts)
Subedar Major (Gazetted rank) Office Supdt Grade -I ( Non Gazetted Post)
Subedar Major ki tulna ek Office Suprintendent se ki gayi hai!! Yeh Sarasar Na Insaafi aur gair zimmedarana hai.

IESM ka gathan Aug 2008 mein is vichar se hua tha ki ESM sambandhit problems ka samadhan dhoonda ja sakey. Vichar karne ke
baad, niche di hui demands chuni gayeen, jinke milne se ham ummid karte hain kih hamari zyada tar pareshaniyan door ho jayengi.
1. One Rank One Pension (OROP). Agar ek sepoy 1970 mein retire hota hai to uski pension usi ke barabar service, aur paristhitiyon
wale har sepoy ki, chahein woh 2010 mein retire hua ho ya 2050 mein. Same Rank+ Same Service= Same Pension.
Rank Retiring Before 2006 Retiring After 2006
Sepoy (17 Yrs) Y Gp ` 4,971 ` 7,920 as on 1.1.10, with 3 ACP
Subedar (24 Yrs) X Gp ` 11,517 ` 15,550 with 3 ACP
Hony Capt (24 Yrs) ` 13,850 ` 22,950 with 3 ACP
NOTE: Viceroy Commissioned Officers granted Honorary Rank of Capt- ` 16145 after enhanced pension wef 1 July 2009, but
NO increase to Indian Commissioned Honorary Officers.
2. Hamare Baare mein Socho to Pahle Ham se Baat Karo. Hamari demand hai ki kabhi bhi agar ESMsambandhit koi bhi faisla
lena ho – welfare, pension etc, to ESM organizations se mashwara aur baat cheet kar ke faisla liya jaye. ESM organizations se matlab na
kewal Government ke sponsored mahakme (IESL), lekin aur bhi ‘broad based’ mashwara karna hoga.Yeh sabhi aisi committees/ commis-
sions ke liye lagoo hai, chahein woh Pay Commission ho ya koi aur. Is mudde par Sarkar ne elan kiya hai ki Faujiyon ke liye alag Pay Com-
mission banai jayegi, LEKIN hamari demand hai ki yeh ABHI hona chahiye, na ki 7th Pay Commission ke samay par. Vaise bhi 6th Pay
Commission ki kafi galtiyan hain jo yeh hamari Pay Commission shayad suljha le.
3. ESM Commission. Hamaare dukh dard ko sun-ne aur uske samadhan ke liye ek ESM Commission ban-ni chahiye, jiske Head aur Members
ESM hi hone chahiyein. Yeh demand Sarkar ne mote roop se man li hai, lekin uski membership mein Babu (naukarshahi) log ko detail kiya
hai. Yeh hamein manzoor nahin. Waise hi Women’s commission ya Scheduled Caste Commission mein bhi to affected log hi hote hain. To
Fauji Commission mein kyon nahin?
Issue1_Layout 1 16/03/11 11:50 AM Page 2

IESM Ka Sangathan
IESM elections Nov 2010 mein huye. IESM Appointments is prakar hain:
1. Lt Gen (Emeritus) Raj Kadyan, PVSM, AVSM, VSM Chairman IESM
2. Maj Gen Satbir Singh, SM Vice Chairman IESM
3. Gp Capt VK Gandhi, VSM Gen Secy IESM
4. Wg Cdr CK Sharma Treasurer IESM
5. Cdr Sharan Ahuja Jt Secy IESM
6. Maj Gen PK Renjen, AVSM Member Governing Body
7. Maj Gen AJB Jaini, AVSM Member Governing Body
8. Brig CS Kamboj, VSM Member Governing Body
9. Brig Harwant Singh Member Governing Body
10. Brig S Luktuke Member Governing Body
11. Col Kirit Joshipura Member Governing Body
12. Col TN Raman Member Governing Body
13. Col RP Chaturvedi Member Governing Body
14. Cdr Ravindra Waman Pathak Member Governing Body
15. Sub Maj (Hony Lt) Kameshwar Pandey Member Governing Body

IESM State Convenors


Har state mein State Convenors aur District level par District convenors niyukt kiye gaye hain. Yeh IESM ki Back Bone hain. Sab State Con-
venors IESM Core Group ka hissa hain, jis mein saare roz marra ke faisle liye jate hain. Policy aur Buniyadi faisle General Body Meeting
mein maujood members ke saamne rakhey jatey hain. State Convenors volunteers hain. 95% State Convenors JCO/ OR hain, jis se koi bhi
faisla lene mein hamein Ground ki Position correct pata rahti hai. Hamari koshish hai ki sabhi Districts mein IESM convenors niyukt kiye
jaen. Isliye zaroori hai ki ziada se ziada ESM is kaam ke liye volunteer karein.
Sabhi ESM se anurodh hai ki IESM ke member banein AUR banayen. Membership ke liye apne State/ District Convenor se sampark karein.
Convenors aur anya details ke liye IESM Registered Office se prapt karein. Aap Khud bhi is kaam ke liye volunteer kar sakte hain. Hamein
Khud hi Apni madad karni hai.

IESM ESM Welfare Divisions


Pahle bayan ki gayi demands ke alawa, ESM ki problems ko suljhane ke liye IESM ne kuchh ESM Welfare Divisions banai hain.
1. Pension Division. Pension ke bare mein koi bhi problem ho to IESM members is Division se sampark karein. Aaj tak inhone 2,500 se
zyada cases suljhaye hain. Is Division mein Vice Admiral Barin Ghose aur neeche diye members hain. Cdr RW Pathak (Tele No 9822329340/
E Mail ID raviwarsha@gmail.com) Coordinator hain.
Location Member Tele No
Pune Cdr RW Pathak 9822329340
Pune Gp Capt SS Phatak 9421003200
Mumbai Wg Cdr Shashank Bendre 022-28330558
Noida Col AS Sidhu 9899020633
Noida Lt Cdr VP Beniwal 9958374781
Bangalore Wg Cdr VP Sachar 9900821044
Bangalore Lt Col GV Shreedhar 9880164808
Delhi Brig YP Rao 9871504820
Karaikudi Warrant Officer RN Thiru Chelvam 9442044421
Chennai Lt Cdr GK Balaji 9940425545
Chennai Col N Vishvanathan 9444384720
2. ECHS Division. Is Div ka task ECHS sevaon ko TOP CLASS banane mein yog- daan dena hai. Yeh all India ESM se sampark mein rehta
hai aur koi ESM Healthcare problem hone par advise, madad, aur liaison ki suvidha IESM members ko deta hai. Hamari koshish hai kih
desh ke har ECHS Polyclinic mein ESM volunteers hamare aankh aur kaan banein, takih All India ki sab polyclinics ki pareshaniyan ham
ECHS Hq se madad le kar door kar sakein. Aap se request hai ki aap bhi apne area ke polyclinic ko achha banane ke liye volunteer karein.
ECHS Division mein Polyclinic volunteers ke alawa Air Marshal Kuldeep Rai aur Brig Kuthiala hain aur Coordinator Col RP Chaturvedi
(Mobile No 9891279035/ E Mail ID: rpchaturvedi@gmail.com) hain.
3. Canteen Division. ESM ki CSD sambandhit vishesh zarooratein/ problem ko dhyan rakhte huye CSD Div banai gayi hai. Ismein Lt Gen
Jagdish Chander aur Coordinator, Brig Harwant Singh (Mobile No 9814432554) hain.

Shantipoorna Abhiyan
Shuru se hi IESM ne faisla kiya hai kih hamara abhiyan shantipoorna tariqe se hoga. Koi indiscipline harqat nahin ki jayegi. Koi Rasta Rok
nahin, Koi Putley ya property ko nuqsaan nahin. Sarkar ka dhyan apni demands par akarshit karne ke liye samay samay par desh bhar mein
rally to hoti hain, parantu shantipoorna.
Isqe bavjood, sarkar ne woh samajhdari nahin dikhayi jiski hamein ummid thi. Pichle kuch mahinon se ESM community mein ek be-sabri
dekhi ja rahi hai aur kuchh varg yeh sujhav de rahe hain ki hamein shayad ‘kuch aur’ karna padega, sarkar ki behoshi todne ke liye. Is se
IESM leadership ke liye ESM parivar ko shaant rakhne ki chunauti badh gayi hai. Asha hai ki Government ab to jaagegi aur halaat mein aur
tension badhne se rokegi.

Kya Paya Abhi Tak?


Halanki OROP ka abhiyan Government ki talam taal ke bawjood chal raha hai, abhi OROP ke aane mein samay lagega. Lekin IESM ke 2 saal
ke sangharsh aur aandolan ki wajah se kayee kamyabiyan hamein mili hain. Yaad rakhna chahiye ki maujuda stithi 60 saal se Government
dwara ESM ki nazarandazi ka natija hai. Yeh ladai 1 ya 2 ya 3 saalon mein khatam hone wali nahin.
1. ESM varg mein ek chetna ki lahar daud gayi hai. Samay samay par rallies aur lagatar apas mein ESM related baat cheet se sabhi ESM ka
nazariya unki problems/ welfare par focus ho gaya hai.
2. Aaj OROP ke baare mein desh mein zyadatar varg/ departments jaante hain. Sarkar, Neta log, Sarkari mulazim, Judges, Media ityadi in se
wakif hain. Ek school ke bachche ne 2010 mein OROP ke baare mein Air Force Chief se sawal poocha. Kuch saal pehle tak aisa nahin tha.
Issue1_Layout 1 16/03/11 11:50 AM Page 3

3. Political parties bhi ab fauji vote bank ka mahtva samajhne lagi hain aur kayee political parties – jaise BJP, Akali Dal, CPI(M), INLD – ab
hamari mangon ke paksh mein bolna shuru ho gayee hain.
4. Pichle 2 saalon mein pension mein chhoti chhoti kuch badhotri, 6th Pay Commission ke baad bhi huiye hain. Government thoda thoda
yeh soch kar deti rahi hai ki mamla lamba khinche aur shant ho jaye.
5. Courts bhi samay samay par Government ki khinchai karte rahte hain. Yeh us jankari ka natija hai jo hamnein patrakaron, judiciary aur
aam public ko hamare rallies, press releases etc ke zariye di hai. Kuch Court ke Orders mein un shabdon ka istemaal kiya gaya hai jo
IESM ne apne press conferences aur bayanon mein istemaal ki hai.

Government ne Gadar Macha Rakha Hai


Badkismati se Government ki sharmnaak harkaton se zahir hai ki woh faujiyon ko asantushth rakhna chahti hai.
1. Sarkar Ka Jhoot. Saal 2009 ke Budget mein Government ne JCO/ OR ki pension mein kuch badhotri ke liye ` 2240 crore allot kiye
the. Ismein ` 2205 crore pension badhotri ke liye aur baki kuch anya recommendations ke liye tha. Usi Saal, Red Fort se Independence
Day ke bhashan mein PM Shri Manmohan Singh ne elaan kiya kih yeh badhotri 10 months ke ander lagu kar di jayegi. Hairangi ki baat
yeh hai ki PM ke is elan ke bavjood, aur bavjood iske, ki paisa budget mein allotted tha, babu log is mamle ko daba kar baithe rahe, aur
PM ko khabar tak nahin thi kih ho kya raha hai. Koi letter nahin issue kiya budget ke paise ko JCO / OR tak pahuchane ke liye. Jab yeh
nahin hua, to 3 March 2010 ko Parliament mein Shri LK Advani ne Government se pucha ki promise kari gayee badhotri abhi tak lagu
kyon nahin ki? Shri Manmohan Singh ne jawab diya ki sari badhotri aur kiye hue commitments lagu kar diye gaye hain. Sarasar Jhooth
Bola. AB JAB PM sahib ne Jhooth bola, to IESM ne unka Jhooth sab parties including Advani Ji ko ujagar kiya. Result? Jo letter babu log
daba kar baithe thhe ek saal se, woh 3 din mein issue ho gaya. Kaisi Sarkar hai? Koi Check nahin naukar shahi par? Tail wagging dog?
Sarkar ne foujiyoun ko abhi bhi OROP nahin dee hai. Lekin PM ke drama ke baad jo letter issue hua, usko Government ne Sarkari Paise
se Newspapers mein jhoothe advertisements nikal kar OROP ki shakal dene ki koshish ki. Yeh Sarasar Jhooth hai. OROP abhi tak nahin
di gayi hai. OROP milne se sab ESM kee pension mein aur vradhi hogi.
2. Widow Pension. Jab JCO/ OR ki pension mein badhav kiya gaya (PCDA (Pension) Draupdi Ghat, Allahbad Circular No 430 dated 10 Mar
2010 ), toh usmein unki widhwaon (widows) ko kuchh bhi badhotri nahin di gayi. Yeh Ghor Anyaya ke bare mein IESM Chairman, Gen
Kadyan Sahib ne PM aur RM ko likha. Jawab aya, to late, aur mazaak bhara. Ministry of Defence (jo sach mein HAMARI welfare ke liye
bani hai, lekin dushman jaisa vyawahar karti hai) ne kaha ki yeh is liye hua kyonki Cabinet Secretary ki chairmanship mein jo babu com-
mittee bani thi, unhone apni recommendation mein yeh shamil nahin kiya tha. Arre! Boss kaun hai? Minister? Ya Babu log? Suna tha ki
Kutta poonch hilata hai. Yehan to Poonch Kutte ko hilati nazar aati hai. Andher nagri Chaupat Raja?
3. Pahle Confuse Karo, Phir Case lado, Phir appeal karo, Phir Confuse Karo, Phir Appeal Karo- Lekin Fauji ko Jakad
ke rakho. Sarkar (jo Babu log ke shikanje mein hai) ki tarquib dard naak hai. Sabse pahle letters issue hote hain, jinmein nuqsaan
pahuchane ke liye thodi typing ki galti kari jati hai. Jab is par objection kara jata hai toh Sarkar ek Babu Committee banati hai jo apne
slow tarique se kuch sujhav deti hai, jismein kuch objection to shayad door kiye jaen, lekin us se dugne new typing galti daal di jati hai.
Agar falswaroop koi Court mein jaye, aur Court ka faisla fauji ke haq mein ho, to Government uske khilaf appeal zaroor karti hai. Delay
karne ki koshish karti hai, tariq le kar. Tariq pe Tariq, Tariq pe Tariq!
Pichhle Saal Military Tribunals ne 4000 cases mein faisla sunaya. Unmein 3600
Faujiyon ke haq mein diye gaye. LEKIN Government ne unpar amal nahin kiya,
aur sab par appeal dali. Kya yeh DADA GIRI nahin hai?
4. Disability Pension mein bhi Babu Ka Aatank. Yeh galat fahmi hai ki fauji kewal war mein hi casualty/ shahid hota hai. Yeh kram
to Peacetime mein bhi jari rahta hai. Yeh ghor annyaya hi toh hai, ki Peace time mein ghayal ya viklang hone par disability pension, war
time ke war wounded ke muqable kam hai. Ek Havildar jo war wounded hai, ` 14800 Injury Pension (+ Dearness Relief) pata hai, aur
agar yehi injury Peacetime mein ho to kewal ` 7940 pata hai. Hamari soch hai ki yeh farq nahin hona chahiye. Casualty Casualty hai …
…. Lekin yeh farq Babu kahan samjhega? Ek doosra farq hai ki ek Havildar casualty jo 20 saal pehle retire hua, uski pension 2010 mein
retire hone wale usi kism ke Havildar se kewal 71% hoti hai. Iska samadhan kewal OROP hai.
Medal Jama Karne ka Kram. Government ki ansuni se nirash ho kar, ESM community ne dukhi ho kar apne sab se priya poonji- unke
Medals, Supreme Commander- President of India, ko lauta diye, kih jab tak OROP nahin milti, ham yeh medal nahin pahenenge. Yeh kram
8 Feb 2009 ko shuru hua, aur ab tak kai maukon par Desh ke har bhag se lautae jane uprant, President ko ab tak approx 25000 medals ESM
ne lautaye hain. Is baat ka Government par asar zaroor pada hai, kyonki aksar Defence Ministry/ Minister yeh bayan dete hain ki ab OROP
takriban de di hai, so aap medal wapas le lein. Yeh OROP ke bare mein jhooth hai, kyonki OROP to ab tak dee hee nahin hai. Waise bhi, jis
din OROP lagoo kar di jaegi, ham ESM bhi khushi khushi medal wapas le kar apne seene se laga lenge. Mat bhoolein kih medal se fauji ka
emotional rishta hota hai, aur fauji ke marne ke baad bhi medal uski dead body par rakhe jatein hain.
Medal jama karane ke liye ham President ko letter likh kar unse request karte rahein hain ki woh please medal swayam, khud ham se
receive karein, aur hamare dukh sukh Supreme Commander of Indian Defence Services ke taur par sunein. Lekin afsos yeh ke unke pas abhi
tak ek bar bhi time nahin nikla, hamari team se baat karne ko. Pahley yeh medal hamari toli rally ke baad Rashtrapati Bhawan mein
President ke afsaron ke pas chod aati thi. Par 2-3 baar aisa karne ke baad, IESM ki bhavnaon ki kadr karte huye yeh faisla kiya gaya ki ham
medal kewal aur kewal President ko hi lautayenge. President he medal deta hai, aur yahi theek hoga kih unhe he wapas hon. Staff ko nahin.
Signing in Blood. 2010 mein IESM members ke sujhavon aur bhavnaon ko dhyan rakhte IESM ne ek nayi karyawahi shuru ki. Medals ke
sath sath, hamne ESM dwara khoon se sign kara OROP sambandhit Memorandum bhi President ko bheja. Har ek mauke par desh ke vibhinn
bhagon se aaye aise memorandum hamne President ko bheje. Abhi tak takriban 1.75 lac signatures ho chuke hain. Jab 3 mahiney pahle aisi
ek toli medal aur memorandum le kar Rashtrapati Bhawan pahunchi, to unhonein blood memorandum ko lene se yeh keh kar medical (??)
grounds par inkaar kar diya ki is ke zariye HIV phail sakta hai. Bhagwan bachaiye hamari President sahiba ko, agar is kism ke Medical Officers
unki dekh bhaal karte hain, jinhe yeh he nahin maloom ke sukha blood HIV nahin fella sakta. Waise bhi yeh ghatna yeh dikhati hai kih kitna
aadar President ka Staff aur unka Medical Incharge, karta hai us fauji khoon ka, jo kuch saal pahle border par, thand, bearish aur garmi
bardasht kar ke desh ki raksha mein juta hua tha. Jai Ho! Jai Ho hamari Supreme Commander sahiba ki.
Punjab Vidhan Sabha Ka OROP par Resolution. Punjab legislative Assembly ne ek mat ho kar yeh prastaav pass kiya hai ki faujiyon
ko OROP jaldi se jaldi di jaye. Ham is Resolution ka swagat karte hain aur vishwas karte hain ki baki states bhi isi tarah ke resolution pass
karengi. ESM se request hai ki apne Sansadon/ MLA/ MPs par is baat ke liye zor dalein, ki aapki vidhan sabha mein bhi aisa resolution pass
karein.
Vishal Rally, Delhi: 6 Mar 2011
Sarkar par hamari demands ke bare mein pressure dalne ke liye IESM rallies ka ayojan karta rahta hai. NCR aur unke aas paas ke ilaqon
mein yeh rally har 2- 4 hafte mein hoti hai. Delhi mein Jantar Mantar par ammuman Saal mein 2-3 bar rally hoti hai jismein desh ke har
kone se IESM members hissa lete hain. Isi Rally mein medal jama karne aur khoon se President of India ke naam par Memorandum sign
Issue1_Layout 1 16/03/11 11:50 AM Page 4

karne ka bandobast hota hai. 6 March ko hui rally mein taqriban 6500 ESM aur 125 Widows ne hissal liya. 16 states se ESM yahan padhare.
Bahar se aaye takriban 30 logon ne sabha ko bhashan diye. ESM ka dukh, rosh, narazgi, aur nirasha saaf zahir thi. Ab tak hamara movement
shanti poorna raha hai. Bhashan sun kar lagta hai ki ESM community ab Sarkar ke vyawahar se Nakhush aur Besabra ho rahi hai. Governing
Body aur Convenors ke samne yeh chunauti hai ki kaise is ubharti lehar ko shantipoorna banaye rakhein. Sarkar ke behoshi ke alam se sabhi
ESM pareshan hain.
Rally ke dauran neeche diye prastaav sabhi ne hath utha kar, pass kiye:
1. IESM apna aandolan zari rakkhega, jab tak hamari demands Government poori tarah nahin maan jati.
2. IESM na kewal President ko diye medals wapas nahin lega, but yeh abhiyan aur bhi zor se chalaya jaega. Aur ESM ko bhi protsahit karenge
ki woh medals jama karvayen.
3. Ham Medals Kewal President ko hi wapas karenge. Unke staff ko nahin.
4. States mein sabhi partiyon ko ESM request karein ki State Vidhan Sabha mein OROP ke mudde par resolution pass karvayein, aur uski
karyawahi par saqht nazar rakhein. State ki Government ko bataein ke agar woh aisa nahin karte, toh unhe hamara vote mangne ka koi
adhikar nahin hai.
5. Usi tarah, Centre mein jo bhi party Satta mein hai, agar woh OROP ki demand ko muqammal nahin karte, toh unhe bhi hamara vote
mangne ka koi haq nahin hai.
Jab Maanjhi Nao Duboye
Taqriban sab IESM members niswarth (self less) yog daan dete hain. Apne time, apne paise se. Durbhagyawash, kuch aise ESM bhi IESM mein
shuru mein sammalit huye, jinhein apna swarth zyada pyara tha, bajaye ESM ka jan kalyan. Unke is vyawahar ko dekhte huye, chetawani
dene ke baad aise logon ki IESM membership cancel kar di gayi. Ab yeh log ek mat ho kar IESM ka naam badnam karne par lagey huye hain.
Tarah tarah ke notice, galat salat propaganda, gali galaunch ka sahara lete hain.
In logon ka koi agenda hai to kewal yeh, kih kis tarah se IESM ko todein. Khud apne (ESM) ke pairon par kulhadi marna, ya jis daal par
baithe ho, ussiko katna, bewakoofi nahin to aur kya hai? Hamara farz banta hai kih pahle ESM parivar ke bare mein sochen, Government se
ladein, na kih khud ek doosre se. Par naddan logon ko samajh aaye tab to.
Abhi ki missal lein. 6 March ki rally ke baare mein bhi in logon ne bharpur koshish ki ke yeh rally na ho. Khud Jantar Mantar par he, 20 Feb-
ruary ko rally ka ayojan kiya, aur bataya ki yehi IESM rally hai, 6 March ko koi rally nahin. Yeh bachkana (childish) harkat ke bawjood, 6 Mar
ki rally par itni sankhya mein aakar ESM parivar ne in durvichar panthiyon ko ek karara mooh tod jawab diya. Badhai ho ESM parivar ko, jo
kisi bahkawe mein nahin aata. Aap se anurodh hai ki kisi galat afwah ya behkawe wali khabar par yakin na karein.
Aap dekhenge ki upar hamne kisi vyakti vishesh (Individual) ka naam nahin liya hai. Par yeh log to nam uchalne mein sankoch nahin karte.
Dukh hota hai aisa bachpana aur swarthi vywavahar dekh kar. Sab ko sanmati de bhagwan.
Commemoration of Valour
Jab ki hamare desh mein kai festivals manaye jate hain, koi aisa tyohaar nahin jismein fauj ki uplapdhiyon ka zikr ho. Misal ke taur par,
1971 ki Hindustan ke poore itihaas ki pahli vijay, jismein 14 days se bhi kam mein ek vijay prapt hui aur ek naye desh ka nirman hua. Ya fir
1999 ka Kargil yudh, jis mein hamare veer senaniyon ne kattar irade, aur shaurya se ek bahut hi mushkil halaat mein dushman ko hamare
desh ki sarhad se nikaal phenka. Yeh sab uplapdhiyan kabile zikr hain. Par apne desh mein, fauj, fauji aur ESM ka jahan tak janta aadar
karti hai, wahin hamare neta aur babu uske opposition mein lage rahte hain. Yahan tak ki swatantra Bharat mein koi National War Memorial
nahin hai. India gate to British ka banaya hua hai, Indian soldiers ke liye.
In kamiyon ko dekhte huye, IESM varsh 2009 se Kargil Divas ka aayojan karta aaya hai. Program na kewal faujiyon ke liye, lekin civilians aur
children ke liye hota hai. Desh ke kai cities mein – Delhi, Bangalore, Chandigarh, Panchkula, Chennai, Hyderabad etc mein Shaheedon ko
homage, local schools mein ESM dwara Kargil ke bare mein jankari aur tarah tarah ke ranga rang karyakram ka ayojan kiya jata hai. Raat
8 PM par all over India, janta se appeal karte hain ke apne ghar ke gate/ door/ entrance par ek candle jalayen aur un shahidon ko yaad
karein jo laut ke nahin aaye. Candle ke sath ek Gende ka phool be shradhanjali ke taur per rakh dein. Janata ka is par response bahut
achha raha hai. Aap Se request hai ki har saal 26 July ko aap apne shahar, apni colony, apne gaon mein bhi aise program ka aayojan karein.

Vice Chairman IESM ka Sandesh


Mere Pyare Fauji Bhaiyon
Diltah se Namaskar!
Pichhle 30 mahinon se desh ke sabhi poorva sainik aur unke parivar sabhi rajyon mein apne haq ke liye Shantipoorna
aandolan kar -rahe hain. Lekin Sarkar ne abhi tak unki OROP ki jayaz demand ko nahin mana. Yeh durbhagya ki baat
hai.
Ek ESM jisne 1962 ki China War aur 1965,1971 aur 1999 ki Padistan se ladaion (wars) mein apni jaan hatheli par rakh
kar hisssa liya, usko 1 Jan 2006 ke baad retire hone wale sepoy ke muqable Kam pension kyon milti hai?
Mein Desh ki Sarkar se puchhana chahta hoon ki kya 2006 se pahle retire fauji ki
1. Kurbaniyan 2006 ke baad retire fauji se kam hain?
2. Kya unki jaan aaj ke retired fauji se kam mahatva rakhti hai?
3. Kya woh Bharat Ma ki kam amar santaan hain?
4. Kya unka parivar Bharat ma ka parivar nahin?
Maj Gen Satbir Singh
Vice Chairman IESM
5. Kya unki service ke dauran conditions/ haalaat aaj ke conditions/ haalaat se behtar the?
6. Kya unhon ne Bharat Ma ki aaj ke sepoy se kam seva ki?
Upar kiye saare sawalon ka jawab hai ‘NAHIN... NO’. Aisa hai toh unki pension kam kyon?
Iske alawa Sarkaar ka ravayya ESM ki taraf unsympathetic raha hai. Is lihaaz se mere 2 sawal hain.
1. Jab Sarkar ne JCO/ Jawan ki pension mein Mar 2010 ko kuchh badhotri ki, toh widhwaon ki pension kyon nahin badhai?
2. Sarkar ne faujiyon ke hak mein supreme court aur Armed Force Tribunal dwara faujiyon ke haq mein diye faislon par abhi tak amal kyon nahin
kiya?
Zahir hai ki Sarkar unhi ki sunti hai joh ya toh unke vote bank par asar kar payein, ya jo Hinsa ka rasta apnate hain.
Yaad rahe kih ESM aur unke nikat sambandhi 4 crore se zyada vote bank rakhte hain. Agar yeh ek- matt ho jaen toh ek badi taqat ban sakte hain.
Meri sabhi Fauji Bhaiyon se nivedan hai kih ab samay aa gaya hai kih ham ek mat ho kar apne vote ka sahi istemaal karein, jis se Sarkar hamari wajif
demand OROP ko dene ke liye majboor ki jaeye. Ham agar ek – jut ho gaye, to desh ke doosre groups bhi ham ko support karenge.
Ek Aquela Thak Jaega, Mil kar bojh uthana, Saathi Hath Badhana. Saathi Hath Badhana.
JAI HIND!!

Edited by Col RP Chaturvedi for IESM, 543 Sector 23, Gurgaon, Haryana. Layout Design by Wg Cdr CK Sharma
Comments and Inputs for future issues may please be sent to rpchaturvedi@gmail.com
Printed by PK Printing Press, Noida

You might also like